Question: Salaam o alikhum mera sawaal yeh hain kay kya kissi ladkhi say mazaq main mohabbat karna yani time pasi karna kon say gunaah main shamil hain kanbera ya saghera ,aur agar in donoo main nahi shamil to kya yeahg jahiz hai
Answer: Haram hay,agarchay is ki guftugu khwahishaat ko ubharnay wali na ho aur haram par bhi mushtamil na ho kionkay rafta rafta hi sahi is main haram main mubtala honay ka khouf hay.Ref:I-46.
Question: Kisi larkay(boy) ki kisi larki(girl) se dosti ke baray main kya hukum hai?
Answer: Is Aitibaar say kay insaan ko ye itmenaan nahi hay kay wo Haram say bach sakay ga,Chahay isi wajah say kay Rafta Rafta is main Mubtala ho jaey ga Dosti Karna JAIZ NAHI hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)
Question: Kya islam ki nazar me larka aur larki ki dosti allow(jaiz) hai?
Answer: Aisa karna JAIZ NAHI hay kion kay is qism ki Dosti main Insaan GUNAAH say mehfooz nahi reh sakta.Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship) Q-1.
Question: Islam ki nazar main na-mehram larka aur larki ki dosti ke bare me kya hukum hai?
Answer: Is Aitibaar say kay Insaan ko ye Itmeenaan nahi hay kay wo Haram say bach sakay ga chahay isi aitibaar say kay rafta rafta Haram main mubtala ho jaey ga Dosti karna JAIZ nahi hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)
Question: Kia internet pe bhi kisi larki se baghair lazzat kay dosti karna haram hai..?
Answer: Is aitibaar say kay insaan ko ye itmeenan nahi hay kay wo Haram say Bach sakay ga.chahay is wajah say kay rafta rafta is main mubtala ho jaey ga Dosti karna JAIZ NAHI hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)
Question: what is difference pyar or mohabbat?
Answer: Piyaar hindi zabaan ka lafz hay jis k 7 matlab hain: 1-Muhabbat 2-Laad, Dulaar 3-Maamta 4-Ishq 5-Bosa(Kiss) 6-Doosti, Mail Jowl 7-iltefaat, Meherbani. Muhabbat arabi zaban ka lafz hay jis ka matlab: 1- Ulfat, piyaar, chaah ,doosti, yaarana 2-Ishq, Lagan.(Ref: Ferozul lughaat urdu jaamay, pg#322, 1211)
Question: kya valantine day mana saktay hain??
Answer: It is not permissible if that involve haram act (Ref: rcvd email from a.sistani, dated: 19-03-14). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya islam me 1 ladki 1 ladke se dosti kar sakti hai ya nahin
Answer: jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khof majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). S/no:7622
Question: sir muja koi aisi dua batayn jis sa kisi larki k dil ma pyar paida kiya ja saka or allah talah k hukam sa usi sa shadi b ho.allah talah ap ko is amal ki jazaa dn gaa
Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa shadi se pehle is terhan ki dosti o mohabbat jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: sir can one boy is kissed to another boy by loving or likeness.....?
Answer: Ager ye lazzat ke sath hai to jaiz nahi hai.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 460 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).