Question: agar khawand apne bewe ko ghalat rastay say istimal karay tu nikah toot jata hay ya nahi
Answer: bismehi taala, nahin tootata. (Ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2389)
Question: mera yeh ha,ager aik larka kisi larki ko force kar nikha k l ia sath le jaey aur apne aik dost ko gwaha ban k molwi se nikha parhwaey aur larki se sign bhi le le lakin larki dosery room mein ho to kya nikha ho jata hai....ya nikha gaalt hai.
Answer: bismehi taala, sharayete nikah me se 5th shart yeh he k orat aur mard dono nikah par razi ho. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2379)
Question: jesa k raat main nikkah sunnat hai tou kya larka larki khd din main nikkah ker sktay hain ?? koi msla tou ni ??
Answer: s.a. aap apna sawal www.sistani.org par bhajain.
Question: Salam ....Kya ek baligh larki aur larka begair guwah aur wali ke khud apna nikah telefone par par saktay hain aur kya woh nikaah valid hai ?
Answer: w.s. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
Question: Larki ki umar 30 saal hai aur independent hai. walid aur dada hayat nahi hain to sirf walida hain to kya is soorat mein bhi larki ko shadi ke liey ijazat lena zaroori hai?.
Answer: bismehi taala, agar ladki jis se rishta karna chahti he wo urfan aur sharaan us ka ham-palla he to is soorat me jab k walid aur dada hayat nahi he ijazat zaroori nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani masaala no.2386)
Question: Aoa... can non syed shia boy marry syed shia girl.& they both like each other alot. plz don mention my name & mail id. thanks
Answer: w.s., Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-32
Question: Salam, Kia non mulsim girl ko be us k parents ki permission laina zaroori hai,even ager wo virgin nahi hai. Aur ager virgin hai to kia hukum hai..? Talib e dua
Answer: Jee haan.lerka kawari(virgin) lerki say os waqt tak mut’ah ya nikah nahi kersakta jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. aik dosri sorat ye hay k jis per amal kia jasakta hay,k agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org & Minhaa jus saliheen part#3, maslah #70)
Question: na jaiz hammel wali owrat sy nikah jaiz hn kia?ager kar lia ho tu bhad main pata chal jy tu nikah ho gya ya nhi?
Answer: Agar koe ghair shadi shuda aurat nay zina kia ho tu, aisi aurat k saath iddat k baghair nikah jaiz hay.or agar khud wo shaks jis nay os aurat say zina kia ho tu wo(merd) tuba kernay say pehlay os aurat say nikah nahi kaersakta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2364)۔
Question: I like this guy(cousin). i want to marry him. and i want him, his father and mother to like me and ask for me to marry him. is there any wazifa i can read??
Answer: In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother ?????or brother.(Ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail Maslah#2341) Bismehi taala, 1) Recite 11 times durud and after it 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum (ref:naeemul aamal page no.314) 2)If sura-e-muzammil recite 41 days and ask to Allah for marriage to him (inshallah) your marriage will be done with him.REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.
Question: main pasand ki shadi krna chahti ho jis sy shadi krna chahti ho wo mera coisen hai.mujy btain main kia kro.?
Answer: kawari(virgin)lerki os waqt tak mut’ah ya nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.isi terah baap ya dada k maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org & Minhaa jus saliheen part#3, maslah #70,Tauzee hul masail, maslah#2342).