Question: SALAM kia hindu ko salam kar sactay hain
Answer: Is main koi haraj nahi hay kay aap kaafir ko salam karain laikin ye amal makrooh hay magar ye kay koi majboori ho agarchay majboori ye hi kion na ho kay urfan in jaisoon ko salam kiya jata hay to phir ye amal makrooh nahi rahay ga.Ref:Istiftaat A.Sistani I-50
Question: Salaam Alaikum Is it allowed to buy products of companies that have their origin in America, Israel or any such. Please reply with a bit detail so that it may be practicable to follow.
Answer: Jin Companies kay profit main say aik makhsoos hissa Israel ki madad kay liye makhsoos hay un companies ki products khareedna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-11
Question: Ali Raza Mehdvi Aayat-ul-Allah Seestani ke wakil hain plz give me immediately answer
Answer: Yes he is the Vakil of A.Sistani.
Question: assalam o alikum , maine ye puchna tha k agar koi khwab mein black shoes pehne huwe dekhe tu iska kia matlab ho ga?
Answer: khwab dekhne wale ko chahiye ke gunaho ki siyahi se apane aap ko mahefuz rakhe kunke gunaho ki siyahi me mubatela ho gaya to bahot bade nuqsan ka andesha he.
Question: quran-o-itrat academy me is waqt kin kitobo tak ke durus chal rahe hain?
Answer: quran-o-itrat academy me is waqt rasail part 3 & makasib part 3 tak ke durus chal rahe hain.
Question: Quran o Itrat Academy mey kia Hoza-e-Ilmiya bhi hai, mere age 28 hai aur mey Deene/Fiqh Uloom seekhna chahta hoon, kia mere age group ke liye app courses kerwate hain?
Answer: quran-o-itrat academy me dakhle ke liye age ki koi qaid nahi hain, matric kiya huva ko bhi shia isna ashery shakhs dakhla le skata hain
Question: farz namaaz aur sunnat namaaz mein kya fark hai?
Answer: bismehi taala, farz ko wajib bhi kahtete hain aur is ka matalab he ki is ko har hal me baja lana zaroori he jab k sunnat k jis ko musthab bhi khete hain is ko baja lane me sawab hain magar n baja laya jaye to koi gunah nahin hain.
Question: Normally in Pakistan prons are eaten, I want to ask either we can eat prons or not it is commonly served and eaton in Shia peoples in Pakistan
Answer: bismehi taala, aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.
Question: is it possible in shia law a women after gettng divorced if the both party wants to marriage again,what is the procedure in shia law
Answer: bismehi taala, aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.
Question: the always seatet with non muslim is allowed in islam
Answer: bismehi taala, agar is qism ki mulaqat se non-muslim ke islam se qareeb aane ka chance ho to yeh ek mufeed cheez he. Rasulullah (s.a.w.w.) ne Ali (a.s.) se farmaya: agar Allah tumhare zariye se apne bando me se kisi ek bande ko hidayat de to yeh tumhare liye un tamam cheezo se behtar he jin par suraj mashriq se maghrib tak tulua karta he. (ref: Al-fiqho lil mughtrebin Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.308)