Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar meri biwi mujhe apna jism na dikhae to kia mein doosra nikah karsakta hoon.

Answer: 1)Aik se ziada shadi karna riwayaat ki roshni me mustahab he aur dosri shadi karna makrooh nahi he…. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) 2) Agar koi aurat humbistari Aur jinsi lazzatoon k silsile me mard ki khawaish puri na karey to roti kaprey aur makan ka wo mard zimaydaar nahi he agarchahe wo shohar k paas hi rahey aur agar wo kabhi kabhar apni un zimedarioon ko pura na karey to ehtiat e wajib k mutabiq roti , kaprey aur makan ka shohar per haq saqit nahi hota aur har surat me is ka mahar kaladam nahi hota. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah Sistani (d.b.) Masla # 2377) .Update on dated 02-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Aurat ka doodh sohar pi sakhta hay ya nahi??

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 31-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya Apni bivi kay agay walay surakh me peechey ki taraf se mubashrat ki ja sakti hay ya nahi? I mean dogi style main.? But in vagina?

Answer: Jee haan, shohar k liay apni wife k saath peeche ki taraf se aage wale soraakh(sharam gaah) main hambistari kerna jaiz hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen part #1, maslah#228) .Update on dated 31-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia main apni biwi ke moon main apna l de sakta hoon

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2086
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia condom pehen kar sex karain lakin mani kharij na ho to ghusal wajib ho jata hay

Answer: Jee haan is sorat main bhi ghusl wajib ho jata hay. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). .Update on dated 31-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam o alaikum muja puch na tah mare biwi sex kana ka time par josh ma nahi aati koi tablat da sakta hu kon se pls muja bataya ga

Answer: Aurat k pistanoo k malnay se os me shehwat paida hoti he q k aurat k pistanoo me ghodood hotay hein aur jab pistanoo ko mala jata he to un ghodood me terheek paida hoti he aur aurat main shehwat paida ho jati he. Aur aurat ki mani pistanoo me hoti he aur is k alawa aurat ki shehwat k asaar aankh aur chahray se bhi zahir hotay hein. (ref : kitab tib e imam raza a.s. pg # 32) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: aap tablet k liay kisi qabil aytemaad doctor se ruju ker saktay hain.

Id: 2118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam! keeya shaohar apni biwi ka dhood (milk) pee sakta hai?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir aorat kitna arsa naraz reh sakti hai khawand se alag maa baap k paas k us arsa k baad wo khawand pe haram ho jai

Answer: Is se Nikah batil nahi hota he. Albatta jis aurat ka daimi nikah ho jay os k lie haram he k shohar ki ijazat k baghair ghar se bahar niklay chahae os ka nikalna shohar k haq me manafi nah bhi ho. Magar ye k ehem zarorat pesh aay ya ghar me rehna os k lie nuqsan ka baais banay ya ghar is k munasib na ho. (tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah # 2376). .Update on dated 04-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2134
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mard ourat ko sucking karwa skta hy or agr us ny apni bivi ko karwae hy tu ab usy kia krna chahiy or agr us ny bivi ki back sy mubashrat ki hy tu ab usy kia karna chahiy kia us ka y gunah hy ya nahi???

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 2) Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahei honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir, ki ya 1st night ko female ka khone nikal na lazim ha ya nahi....

Answer: No it is not permissible. Because She may have lost her virginity due to an accident or she may not have had the membrane from the beginning. In case, you stipulated in the marriage contract that should be virgin, you have the right to cancel the marriage. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 21, 2011) .Update on dated 29-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!