Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my mom said me " my order is thiz u have to pray ur prayer at the time of fazilat .. " so is thiz wajib for me to pray at the exact time as my mom say

Answer: Agar aap kay Fazeelat kay waqt main Namaz NA parhnay say aap ki waalida ko aziyyat hoti ho to aap kay liye Namaz ko Fazeelat kay waqt say Moakkhar karna HARAM hay aur walida kay Hukum ko Na Mannay ki soorat main gunahgaar hongay.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Msala No.1387.

Id: 2062
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalamualikum warehmatullah, sewal,mare walidah mare chotey bai see naraz hy is ky wajah ye ky woo bagheer kisi qasoor ky bewee ko chood deny ko khehte hay kiya walidah ka naraz hoona huq hay,wasalam.

Answer: It is not obligatory on you to obey your mother in this matter, and her statement [about him becoming disobedient] has no effect whatsoever., it is necessary for you to hold back from any insulting statement or action towards her “your mother”. (Ref : e mail rec from ayatullah sistani d.b. dated : April 22, 2011)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meray do betai hien age 6years and 3years aapes men bohat larte hen her bat per unke liea meray moon se ghalat bhi nikal jata hai.plz kuch bataiea men kya karoon plz .men ghalat bat kehker apne aap men sharminda bhi hoti hoon men iss se kaise bachoon?

Answer: 1)Aap k lie ye kaam bilkul munasib nahi he. Balke agar sanjeedgi se ho to jaiz nahi hay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 210, pg # 95) 2)wazifa : Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e maraij ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam agha kia maa sy ounche awaz main baat karna gunnah hai kia or agar kar li hai to kia kuffara hai .. plz reply

Answer: Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#347 ).

Id: 3347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri ammi jaan mujhse naraaz hai 10 din ho gaye hai unhone mujhse baat bhi nahi ki, aur mere bhi bahen bhi naraz hai plz. kuch bataiye nahi to me mar jaunga

Answer: 1-Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#347 ). 2-Ehtiyaat e lizim ki bina par musalman se 3 din se ziyada qata ta,alluqi kerna jaiz nahi hay.(Ref: Ref: A.Sistani(d.b), Masail e Muntakhaba, Maslah#24).

Id: 7036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: waldain ka zikar kin sauratoo mea kiya gaya hai

Answer: 1 - [sura e Baqra (sura no2) ki ayat no83, 180, 215 , 233] 2 - [sura e Nisa (sura no 4) ki ayat no 7 or ayat no 33, 36, , 135] 3 - [Sura e Al-Maeda (sura no 5) ki ayat no 110] 4 - [Sura e Al-Anaam (sura no 6) ki ayat 151] 5 - [Sura e Ibraheem (sura no 14) ki ayat no 41] 6 - [Sura e Al-Isra (sura no 17) ki ayat no 23] 7 - [Sura e Maryam (sura no 19) ki ayat no 14, 32] 8

Id: 7705
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: konsa wazeefa aulad ka waledein k silsike mein kabhi khatam nahi hota?

Answer: Allah Rehmaan o Raheem se un ke liye magfirat ki dua karna.(Ref : Sura e Bani-Israeel (sura no 17) , ayat # 24 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 11714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.oA mera name umair hai mery ghr waly mera rishta ak azeez k ghr kr rhy hai me kush nahi wo larki moti or chuti hai agr ami abu ko na kro to bura han kro to mera bura bhen bhai bhi razi nai hai moti hai larki ab mughy kia krna chaheay

Answer: Was Salam. Is tarah k kamo main waldain ki itaat zarori nahi hay. Dono mai sai agar kisi aik ki bhi razamandi nahi tou aisa nikah durust sahi nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah # 2335+Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1439). [Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12963
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islami Nuqta e nazr se Shadi kay baad rehaish (residence) kaha rakhi jaye, mtlb Waliden kay saath mushtarka (combined) family me rehna jayz hay ya sahi nahi hay??? Rehnumai farmaiyay .

Answer: (Note: Waldain ke sath rihaish ho ya biwi ke sath alag ghar me rihaish ho jaiz hai.) Lekin Insaan per apni bivi or maan baap ka naan o nafqa wajib hay. Laikin maan , baap ka naan o nafqa os soorat main daina wajib hay jab wo faqeer o nadaar hon. laikin bivi ka naano o nafqa her sorat main wajib chahay bivi maal daar ho ya nahi, or agar baita ghareeb ho or wo apni bivi or maan, baap ka naan o nafqa dainay ki taqat nah rakhta ho tu jab wo naan o nafqa dainay k qabil ho bhi jay tu os per wajib nahi hay k wo zamana e ghurbat ka naan o nafqa apnay maan baap ko ada karay laikin shohar per bivi ka wo naan o nafqa ada kerna wajib hay jo wo zamana e ghurbat main bivi ko nahi day saka tha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#456+413+440+433). baite per waldain k 2 farz aaid hote hain: 1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain. 2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho. 3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5) [Updated on 06-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13020
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, agar maa apne 3 beton me se sirf ek hi bache ki zindegi barbaad karna chahe aur uske khilaf baaki 2 beto ko bhadkaye aur pure khandaan me use badnaam kare tho us bete ko kya karna chahiye???

Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ke sath hushne sulook kare yani in se apne qoul wa fail ke zarie bura sulook na kare agarche waaldain aulaad per zulm karrahe ho. rewayat me hay :agar waaldain tumhe maare tu tum inhe na jhirkho or kho khuda aap ko bakh de or waaldain ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne wajebaat pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. Baitay k aqeeday k mutabiq waaldain ki jo raay or mau,aq,qif(arguments) sahi nahi hay, os main on se behes or mubahisa(discuss) ker sakta hay.Lainkin baitay ka ye zarori farz banta hay k waaldain se behes or mubahisay k doran adab or tehzeeb ka khiyaal rakay or onki taraf ghoor ker(staring) daikhne se bhi guraiz karay.Apni awaaz ko waaldain ki awaaz se ziyada buland nah karay.or tand o taiz alfaaz istemaal karna tu batareeq e awla jaiz nahi hay.( Ref:Aytullah Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah#298,347,345 ) [Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!