Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Timing barhane ka koi islamic tareka hai koi fruit ya koi giza jis se timing barh jae aur islamic way se bv k sath sex kesy krte hain aur kia ehtiat karni chaheay?

Answer: jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54). .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shohar during sex biwi ka doodh p sakta h kya ye jaaiz h?

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia bivi k monh me shuar apna penis dal sakta hia k nahe islam me

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5265
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir, mai y janna chahati hu k kya mai test tube baby k zriye bachcha pa sakti hu ?kay shriyat k lihaz s bachcha jayz hoga koqi mere husband ko H.I.V. POSITIVE H.

Answer: Shohar ki mani k alawa kisi aur ki mani sy haamla hona jaiz nahi hai,chahay shohar razi ho ya na ho.Agar shohar ki mani say test tube baby say bacha hasil kerain jab k ye maloom ho k is kaam ki wajah say shohar ki aids wali bemari bachay may muntaqil hojay gi,chahay kuch arsay baad he sahi tu shohar ki mani say bhi bacha hasil kerna haram hai. Albatta agar shohar ki mani say bemari munataqil honay ka maslah nah ho tu test tube baby say bacha lena jaiz hai agar aurat k aisay maqamaat ko nah daikha jay jis ko daikha haram hay ya aisay maqamaat ko nah choa jaay jis ko choona haram hay tu jaiz hay.Aur agar doctor ya kisi aur Na-mehram ka aurat ko touch kerna parhay ya haram nigah daalni parhay tu zarori hai k ye kaam khud shohar karay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition jadi masail,maslah #64,68 and jadid fiqhi masail,masla#374) .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shuar bivi k sath fon par sex kar sakta hai or wabcom pa is ke jisem ko dekh sakta hia.jab k shuar is kam ke veja se kese dosre contrey me ho.islam me is ka kia hukam hia .

Answer: Gee haan, biwi k sath sexy batain karna aur webcam pre uski nacked photo daikhna jaiz hai.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #2, masla #34). .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mian biwi appas mein naraz haoo kitnay din tak naraz reh saktay hain.ager biwi havand say naraz hoo tub bhi battian, aure ager havend biwi say naraz ho tub bhi

Answer: Musalmaan ka dusray muslmaan say 3 din say ziada naraz rehna ehtiyaat e wajib ki bina par haram hai.Agar shohar or biwi apas main naraz hoon tu sharbat par 3 martaba sorah e muzammil(sorah #73) perh ker pila dain,aik dusray k dost ban jaen ge.(Ref: Ayatullah Sitsani(d.b),masail-ul-muntakhaba,maslah #24 and book payame shifa pg#287). .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya khawand apni biwi ko sotay howay neend se jagaa sakta hay

Answer: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e : in periods) k bagair shohar ko hambistari say nah rokay. Aur auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376).Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam, mera sawl yeh ha kia wife husband aketha shawer (neha) sacta han or kia woo aik dosra ke sucking ker sacta han?thanks

Answer: 1)Mian aur biwi aik dosray ka pura badan dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2400) 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5337
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya husband or wife aik dusre ki sharam gah pe piyar kar sakte hain jaisay naam ragadnaor wife sohar k panis per piyar karti hy moon me nahi leti pl. Zara detail me jawab dain

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236) .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mare husband abi mare pas bhi aty hain lakin app bata dijiye mujhy unse jismini talok rakhna chahiye plzzzz mare msg ka jawb zaror dijiye ga

Answer: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e : in periods) k bagair shohar ko hambistari say nah rokay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376).Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!