Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikkah aik Maulana parha sakte hain? Aur seeghe konsi kitaab main likhe hain?

Answer: jee bilkul nikah mai aik wakeel moayyan kia jaa sakta hai jo dono ki taraf sai nikah parhaaye. nikah k seeghay kitaab "namaz e jafferia" naami kitaab mai mil jaayen gay jo k urdu zubaan mai moujood hai. agar nikah e daaimi aik maulana parhaye tou is tarah parhaaye ga انکحت موکلتی موکلی علی المھر المعلوم قبلت النکاح لموکلی علی المھر المعلوم (Ref:tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2332). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum agr larki ka bap dada zinda na hon to us k lye kisi ki ijazat zrori hai #Q2 kia larki larka khud seegha parh lein to mutta jaiz hai ya molvi sb ka hona zrori hai

Answer: Jee han, nikah ka seegha khud bhi parh saktay hain. aur kunwari larki ka baap or dada zinda nah ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahi hay.(Ref: Tauzeeh ul masail, aayatullah seestani, edition 41st, mafhoom e maslah #2328,2341). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13183
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana Sb mera mera sawal he kh jb ik dfa Muttah ki mudat khatm ho jay to dubara pora sigha prhna lazim he ya again mudat ki niat ki jay gi.

Answer: jis aurat k saath kise nay mutah kia tha or mutah ki muddat (yani mutah ka agreemant duration ) khatam hogahe ho tu agar yehe mard is aurat se dobara mutah karna chata hay tu dobara mutah ke sahe seghe ( yani alfaaz perhna ) perhna zarori hay.or srif niyat kafi nahe hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2396,2328). [Updated on 03-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr lrka lrki apas me aik dsry sy poch lan or dono qubool b krlan k hmen niqah qubool ha to kia niqah hojay ga ?

Answer: jee nahi is tarah ka nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13869
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Or agr mazaq me lrka lrki k apas me iqrar krny sy niqah hojata ha to dbra ksi or sy niqah k lye kia hukam ha ?

Answer: Maktab e jafferia mai mazak mai nikah nahi hota. is ki chand sharaet hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14901
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-u-Alaikum mjay apsay yay janna tha k agr aik larka aur larki Allah Tallah ko hazir nazir jan kr aik doosray ko khawand aur zoja kabool kr laitay hain bakaida apni zuban say iqrar krtay hain to is k baray mai kya hukam hoga

Answer: Is tarah (mard or aurat ka Allah ko hazir o nazir jante hue aik dosre ko miyan or biwi kabool kar lene ya zaban se iqraar kar lene ) se nikah nahin hota. Nikah men chand sharten hoti hain jin ki pabandi karna zaroori hoti hai. or agar in sharaait ki pabandi na ki jaye to nikah hi durust nahin hota. jaise ke agar larki kunwari ho tu nikah ke liye larki ke wali yani baap ya dada ki ijazat ho, or dono larki or larka khud bhi raazi hon, or nikah men seeghay (nikah ke bol) parhne hote hain or zaroori k seeghay Sahi arabi mai adaa kiye jaayen, or nikah ki deegar sharait moujood hon to hi nikah durust hoga warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341). [Updated on 11-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah khwan larki waley latey hain ya larke waley?

Answer: 1: Izdiwaaj khawah daimi ho ya ghair e daimi is mein seegha (nikah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka mehaz razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayaate- waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seegha ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain takeh woh un ki taraf se parh de. 2: Aqd e daimi ya aqd e ghair e daimi ka seegha parhne ke liye aik shakhs do ashkhaas ki taraf se wakeel ban sakta hai. Aur insaan yeh bhi kar sakta hai keh aurat ki taraf se wakeel ban jaaye aur us se khud daimi ya ghair e daimi nikaah kar le lekin ehtayaat-e-mustahab (behtar) yeh hai keh nikaah do ashkhaas parhen. 3: Nikaah ke liye wakeel (nikah khwan) muqarrar karna zaroori nahin hai balke mard aur aurat khud bhi nikah ke seeghe parh sakte hain lekin agar kisi ko wakeel muqarrar karna chahen to koi haraj nahin hai, kar sakte hain. Ab wo larki walo ke taraf se ho ya larke walon ki taraf se is men aap ka ikhtiyar hai Q ke shareat ne nahin bataya ke ke kis ki taraf se ho.albatta larka or larki ko iqteyaaar hay ke apna nikah perhne ke lie wo jis ko chaie apna vakeel yani nikah perhne wala muqarrar kare or apna nikah perwane ke lie vakeel bane ki zimmedaare kise or ko bhi desakta hay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2328,2332,2335). [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hafiz shahb ho word use krte h nikhaa krate time kya ap vo words type kr skte ho plzzz

Answer: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka seegha parhe to maher moyyan karnay k bad pehle aurat kahe : "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" ( زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم ) yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar bad mard kahe : "qabiltuz tazweeja" ( قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ ) yaani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahih hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" ( قَبِلْتُ ) kahe tab bhi nikah sahih hai. Lekin agar nikah e daaimi aik maulana parhaye tou is tarah parhaaye ga. pehle aurat ki janib se kahe : "ankahto muwakkelati muwakkeli alal mhril maloom " (أنْكَحْتُ مُوَكِّلَتِی مُوَكِّلَي عَلَى الْمَھْرِ الْمَعْلُوم) phir mard ki janib se kahe : " qabiltun nikaha limuwakkeli alal mhril maloom " (قَبِلْتُ النِكاحَ لِمُوَكِّلِي عَلَى الْمَھْرِ الْمَعْلُوم). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2328). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: online nikah ki kia sharten hen ager kisi ne phone per nikah kerna hu tu kesy krega? ager lrka or lrki phone per nikah k seeghy parh len tu kia nikah hojyga

Answer: 1: Phone ke zariye jo nikah kiya jaye us men bhi wo tamam sharait hoti hain jo sharaait saamne beth kar kiya jaye us men hoti hain. 2: Phone par bhi nikah ho sakta hai lekin In sharait ko poora kiye baghair aik larka or larki aik doosre par halal nahin hote. 3: Azdewaj khawah daaemi ho ya ghair daaemi is mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka mehaz razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain takeh wo un ki taraf se parh de. 4: Agar aurat aur mard apne daa’emee nikaah ka segha padhen to mehar muayyin karne ke baad pehle aurat kahe “zawwajtoka nafsi alas sidaaqil maaloom” yani main ne is mehar par jo muayyin hua hai apne aap ko tumhaari biwi banaya aur us ke lamhay bhar baad mard kahe: “qabiltut tazweeja” yani main ne azdoaaj ko qubool kiya to nikaah sahi hai. Aur isi tarah agar faqt "qabilto" kahe tab bhi nikaah sahi hai. Aur agar woh kisi dusre ko wakeel muqarrar karen ke un ki taraf se seegha e nikaah parh de to agar misaal ke taur par mard ka naam ahmed aur aurat ka naam fatema ho aur aurat ka wakeel kahe ““zawwajto muwakkelaka ahmada muwakkelati fatemata alas sidaaqil maaloom” aur is ke lamhay bhar baad mard ka wakeel kahe “Qabiltut tazweeja le muwakkeli ahmada alas sidaaqil maaloom” to nikaah sahi hoga. 5: Nikah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arabi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte hon) to arabi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahin hai. 2. Mard aur aurat ya in ke wakeel jo keh seghaa parh rahe hon woh “qasde insha’” rakhte huye yani agar khud mard aur aurat segha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kahna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. Aur agar mard aur aurat ke wakeel seegha parh rahe hon to “zawwajto” aur “qabilto” kehne se un ki niyyat yeh ho keh woh mard aur aurat jinho ne unhein wakeel banaya hai aik dusre ke miyan biwi ban jaayen. 3. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai keh woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zarori hai. Balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mammayez bachche ka dusre ka nikaah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh de to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 4. Agar aurat aur mard ke wakeel ya un ke sarparast seghaa parh rahe hon to woh nikaah ke waqt aurat aur mard ko moyyin kar len. Maslan un ke naam len ya un ki taraf ishara Karen. Lehaaza jis shakhs ki kayee larkiyaan hon agar woh kisi mard se kahe “zawwajtoka ihde banati” yani main ne apni betion mein se ek ko tumhaari biwi banaya aur woh mard kahe “qabilto” yani main ne qabool kiya to chunkeh nikaah karte waqt larki ko moyyin nahin kiya gaya is liye nikaah batil hai. 5. Aurat aur mard izdewaj par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandeedgi ka izhaar Karen aur maloom ho keh dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah nahin ker sakti jab tak lerki ka wali (yani Baap ya Dada) lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina par yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2341. + Jadeed fiqhi masail, topic izdewaji zindagi, maslah #422). [Updated on 13-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15482
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mutaa k lye wife sey ijazat Lena zaruri he. Mein khud parhna ho to kia parhengey Sigha bhej dein. Christian k sath mutaa karna he.

Answer: 1: kisi musalman aurat se nikah e daimi ya nikah (muta) karne ke liey pehli biwi ki ijazat laina zaroori nahin hai. 2: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye, or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte ho) tu arabi k ilawa kisi dosri zaban main ( masalan urdu,english wagaira me ) perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5.( nikah ke sighe ke aeraab or sahe arabi talaffuz karna na zarori hay ot nikah ke sighe tuiziulmasail se daikh kar bhe perhsakte hay ,hawale niche dea ghe hya ) Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zawwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabiltu) tu nikah ho jayga. (arabi seegho ka urdu terjuma mehar or muddat muta moiyan karne ke baad phele aurat, mard se mukhatab ho kar khe : me apne aap ko tumhaare zojiyat me deti ho (yani nikah mutah me dete ho ) is mudddad maloom me is mehar moiyan per is ke furan baad mard khe : me is nikah muta ko apne lie qabool karta ho. 3: Yahodi or essaii aurtoon se mutah karne main koe haraj nahin or ehtiyaat e lazim ki bina per on se daaimi nikah nah kiya jaey. Albatta wo mard jis ki biwi musalman ho wo apni biwi ki ijazat k baghair yahodi ya essaei se nikah e muaqqat (yani mutah) nahin kar sakta balke ehtiyaat e wajib ki bina par us (biwi) ki ijazat say bhi in se nikah e muaqqat (yani mutah) jaiz nahin. (Ref: Mihaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #200,202. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2334,2335,2362). [Updated on 15-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!