Question: what is the name of hazrat Ali (a.s)grand mother(Dadi)?
Answer: Hazrat Fatima binte Amr ibne Abd ibne Imran ibne Makhzoom Ref: Aihsanul Maqaal (Muntahal Amaal Sheikh Abbas Qummi) Pg.18 Trans.Allama S.Safdar Hussain Najafi.
Question: SALLAM,WE HAVE PRINTING PRESS, CAN WE PRINT THE BIBLE?WHICH IS CAN NOT BE READABLE(IN SMALL SIZE 1.5-2.00 INCHES)
Answer: Gumraah kun Kitaaboon ki Isha-at JAIZ NAHI hay.Ref:Istiftaat A.Khaminae 26127E
Question: as sallam : many allim &zakir demanded money for reciting majlis is it jiaz(if their is a limit of demand so plz describe) hope u will give me answer fastly.
Answer: Jaiz hay.agarchay logoon kay BAD ZAN honay ki soorat main munasib nahi hay. Ref: Mujtahid say poochay gaey sawalaat Part-2 Ques.224
Question: Assalam-o-Alaikum, kya chaalis dinon tak gosht na khaaney sey insaan daira-e-islam sey khaarij ho jata hey?
Answer: Mazkoora sawal ki roshni main aisa shakhs daira-e-Islam say kharij nahi hota hay.Ref:Istiftaat A.Khaminae K-32.
Question: Assalam o Alaikum, Kia jis ghar main kisi ka dam nikla ho kia us ghar ki tamam khane ya peenay ki cheezen talf kardeni chahien?
Answer: Ji nahi ye sahih nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-20.
Question: salam,1.kia masjidon main ya ali madad kehna jaiz hay.2.kia ladies ka jalooson main jana jaiz hay.
Answer: 1:Jaiz hay.Ref:Istiftaat S-19...2:Agar ye shehwat ubharnay ka sabab ho ya is say Haram main parnay ka Khouf ho to Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-5 (I-6).
Question: mera question yeh keh agar main ALLAH or Masomeen ka naam darya main thunda kernay keh bagair us ke jaga peices kardoon keh naam wazeh na rahay yeh uss naam ko rung say dark ker doon ta keh woh nazar na aye kia yeh sahee hai yah uss naam ko jala dia jaye.
Answer: In ko jalana JAIZ NAHI hay balkay in ko dafn kar dena ya chotay tukroo main taqseem kar dena ya nehar main thanda kar dena sahih hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-12.
Question: kiya israeil aur ameica ka koi prduct buy kar sakte hian
Answer: Jin Companies kay Profit main say aik hissa Israel ki madad karnay kay liye Mukhsoos hay un Companies ki cheezain (Products) Khareedna Jaiz Nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani (I-11).
Question: kia may motorcycle ya car drive kar sakta hoo ? jab k may baligh hoon aur aaqil hoon.
Answer: Kisi bhi aisay qanoon ki mukhalifat jaiz nahi hay jo nizam ki hifazat kay liye banaya gaya ho.(lihaza agar aap qanoon kay mutabiq is kaam kay ahel hain masalan aap kay paas driving license hay to aap motorcycle chala saktay hain warna nahi)Ref:Book-3 Q.No.165
Question: asslamolikom.app ki tarf sey masol honey waley jawabat ko dekhney ka keya sahee tareka ha, keyoun key baz jawabat to mail key zareya sey aatey han, our baz ko hod jowabat mey serch karna partah ha.
Answer: Aap kay sawal ka jawab hamari website par upload kar diya jata hay aur aap ko e-mail bhi kar dee jati hay jis main aap kay jawab ka link maujood hota hay.aap us link kay zariye ya apnay sawal kay No. kay zariye kisi bhi waqt apnay sawal ka jawab hamari website par mulahiza kar saktay hain.