Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum ma yeah janna cahti hun ka ma na ak larky ka sath nikha kia ur nikha us ka kisi dost na parhaya tha 2 gawahan ke mojodgi mai haq mehar ka sath kya hamara nikah ho gaya

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah ki Sharaait: 1: Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka sighah (jumla) arabi mein parha jaaye. 2: Nikah parhne (ya parhanay) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se sighah kahay. 3: Nikah parhne (ya parhanay) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 4: Nikah parhne (ya parhanay) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 5: Mard or aurat ke nikah par raazi hon. 6: Kunwari or rasheeda larki ke baap ya dada ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke baap ya dada se ijazat li jaaye. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga. 7: Larkay ko nikah liye kisi se ijazat lena zarori nahin hai. 8: Nikah me gawah ki zarorat nahin hoti. 9: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka sighah parhe to meher muayyen karne ke bad pehlay aurat kahe: "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani mene is meher par jo muayyen ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltut tazwija" yaani me ne izdewaj ko qubool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahi hai. (sahi arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaaye). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2341). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 5 sal Pele Meri sis ny kzn k sath nihka k bol bole tay call py or unko ab dono ko thk se yad ni k aisaaa kch hua ta k ni larkay ki shadi ho gae hai kahen or

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Nikah ki chand sharaait hain agar nikah ke waqt ye tamam sharaait maujood theen to hi nikah sahi shumar hoga, lekin agar nikah ke waqt in sharaait me se koi bhi aik shart ya saari ki saari sharaait maujood nah hon to nikah sahi nahin hoga. 2: Nikah ke sahi hone ki surat me bhi Mard to dusri ya teesri shadi kar sakta hai Q ke mard aik waqt me chaar nikah kar sakta hai lekin aurat aik waqt me aik hi nikah kar sakti hai Q ke aurat agar kisi ke nikah me ho to us ke liye kisi aur se nikah karna haram hai. 3: Nikah ki Sharaait: 1: Nikah me seegha (yani nikah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat e wajib ki bina par kaafi nahin hai. 2: Ehtiyaat-e-waajib ki bina par zaroori hai ke nikah ka seegha (jumla) arabi mein parha jaaye. 3: Nikah parhne wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se nikah ka seegha kahe. 4: Nikah parhne wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. aur ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho. 5: Nikah parhne wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 6: Mard or aurat ke nikah par raazi hon. 7: Nikah ke liye Larkay ko kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. lekin Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho to wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day, aur jo larki khud mukhtar ho to bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hai ke apne wali (baap ya dada) se ijazat lay. 8: Agar aurat aur mard khud nikah e daimi ka seegha parhna chahen to meher mauyyen karne ke baad pehle aurat kahe: "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" (زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم) yani me is meher par jo mauyyen ho chuka hai apne aap ko tumhaari zaujiyat me deti hon, aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltuz tazweeja" (قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ) yani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" (قَبِلْتُ) kahe tab bhi nikah sahi hai. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2341,2366). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ek larki nikkah k wqt Apne baap ki jaga khalu k nam pr nikkah kre tu kia nikkah hoga or agr aulad hui tu kia wo jaiz hai?

Answer: Agar nikah ke waqt kunwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) ho aur larki ne bhi nikah ke liye apne wali se ijazat li ho to chahe khaalu ke naam par nikah kare koi haraj nahin hai, nikah sahi hai aur aulad huei to jaiz hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341) [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر کوی لڑکی کہے کہ میں تمہاری ہوی اور لڑکا قبول کر دے تو اس سے نکاح ہو جاتی ہے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah nikah nahin hota, balke agar nikah me darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to nikah sahi hota hai warna hain. 1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day. 2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken. 3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. 4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 23980
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: A.o.a sir m shia syed frm pakistan.sir mera sawal ye hy k mera start se he ye mind tha k aik syed larki ka gher syed se nikah jayez nhi hy.or ye mjy mery ghar walun se concept mila par mera contact aik larky se ho gya jo k syed nhi tha or hmara relation bht zeda ho gya sirf fone ki had tak wo mujh se shadi krna chahta tha but mn dil mn razi nhi hti thi just isliye k wo syed nhi sec mery abu or dada ki death ho chuki hy mn apny mamu k pas rehti hn or ye wja b thi k mamu log kabhi nhi many gy he said k shia maslak mn seeghy par k nikah ho jata hy mn uski batun ko mazak samjha but mn usk kehny py seeghy par liye par mn such mn nhi janti thi k aisy niakh ho jata hy or us waqt b mery mind mn yehi tha knsa nikah ho gya hy phr usk bad wo mulk se bahir chala gya mera contcy khtm ho gya or meri shadi ho gae or mn seeghun wali bat bilkul bhol gae or ab mery do bachy hn or us larky ny mery se rabta kia hy k mn uski bv hn shrayi lehza se or bachy b halal nhi hn mn mjy us ny allam logo k msgs send kiye k they said mn usk nikah mn hn par mjy bilkul b ilam mhi tha mn ab bht paryshan hn k mn apny husband sth bht happy hn par is bat py bht paryshan kindly meri rehnumyi ki jaye mn apny husband ko b nhi bta skti even kisi k sth share b nhi kr skti meri help ki jaye shukria

Answer:

Id: 23981
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: A.O.A Meri sis ki hm shadi krna chahte the.mgr us ne hmen btaya ke wo jis lrke ke sath shadi ki khwahish rkhti thi.us lrke or meri behan ne Allah or Rasool pak(s.a.w) ki zat ko hazir o nazir jan ke aek dosre ko miyan bv qabool kya tha.main ye janna chahti hon ke kya ye nikah hy.or Quran.o.Hades main is bare main kya frmaya gya hy.plz is bare main koi rehnomai karen.

Answer:

Id: 24869
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam o ailkum. Mey ye pochna chahty ho ke me sunni ho aur mera nikah chup ker ek shia larkay se howa hay wo bhi sunyun walay tareqay se. Molvi ki majodgi me lakin beghair koi gawah ke. Molvi sahb ne nikah krwaya haq mehr wagara sab kiya. Per ye nikah jaiz hay ya nhi ha?

Answer:

Id: 24943
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Slam mari 2 mah tak shadi hai 3 mah pahlay mari mangaitar sai phone pai bat shuru hui is dar sai kai koi gunah na ho ham nai aik molvi sahib sai kah kai phne pai mashroot nikah kr lia hai larki ka bap foat ho chuka hai aur daday abu sai banti nahi hai kia mara nikah jaiz hai aur kia main ami aur dada(jin sai family ki nahi banti)sai milnay ki ijazar zarori hai

Answer:

Id: 25774
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aoa Daimi nikkah phrany ky waqt knse Dua phre jte hy ?. R mutta nikkah ky waqt knse dua phre jte hy ? Dno seegha dua bta dian please. R in mn duon mn farq bh Aur agr kse ki niat daimi nikakh ki ho aur unhain lgy unho ne muuta nikkah wli dua phre hy lkn bqi sra tariqa daimi nikkah wla ho to knsa nikkah hota hy?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!