Question: AGR ik walad sari zindgi kam bi kuch na KIA ho aur gharwalo KO bi kuch na deta ho aur galliyan deta rahy AGR beti hai tou usy KO bi AGR beta hai tou usy KO bi AGR koi baho hai tou usy bi is ma aulad KIA rahye Islam ma is ka Kya Hal hai
Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #5 Mafhoom e maslah #298 pg #176). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya jawan beta apni ma or bap ka honto sy bosa ly sakta hy?
Answer: Jee han, jaiz hai lekin agar yehi bosa shewat ka bais banay to jaiz nahin hoga. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistanid.b), Maslah #468, pg #254). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr baap apni aulad ko aulad na samjhe or ghr mai Bethe rhe kuch na kamaye or duniya ke samne dikhawa kre to kya kre plz guide
Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k Quran or Ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah (jan boojh kar ya majboori ki wajah) se wo apne zimmedaare (masalan naan o nafaqa wagera) pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahi karta hai. (Ref: Jadeed faqhi masael, Ayatullah Sistani, Mafhoom e maslah #298, pg #176, Edition #5). [Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bache ko doodh bakshwana chahye maa ka maa k marne k bad
Answer: ? aap apne swaal ki wazahat kare ke aap ki is se kya muraad hay. [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maa baap k farz apne bohoo aur beta k liye
Answer: Shohar ke maan, baap par bahu ke kuch huqooq nahin hain Albatta waliden ke aulad par or aulad ke waliden par Huqooq hain jinhen apni apni jagh par anjam dena zaroori hain. 1: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. Aualad par waliden ke 2 tarah ke Huqooq wajib hain. 1. Agar wo gareeb hon to un se nek sulook karna or infaaq karna, un ki zarooriyat e zindagi or jaiz khuwahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazon ke mutabiq poora karna hai or in wazifon ka anjam na dena ihsaan faramoshi hai. Or ye ihsaan karna un ke halaat, aaram or sakhti, taqat or kamzori ke pesh e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai. 2. Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waleden se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare. 2: Isi tarah waliden ki zimme dari bhi do tarah ki hoti hai 1. Maan, Baap ko takleef is liye hoti hai ke aulad ka bhala chahte hain aur jo kaam wo anjam dete hain agarche is ka un se koi rabt na bhi ho unhen takleef puhnchti hai, aulad ko aisa kaam nahin karna chahiye jis se unhen aziyat ho chahe wo use mana karen ya na karen. 2. Maan, Baap ko is liye takleef hoti ho ke un me kuch buri aadaten paaye jati hon jo unhen pasand na hon agar waliden ko bachon ke aise kaamon se aziyat ho to bachon par is ka asar nahin pare ga aur bachon par is tarah ki tawaquaat ko poora karna wajib nahin hai aur yaheen se maloom hotra hai ke waliden agar bure kamon ki taraf hukum karen ya ache kamon se mana karen to un ki itaat wajib nahin hai. (Ref: Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ (Note: Mazeed maloomat ke liye darj zel links mulahiza farmayen). Link: https://www.erfan.ir/urdu/30907.html Link: https://www.erfan.ir/urdu/30908.html Link: https://www.erfan.ir/urdu/12166.html Link: https://vimeo.com/521734994 [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam un Alekum sir mra sawal yeh hai ke meri walda ki salery 50 hazar hai jis mein se mera baap meri maa ko sirf 12 hazar deta hai jab ke baba ki salery 1.5 lakh hai to unhen apne panch beton ko kina mahana kharcha dena chahiye Shukria..
Answer: 1: Agar aap ki walida razi hain to wo un ka apas ka muamlah hai, chahen to poori salary aap ke walid ko de den chahen to aadhi ya aik tehaai (1/3). lekin agar raazi nahin to aap ke walid ke liye jaiz nahin hoga ke wo aap ki walida ki salary un se le or apne istemaal me laaye. 2: Baap ke liye faqat aulad ka naan o nafaqah wajib hay ab mazeed ye ayteraz nahin kiya jaa sakta ke wo aap ko mahana kharch de raha hai ya nahin or de rahe hain to kam de rahe hain ya ziyada. 3: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid Say Poche Gaye Sawalaat, part #4, mafhoom e maslah #147. + Minhaaj us Saliheen, part #2, mafhoom e maslah #1320. + Jadeed fiqhi masail, mafhoom e maslah #298,584). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiaa raat me jhaaru nikal sakte hain? Agar nahi tou kyun?
Answer: Jaiz hay or is ka makhrooh hona bhi sabit nahi hay.(Ref: email rcvd from sistani.org 23-03-2013) [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalaam-o-alaikum Mera sawaal ye hai k kia waldain ko paalna ya un ki dekh bhaal karna shadi shuda beti ki zimadari hai ya bety ki?
Answer: Asal to Baitay(son) par zaroori hai ke waldain se naiki kare yani agar wo zaroorat mand hon to in ke liye infaaq (karcha) kare aur in ki zaroriyaat e zindagi ko poora kare aur insani fitrat aur mizaaj ke taqazon ke mutabiq in ki zindagi se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi poora kare. Aisi farmaishaat jin ko thukrana in ke ahsaanaat ke muqable me napasadeedah samjha jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat o zuaf ke mutabiq muktalif ho sakti hain. Lekin agar baita waldain par infaaq (karcha) nah kare ya nah kar sakta ho aur in ki zaroriyaat e zindagi ko poora nah kare ya nah kar sakta ho to agar Baiti (daughter) kar sakti ho to Baiti par apne waaldain ka karcha dena Ehteyaat e wajib ki bina par zaroori hay. isi tarah Baitay aur Baiti par zaroori hai ke waldain ke sath ahsaan karen aur in ka ehteraam karen au in ke sath husne sulook karen. yani in se apne qaul o fail ke zariye bura sulooq na karen. agarche wo is par zulm kar rahe hon. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), ques #345,350, pg #211,214, edition #5. + Ahkaam e deen, Ayatullah Sistani(d.b), ke fatwe ke mutabiq, pg #256). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar apni ammi ko chodte hain main kya karu
Answer: (Note: Aap unhen walden ke huqooq ke hawala se aghah karen aur use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake walden ke aitebaar se jo huqooq un par wajib hain unhen ada kare aur us ke liye in walden ke huqooq ada karna wajib hain, agar ada nahin kareg to wo gunhagar ho ga). 1: Aulaad ke liye zaroori farz banta hai ke waldain se bahas wa mubaisa ke dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghurez kare. apni awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare kahan ye ke bure alfaz istemal kare jo batareeqa e aulaa jaiz nahin. 2: Aulad par waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai. Aap apne shohar ko is masale se agah karen ke Qata e rehmi karna (yaani qareebi rishtedaaron se taluqaat khatam kar dena) Haram hai. Agarche wo reham (qareebi ristedar) namaz na parhtay hon aur sharab khor hon aur baaz deeni ekham ko ehmiyat na detay hon. Hamaray Nabi(s.a.w.w) ne farmaya ke fazaail me sab se afzal ye hai ke jo tum se qate reham kare tum us se silah rehami karo. jo tumhen mehroom kare use ataa karo aur jo tum par zulm kare use maaf karo. Silah rehem me wo rishtedaar shaamil hain jo insaan kerfehem me shareek hote hain yaani khooni rishtedaar jese walidain, bhai, behen, maamu, khaala, phupi chacha wagaira. Is me door ke sababi aur nasabi rishtedaar shamil nahin hain. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), ques #296,347, pg #173,213. + link: sistani.org, urdu, waldain ke huqooq, ques #1. + link: https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/ ). [Updated on 24-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar waly apni aulad k huqooq na dein or usy chordy Tou kea wo walid ka haq kho deta hain aulad sy?
Answer: Jee nahin, is se walid hone ka haq nahin kho deta aur us ki hesiyat walid ki hi hogi aur aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahin ke aulad bhi un ke sath wohi rawayya rakhe. Jesa ke Imam Jaffar e Sadiq a.s ne farmaya hai ke jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay se dekhay jab wo us par zulm kar rahay hon to khuda us ki namaz qabool nahin karta hai. Is ke alawa waaldain se naiki karna un tamam aamal se afzal hai jin ke zariye Allah ka qurb hasil kiya jaa sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #298,299). [Updated on 23-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]