Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3231
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hum apni biwi kay sath back say sex ker saktay hain kia ye haram hai ya is say mana kia gaya hai

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3236
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa mera sawal ya hai k sex k duran husband biwi ki raza mandi se back se sex kerna chahe to kiya ker sakta hai ,or bivi ki sharam ga ko agher lick kerna chahta hai to kiya ker sakta hai? plzzzz replay jaldi kerye ga bye

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11) . .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3242
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi ke sath aik raat main kitni bar kar saktein hain?

Answer: Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 ) Note: aap k liay apni bivi se hambistari kerna har os waqt jaiz hay jab wo nifaas ya haiz ki halat main nah ho, Laikin yaad rahay k hambistari main aytedaal rakha jaay warna ziyada jima se sehat kharab ho sakti hay.(Ref: Tehqiqi Islami encyclopedia part#1,muallif Doctor Sibt e Shabbar Zaidi ,108). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hy k ma apni biwi ko apna chusa skta hn

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ha k mare bivi ny mare mani pili to us ko ab kiya krna ho ga

Answer: Mani(semen) najis hay or najis cheez ka khana, peena ya kisi dosray ko khilana pilana haram hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 84,135). Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai ye janna chahta hun k ghair muslim female jo ki apni marzi se kisi muslim male k sath ya male uski marzi se uske sath shadi se pehle jima kare to kya aisa jayez hai? aur agar dono ek dusre se shadi karna chahte hon to kya surat hogi?

Answer: 1-Sher,e nikah(Islamic marriage) k baghair yahodi or esae(christen) jaisi ehlay kitab aurto se jinsi amal anjam daina jaiz nahi hay agarchah os mulk ki hukumat musalmano k saath halat e jangmain ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 402) 2-Musalman mard ehl e kitab(yahodi ya esae) k alawa kafir auratoon se shadi nahi kar sakhta.Laikin yahodi or esae autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)..Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam alekum mera sawal ye hai ki meri shadi lag gai hai aur jisse lagi hai usko maine kiss kiya aur hambister bhi ho gaya plz aap bataye ki ye karna galat tha ya sahi plz jaldi jawab de

Answer: Nikah se pehlay k ehkaam: 1-Mangetar ko kiss(bosa) kerna jaiz nahi hay, Q k wo aap k liay na-mehram hay.() Kisi bhi na-mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi terah kisi bhi merd ka na-mehram aurat ko chomna jaiz nahi hay.or Mangetar na mehram hay is liay osko kiss kerna bhi jaiz nahi hay. (Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). 2-Mangeter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) . Nikah k baad: 1-Agar riwaaj yehi ho k jab tak nikah k baad rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main b.v ap ka shohar ko habistari se mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay.(Ref:Book-4 Q.No.149. ) 2-Nikah k baad shohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi par wajib nahi hay k wo khud ko jima k liay shoror k saamne paish karay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-09-10)..Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr husband apni bv ke sath peechy k mukam (anal sex)kary to kya nikaha toot jata hai? plz reply me soon

Answer: Biwi k peechay k maqam (anal sex) main jima karnay se nikah batil nahi hota he albetta Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahi honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar biwi saloon tak qareeb na aae samjhane ke bawajood bhi to kya masturbation jaiz hai aur kya biwi ke hath se yeh jaiz hai

Answer: 1-Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376). 2- Istimna(yani merd ya aurat ka apnay saath ya kisi doosray zarye say jima k alawa koe aisa kaam kerna jis k natijay main mani kharij ho) karna haram he . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 3- Biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: keya bivi apny shoar ka muth mar sakti ha?

Answer: Biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!