Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia koe syed sunni larki kisi sahi sunni larkay say shadi kar sakti hay k nhe.plz give me answer in urdu and with the refernce of QURAAN AND HADITH. AND ALSO GIVE ME ANSWER IN URDU. THANKS

Answer: Shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunne larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahe hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 215,200,4th eidition). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1655
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis terha shoher or biwi ko ik dusre se bagair kisi wajeh ke ik dusre se 4 mahene se ziada dor rehna jaiz nahi.agar biwi jaan bhuj ke bila kisi wajeh ke shoher se door rahe or us ka haq ada na kare to kia hukam hay,

Answer: Agar koi aurat humbistari Aur jinsi lazzatoon k silsile me us ki khawaish puri na karey to roti kaprey aur makan ka wo zimadar nahi he agarche wo shohar k pas hi rahey aur agar wo kabhi kabhar apni un zimedarioon ko pura na karey to ehtiat e wajib k mutabiq roti , kaprey aur makan ka shohar per haq saqit nahi hota aur har surat me is ka mahar kaladam nahi hota. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah Sistani (d.b.) Masla # 2377) .Update on dated 17-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: biwi se pergnency ka bad kab tak humbestery kar ni khahian

Answer: Jo aurat nifas ki halat me ho os se jimma karna haram he. Aur ye bachay ka pehla juz maa k pait se bahir aanay k waqt se dus (10) din tak jo khoon aye os khoon ko nifas kehtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 498-504) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mard apni biwi ki shrngah chatt skta h?

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1671
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri wife ko jab menses atay hain kia mein uss kay sath anal sex kar sakta hon?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya islam mein apni bv ki sharamgah chatna jayez hai?

Answer: Mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko kiss aur suck ker saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay..Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya apni bewi sa picha ka rasta se sex karna jaiyz ha

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. .Update on dated 17-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1688
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apni biwi kay pistan ko moon main laina aor pechhay ki taraf say karna jaiz ha ya ghalat maray aik dost nay aisay kiya ha agar ghalat ha to usay kia kafara ada karna paray ga.

Answer: 1) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). 2) Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya miya-biwi ek dusre ke parde ki jagah ko chum aur chus sakte hai daurane sohbat islah farmaye

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1710
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: baad az salaam sawal ye hai k ager oral k waqt liquid halaq se nichay uttar jai tou kiya haram hai or haan tou kiya iss ka koi kuffara ada kerna hoga. shukriya.

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Magar is ka koi kafara nhi hai.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!