Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 901
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya doodh behan se shadi jaiz hai mera matlab hai k meri maa ne mere chacha ki beti ko apna doodh pilaya tha to mera us se shadi karna jaiz hai jaldi jawb den

Answer: Agar koi aurat aik bachay ko un shariat k sath doodh pilay jo bayan ki gae hein to agar wo larki he to os aurat k batay k lie mahram ho jaay gi. Aur shadi karna haram hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2428) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mufti sahab mere sawal ye hai k mere chacha ki beti hai aur use meri maa ne bachpan men apna doodh pilaya hai to mera us k sath nikkah jaiz hai is ka jawab jaldi den ap.....

Answer: Agar agar aap ki walida nay aap chacha zaad behen ko on 8 shara’it k saath doodh pilay tha jo bayan ki gae hein to woaap k liay mahram hain aur aap on say shadi nahi ker saktay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2428,2438) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal hai k kya aik muslim larka kisi chirstan larki say shadi kr sakta hai?

Answer: Christain aurat se muta karnay me koe haraj nahi he aur ethiat e wajib ki bina per in se daimi nikah(permanent marriage) na kia jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)

Id: 912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeh hai kay,nikah kay bad if my husband only touch me or kiss me only not more then this,so it is halal or haram in islam??plzz give me answer in a clear way. thank you

Answer: 1)Agar riwaaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aap ka aap k shohar ko mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay.(Ref:Book-4 Q.No.149. ) 2) Nikah k baad sohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi par wajib nahi hay k wo khud ko jima k liay shoror k saamne paish karay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-09-10).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 931
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: muttah ki dua kahan milay ge kiss book main.

Answer: Muta main dua nahi nikah k seeghay perhay jatay hain jis se nikah e muta hota hay. or ye seghay mukhtalif Fiqhi kitabo main maujood hain or aap Ayatullah Sistani(d.b) ki tauzee main is daikh saktay hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# ) 2334). Note:Hum aap ki asaani k liay Ayatollah sistani(d.b) ki website ka link day rahay hain jahan urdu tauzee maujood hay or muta k seeghay likhay hoay hain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/28.htm)

Id: 952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere dada ki do bibiya thai, pahli bivi ke ladke ke ladke ki ladki se dusri bivi ke ladke ke ladke se shadi ho sakti hai kya? (ladka ladki aapas me chacha bhatiji lagenge) lajdi lawab denge to badi meharbani hgo.

Answer: Jee haan shadi ho sakhte he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) In dono lerhke or lerhki ka apas main nikah kerna jaiz he Q k ye lerhki is lerhke k sagay bhai ki baiti nahi hay balkeh chacha zaad bhai ki baiti hay.or ye apas main na-mehram hain.(Ref: Email rcvd from A.sistani, dated:21-12-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 962
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mein ek ladki ko pasand jo other cast ki (hindu) woh mujhe achhi lagti hai. mein usse shadi karna chahta hu kya ker sakta hu.. shadi..... ....

Answer: Musalman mard ehl e kitab(yahodi ya esae) k alawa kafir auratoon se shadi nahi kar sakhta.Laikin yahodi or esae autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362). Note: Aap hindu aurat se nikah nahi ker saktay jab tak k wo musalmaan nah hojaay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 966
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can a syed girl get married to a non syed boy in case they like each other so much and cant acept anyother as their lifepartener?

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 976
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aghar kisi ka bacha goud leya jata haa or jaab os ka nikkah hota haa to nikkah mian ki baap ka naam hoga jis ne pieda keya haa os ka jis ne pala haa os ka. jaab keh dono zinda hain?

Answer: 1-Nikah karnay me baap ka naam lena zarori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2333). 2- Jab bhi bacha kisi ko gowd(adopt) diya jaay tu zarori hay k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay.(Ref: A.Sistani(d.b), dated: Jul 5, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 999
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main aur meri mameri bahen ek dusre ko pyar karte hain hum done ne us niyat se ek dusre hka hanth tak nai pakra. janab main love mairage k masle janna chahta hoon aur wo mujhse do saal badi hai.

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!