Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16401
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam, Agar Walid (father) sharab piye tu kiya ain se Dori rakh skte hai. Aur kiya agar ainko smjhane k waqt thoda bad-tamazi se baat hojaye tu kaisa hai. Muaqalid of A.Sistani HA

Answer: Baap se doori to ikhtiyar nahin kar sakte, albatta agar baap haram kaam anjaam day raha ho ya wajib ko tark kar raha ho to bete ke liye apne baap ko achayei ki taraf dawat dena aur buraye se rokna jaiz hai. lekin bete ke liye apne baap ko achayei ki taraf dawat dete hue aur buraye se rokte hue, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz baap ke samne sakhti se paish na aaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011). [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia lrki. Nikha ke bd rukhsati se phly maa baap ke kheney pr khula le skti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Is maamlay main parents ki baat manna zaroori nahin hai, aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ke liye kisi ko majboor nahin kiya jaa sakta. Mazeed ye ke Talaq khula us aurat ki talaq ko kaha jata hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya us ko pasand na karti ho) or apna meher ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo us ko talaq e khula day, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain. Aur talaq e khula main zaroori aur laazmi hai ke zauja apnay shohar se itni nafrat karti ho ke huqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah karne ki dhamki day. Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 & 2492). [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17596
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم Aap say gusarish hai ki agr kisi ka baap sharabi ho aur sharab galat baat boley apne bacchon ko aur apni biwi ko ya apne bete ko gandi batein bolein uske bahan maa kay barey mein to isme ek aulad ko kya karna chahiye iske kya ahkam hain

Answer: Alaikas Salam Aulad ki zimmedari hai k walid se Ehtraam se baat krein aur unhein Azziyat nhi di ja skti hai.. Walidain ko aziiayat phnchana Jaiz nhi hai.. Riwayat me hai k Walidain ka Ehtraam zaroori hai agrche vo kafir hi q na ho.. Sath hi sath koshish krein k Walid ki islah ki jae lkn andaaz phr bhi Badtameezi wala nhi hona chahiye. [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17597
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ ۔ کیا والدین کا حکم کسی مستحب کام سے روک سکتا ہے اور کیا اگر کوئی مستحب کام والدین کو اذیت دےتو کیا اس کام سے رک جائیں؟؟

Answer: Jab waldain ka hukum aur rok tok aulad se shafaqt or mohabbat ki wajah se ho aur iski mukhalfat se inhen aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat karna Haram hai. Maslan! Agar aulad ka mustahab roza maan baap ke liye aziyat ka maujib(sabab) ho to aulad ke liay mustahab roza rakhna haram hai. Aur agar Agar aulaad Baap ya Maan ki ijaazat ke baghair mustahab roza rakh lay aur din ke dauraan Baap ya Maan use (roza rakhne se) mana kare, to agar aulad ka Baap ya Maan ki baat na manna fitri shafqat ki wajah se aziyat ka maujib ho to aulad ko chahiye ke roza torh day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1387,1711,1712). [Updated on 13-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aaj bhi kahi ise mother's hai jo apne bacho ko Bina father ke itna bada bana dethi hai

Answer: G aisi bht si misalein hai k mother single parent bn k apni aulad ki tarbiyat behtreen andaaz me krti hain.. [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 24505
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam o aleykum , Agar kisi aulaad ka baap bht badzabaan or badtameez or badmizaaj ho lekin or aulaad us ki pori koshish karay kay kisi bhi tarha maa baap koi koi pareshani na ho aulad ki waja se or farmanbardaari ki pori koshish karay , lekin pher bhi baap ka rawwaya bht hi kharab rahay , aesi soorat mai aulaad kia karsakti hai , agay shadi bhi hogi aulaad ki to kia karsaktay hain is maslay mai ham , Kia aulaad walid ko chohr sakti hai ya kia solution hai is ka?

Answer:

Id: 24508
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamo alaikum. Agar Islam mai waldain k haqooq hain to kia Aulad k haqooq hain? Agar hain to bayan karen authentic reference k sath please. Waldain aksar aulad mai na-insaafi or tafreeq ka salook rakte hain yaani 1 bache ko ziada pyar or doosre ko kam. 1 Bache per ziada kharch jab k doosre per kam. 1 bache ko har cheese daina jab k doose ko har waqt bezatkarna or pir b samajte hain k wo adal o insaaf se kaam le rahe hain. Agar waldain ye anjaane mai b kar rahe hain tab b to aulad suffer hoti hai or aulad khudkushi ya pir baaghi ho jaati hai. Aise waldain k bare mai Islam kia kehta hai please guide. Aise maamlat mai agar aulad ki behtari isi mai hai k wo waldain se baat karna chor dai to kia jaaiz hai kyun k baat karne mai bezti or disheat milti hai. Please guide

Answer:

Id: 24685
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Agar waalid bhot zulm kry olad pe to kia unka zulm bardasht krty rahen...or kabhi kuch bi na bolen chahy Walid din rat zehni Aziyat dety Hoon or zindgi me beghair Kai qasoor k jenay bi na den har want ki Aziyat.... plz agha seestani k fatwa k mutabik answer dain...jzak Allah

Answer:

Id: 24690
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Ap k her jawab me hy k maa baap ko jis bat sy azziyat hy wo na kren, to Jo haqooq Islam ny bachun ko diye hain walidein un ki b mukhalifat kren sirf is liye k "log kya kahen gy" to b khamosh rehna chahye k waliden naraz na hun? Aur as a result us sy Allah ki nafarmani ho jaye?? Phr kis aspect ko dekhen hum? Plz guide

Answer:

Id: 24909
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asslamwalekum mera sawal hai..jo maa apne 13 din k bache ko apni maa ko palne k liye dede aur jo baki bache hain unko khud palti ho aur jab wo bacha bada ho jaye..aur khud bina kisi ki madad k apne pairo pe khada ho jaye apne bhaiyo ko business karva de behno ki shadi karva de..baap ka ilaj kavaye maa ko paise bhijwaye..fir bhi uske ghar wale uski har jagah burai kare to kya karna chahiye.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!