Question: kea islam mai mard apni bivi ki bazer py kiss ya lick kar sakta hai
Answer: shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se muss ya cho saktay hein. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam mera sawal ye hai.k mai mere wife ko zayda time tak sitisfied nai kar pata.us ko hone se phle muj ko sex ho jata hai mai kya karo.pls help me.
Answer: 1)Shohar aur bivi aik dosray ky badan ky zahari aur batni hata sharam gah kw bhi dakh saktay hain . isis tarah ya dono apny badan ky ksi bhi hassay ke dosray ky badan ky ksi bhi hassay ky sath choo saktay hioan . chahay lazzat kay sath ho ya ya lazzata kay bagair. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) 2)biwi aur shohar k lie apni sharmgahoon ko aik doosray se chupana lazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 53) .Update on dated 04-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kaya sex ki jaga ko kis kar jaiz hai?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ayame heez mai urt ke dubar mai jima kar saketa hai
Answer: Dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho) aur aurat k razi honay ki sorat main shaded makhroh hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448 & Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslamualikum sir mera swal ye hai k jub mia biwi humbistri kertay hai tu us doran jism ko cover kerna yani jism per kapraa dalna wajib hai ya nai ... plz
Answer: Berhana (naked) halat main jima kerna makrooh helaikin jaiz hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab meri nai nai shaadi hue hae shaadi say pehlay me bht say galt kaam karta raha lekin mene ilaaj ki taraf oi khaas tawajja nia di ab me shaadi shuda hun lekin bht pareshan hun.plz muje koi aisa tareeka btaayen k me aik pursukoon zindagi guzaar sakun
Answer: jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kis jaga pa kiss krne se nika toot jata hi
Answer: Kisi jigha per bhi kiss karnay se nikah nahi toot’ta he. Balke Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko bhi mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: slam mera swal ye hai k agr main apni bv k sath hmbistargi kron or meri mani nikal aye or agr mera dubara 5 mint tk dil kry k main dubara hmbistargi kron to kya ghusal kiye bgair main dubara hmbistargi kr skta hon?
Answer: Baghair ghusl kiay jimma ki takraar karna makrooh nahi he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya biwi ki back b front ki tarah used ker sakte hain.islam ka nazrea kya hai?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahei honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: correct way of mubasharat in islam??
Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 04-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).