Question: biwi ki haiz ki hallat mein hai aur uske tabiyat thik nahi hai kya shohar uska haiz paak sarsakta hai kya.
Answer: Jee haan.Shohar bivi ka haiz, paishab or pakhna paak kerasakta hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#2400,2404). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aisa mard aur aurat apas ma shadi kar sakta ha jinho na apas ma zana kia ho
Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ye he k insan os aurat se jis se khud zina kia ho toba karnay se pahle nikah nah karay. Or tauba k baad osi aurat se nikah kerna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235) . 2)Shadi shuda aurat se agar koe mard zina karay to os mard per wo aurat ehtiyaat ki bina par hamesha k lie haram ho jay gi. Lakin shohar per haram nahi ho gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khoe(r.h), Masla # 2412). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ye ha k mard apni wife ka dodh pi sakta ha mujhe abi tak koi sahe jawab n mila koi kehta ha makroh ha koi kehta ha haram ha so plz give the right answer thanks
Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Note: Is maslah main Ayatullah Sistani(d.b) ki ehtiyaat e wajib hay, layhaza aap k paas do hi raastay hain ya tu aap is ehtiyaat wajib par amal karain or doodh nah pi,ain, ya phir aap ye bhi ker saktay hain k fal alam mujtahid(ilm k layhaaz se 2nd number k mujtahid) k maslah pta ker k os par amal karain, agar fal aalam mujtahid is ki ijazat day day tu aap k liay peena jaiz hoga. .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera question ye hai ki mard jab wah kharij hota to uska simen uski bibi pi sakti ya nahi,plse reply soon
Answer: Shohar or bivi ka aik dosray ki sharamgaah se nikalne wali kisi bhi qisim ki ratubat(liquid){yani mani, mazi, wazi, wadi} peena jaiz nahi hay.(Ref:Email rcvd from, A.Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal hai k mard or aurat bathroom main kar sakte hain
Answer: Jee haan, shohar or bivi bathroom main jima ker saktay hain.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#5) .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A girl commits adultery with her cousin.She becomes pregnent.They marry eachother when they come to know about it with the consent of their parents.Will this child be considered be legitimate(halal born) or illegitimate?
Answer: In [an Islamic] marriage, the spousal relationship is established by the verbal expression of the proposition and the acceptance. More over no action or deed that reflects the intention of marriage can be a substitute for the spoken words. Consequently, the marriage mentioned in the question is not valid except after the pronouncement of the religious marriage formula that does not have any retroactive effect. As for the children, they will be considered legitimate if the parents did not know the law [requiring the ‘aqd] because their relationship will be classified as “wat’i bis-shubha”. But if both were aware of the law, their relationship is considered adulterous. Consequently the children will be deemed illegitimate. However, if only one knew about the law without the other, the children will be deemed legitimate in relation to the ignorant parent only.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 439+ http://www.sistani.org/index.php?p=251364&id=46&pid=2063). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o alaikum (Ya Ali Madad) mujhe Mutah ke baar main poochna hay ke kis relation se mutah jaez nahi hota kiyon ke kuch doston ne ye mujh se sawal kiya hay or mujhe jawab nahin pata es liye aap ki madad chaheye
Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ye he k insan os aurat se jis se khud zina kia ho toba karnay se pahle nikah(muta ho ya daimi) nah karay. Or tauba k baad osi aurat se nikah kerna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235) . 2)Shadi shuda aurat se agar koe mard zina karay to os mard per wo aurat ehtiyaat ki bina par hamesha k lie haram ho jay gi. Lakin shohar per haram nahi ho gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khoe(r.h), Masla # 2412). Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Pichey se fuck karne se pregnent hote h kya
Answer: Jee nahi. Faqat agli sharamgaah main jima(intercourse) kerne se aurat hamila(pregnent) hoti hay.(Ref:Islam or jinsiyaat,Doctor muhammed taqi ali abdi, pg#150-157). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mere shohar kabi kabi apni sharam gah me meri hath ki ungli dalwate hein, kya yeh mere liye jaiz he or agar un ki mani na kharaj ho to un par ghusal wajib he ke nai.
Answer: is kaam main koe haraj nahi hay or ghusl ki bhi zarorat nahi hay.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 20.01.12 ).(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 20.01.12 ) .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mai apni sali ko kiss kiya,gale se lagaya aur apni saramgah us ki saramgah me sataya aur dono ka mani khariz hua apna chane ka dal us ke jism par ander nahi gaya.mera nikah ka kya hoga.mujhe ab kya karna chahiye.
Answer: 1)Bivi k alawa kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram hay or isi terah kisi bhi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e azeem hay or aap per is amal ki tauba kerna wajib hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) 2) Shohar ne saali se jo haram kaam anjaam diay on ki wajah se wo gunahgaar to he magar os ka apni bivi nikah baqi rahay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) 3)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). .Update on dated 27-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).