Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 409
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamo Alaikum.sawal ye hai kay kia provident fund per jo zaid raqam company apni taraf say dayti hai jaiz hay.

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1310 , Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Niaz mai jo dua ki kitab baatn tai hai, uskai pehlai safai per surah fateha ki request hoti hai, kia yeh fateha na pernai per koyee gunah hai

Answer: Q k dua ki kitab per fateha ki guzarish(Request) ki gae hoti hay. Is liay fateha ko perhna wajib nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1326 , Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4132
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khailoo(sports) k muqabilay mai jeetnay wali team ko aisey kisi idaray ya shakhs ki taraf sai inam denay ka kia hokum hai jo khud muqabilay mai shareek na ho?

Answer: Agar inaam ki shart nah rakhi gae ho to sahi hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed masael , Mafhoom e Pg #182 , part# 2). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kafan ko hum gift kar sakte ek dusrun ko?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1312, Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hiba ke Ahkam.

Answer: Hiba (Gift) k matlab apni cheez kisi doosre ko dena baghair kisi badle k,,Jo gift de raha ho us k liay zaruri hai k wo baligh, aaqil ho, or apnay irade se, or apni marzi o ikhtiyar se gift de raho ho. Or ye bhi zaruri hai k Hiba (Gift) men aysi chiz di jaye jis ki islam men lain dain jaiz ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1311-1312, Eidition 1417 hij). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam walaikum Mere biwi ke walid apne beti ko apni jaidad ka ek hissa dena chahte hai par mai aur meri biwi ye lena nahi chahte Kya ye sahi hai

Answer: 1-Lena bhi jaiz hay or mana kerna bhi jaiz hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1314, Eidition 1417 hij). 2-Albatta agr ap ki biwi ka jaidad ka hissa lene se mana kerne se un k walid ko baiti se shafqat o muhabbat ki wajah se aziyat ho to apki biwi k liye wo lena wajib ho jayega q k walden ko aziyat dena haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1387). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jehez kia saas kbi b wapis ly skti hai...shohar ka kitna haq hai us per ??????

Answer: Jaheez aik tohfa hay jis per baiti ka huq hay or aap k jahez per koe haq nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat,part# 2,Mafhoom e Maslah #150). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 12146
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya magater ko koi cheez gift k tor per day saktay Hain agar wo czn ho Kya wo use Kar sakti hai Kya hus per Haram hai k nahi ??

Answer: Faqat tohfa dayne main koe haraj nahi. or Cousin choonkeh rehmi rishtedaar bhi hay tu os ko tohfa daina mustahab bhi hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1335,eidition 1439 ). [Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13232
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alikum! kia muh bolay bhai sy gifts exchange kiay ja skty hian?

Answer: Wa alaikum salam, munh bola bhai na mehram hai. lekin tohfa dayne aur layne main koe haraj nahi.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1335,eidition 1439 ). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum Mera sawal yeh hai ke mein ek company me employee hoon. Client mujhe as a gift kuch paise deta hai to kia mere liye yeh lena jaiz hai. Please Ayatullah Seestani ke nazdeek mujhe guide krdein. Shukria

Answer: Hiba (Gift) ka matlab apni cheez kisi doosre ko dena baghair kisi badle k. Jo gift de raha ho us k liay zaruri hai k wo baligh, aaqil ho, or apnay irade se, or apni marzi o ikhtiyar se gift de raho ho. Or ye bhi zaruri hai k Hiba (Gift) men aesi cheez di jaye jis ki islam men lain dain jaiz ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1311,1312,1313, Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!