Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 958
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is playing cards halaal or haram? Traditional cards (with Ace, Jack, King, Queen, Hearts etc) and normally card such as children play like UNO or ONO. Are they allowed if played without gambling only for fun?

Answer: It is similarly harãm to play with instruments of gambling{Like cards} in which betting is involved. Based on obligatory precaution, one must refrain from it even when no betting is involved.(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=251364&id=46&pid=2068).

Id: 1195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it permissible to play cards?

Answer: Joay k tamaam alaat(divice) k zarye (jaisay cards{taash}waghaira) khailna haram hay is shart k saath k kisi maal ki shart per khiala jaay balkeh ehtiyaat e wajib ye hay k maal ki shart k baghair bhi joa baazi ko terk kia jaay.her wo khail(game) jo urfi taur per(aam awaam main) joa samjh jaata ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per shart lagaay baghair khialna bhi jaaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #470, mujtahid say pochay gaay sawalaat,part#4,maslah#205).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ya ali a.s madad,assalam o alaikum, Football(soccer) kailne k bare me aap ka kia kehna hy ?

Answer: Foot ball ka game khelna jaiz hai . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 471, pg # 255)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3059
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Computer mai jo cards wali game hoti hai khelna jaiz hai ya nahi....

Answer: Joa(gambling) khailna(jaisay cards) jaiz nhi aur computer par bhi joa khailnay ka ye hi hokum hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 488, pg # 259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia copmuter pay snooker kahlna jaiz hai?

Answer: There is no problem in that as long as that does not involve betting.(Ref.E-MAIL RCVD FROM A. SISTANI DATED: Apr 5, 2012) Terjuma : is main koe haraj nahi hay jab tak k is main shart shamil na ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chess khailna haram hai ya halal agar haram hai toh q hai?

Answer: Chess (shatranj) khailna joay ki shart k sath bhi haram hay or baghair shart k bhi haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#2, maslah #22 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4888
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it OK to play video games on computer?

Answer: If the computer video games is not from the tools that are exclusively for gambling, then there is no problem in using it in non-gambling games. (Ref : Sistani.org english)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5136
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meray mujtahid nay cards khelnay par (kisi maal k bagair) ehtiyat e wajib lagya hay to kia main cards khel sakta hu ? agar han to plz kis fal alam k mutabik ?

Answer: Ager apne Mujtahid ke hokum per amal karna chahte hain to nahi khel sakte, or ager Ehtiyaat e Wajib ki waja se Fala Aalam ki taraf ruju karna chahte hain to us Mujtahid ka fatwa maloom karain jo ap ke nazdeek ap ke Mujtahid ke baad Aalam ho, masalan baaz Ayat ul Allah Sistani ke baad Ayat ul Allah Waheed Kurasani ko Aalam maante hain to apk nazdeek jo fal-aalam hai uske masle ko dekhen phir usi per amal kren.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-Alaekum! mera sawal ye hy k kya computer pe shantranj ka game khailna jaiz hy?

Answer: Computer par 2 afrad ka mil kar shatranj khailna haram hai aur ehtiyat e wajib ki bina par 1 admi ka bhi computer k sath mil kar shatranj khailna haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 469 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalikum mujhe ye pochna h k kya fb use krna gunah h??

Answer: ager is ke use se ap ko haraam main hone ka imkaan hai to is ka use karna jaiz nahi hai, warna jaiz hai.(Ref : email received from Ayat ul Sistani , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!