Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGAR LARKI KO SHAADI SE PEHLE MEHAR ADA KAR DIYA JAYE TO KYA US SE SHAADI SE PEHLE HUMBISTARI JAYEZ HAI.

Answer: Jee nahi nikah se pehle jaiz nahi. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2755
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera ye sawal hai ki kya aurat apni husband ki penis ko munh(mouth) me le sakti ki nhi agr aisa karti hai to kya nikah raha ki nhi

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. Aur is say nikah batil nahi hota hay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q643 agar koi apni bive ko back side ass mai kare to uske liye kya saza aur jaza hai

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salaam o laikum aksar Shadi ke bad Bivi k sath kitny din tak sex karna hota hy Bacha paida karny k liy or is ka tarika kia hy islam mai.

Answer: 1) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) 2) Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382) 3) Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 ) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2770
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya apni BV ko peche se mellap karne se Nikkha toot jata hey, Khuda ke liye Islam ki roshni ma jawab zaroor or jald de (Jazakala)

Answer: Jee nahi is say nikah nahi too,ta hay albatta Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2773
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya nikah k bad rukhsati na hony ki sorat mai apny hawand k sath humbistari jaiz hai kya? ur kya mangytar k sath intercourse karny k alawa ur jismani taluq theak hai kya?

Answer: 1)Jee haan hambistari jaiz hay.or agar riwaaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti us waqt tak larki apnay aap ko shohar k liay pesh nahi karti is terah say k isay goya aik zimni shart samjha jata ho to phir aurat per wajib nahi k wo apnay aap ko shohar k saamnay paish karay. (Ref : Mujtahid say pouchay gay sawalat part # 4, ques # 149, pg # 72) 2) Mangaiter apas main na mehram hain.Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia biwi ko barhana dekh sakte hain?

Answer: Miyan biwi ek dusre k pure jism ko dekh sakte hen). Update on dated 20-11-2015. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If a person have 4 wifes and they are all live happily together can he doing sex 1 of his wife in front of other 3 wife or not?

Answer: It is not permissible for the wives to look at the private parts of each other. (Email Rcvd from A.Sistani(d.b), Dated:Oct 27, 2011). .Update on dated 29-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2803
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera app sa aik sawal ha ma suni hon kya ma apni wife ki sharam ga ko kiss ker sakta hon jawab mera mail per dana thank you

Answer: 1) shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso ko hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se mas ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. Aur is say nikah batil nahi hota hay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) .Update on dated 29-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kaya shohar apni bv ka dood pi sakta ha

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 29-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!