Question: agr istekhara negative aya ho kisi chez k liye aur ap wo karein aur mushkilat ayein tou iska koi kaffara ya dua hai jis se rah haq mai ajai agr wapas jane ka rasta bund ho chuka ho
Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is bat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan pounch sakhta he, albatta mukhalifat ki surat men koi kaffar nahi hai.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 204, pg # 93) . Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa mare engagement mare cousin se hoe ha syed athar shah can u check iz it better to step for marriage or not plz n can u guide me way of istikhara plz ... JAZAKALLAH
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mujy istkhara karna hai lekin mujy pata ni kya ap btao gy kesy hota hai?
Answer: Istikhara ye hai k jis kaam k kerne men mashware kerne k baad bhi faisla nah ker pa rahe hoon to phir istikhara k zerye se madad li jaey.or istekhara kerna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, Istekhara kerne k liay ye kafi hay k 3 baar salawaat(dorood) perhi jaey, or is k baad tasbeeh k daano per haath dala jaey or jitney daanay haath main aaen onko 2,2 ker k gintay jaen or aakhir main agar aik daana bacahy tu istekhara behter aya hay or agar 2 danay bachain tu ye samjhay k istekhara bad (sahi nahi) aya hay.(Ref: Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 + Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,Ayatullah Sistani(d.b),part#3, Mafhoom e Sawaal#114). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar rishtay k sisalay mai kiye huwe istekhare mai naa ajaye tu kya wahan shadi kija sakti hai ????
Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan pounch sakhta he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, Mafhoom e ques # 204, pg # 93) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).(2) Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k mauzo badal jaae jis ki aik sorat ye hai k kuch maal sadaqa kiya jaay. (Ref. Aqa sistani Jadeed fiqi masail masla no. 595). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir with due respect, shadi k lye istakhara kia gya h lakin larki walo k lye nae aya hai or larkay walo k lye shadi k lye han aya hai to esi surat mae kia krna chahye hia . kia shadi kr daini chaye ya nae . or esi surat mae kia faisla krna chahye hai?
Answer: Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k istikhkare ka mouzu(Topic) hi badal diya jaey jis ki aik surat ye hai k khuch maal sadqa diya jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 595, Pg # 291, Eidition# 5). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASA, janab jaise bahut se shia maulana faal kholte h to kya wo Quran se h, or Quran iski ijazat de raha h to konse surah main
Answer: Faal ka koi aytebaar nahi hota hai aur faal kernay walon k liay zaroori hai k wo yaqeen k sath peshan-goi nah karen. Albatta Quran ya tasbeh waghaira se istekhara kerna islam main jaiz hay.(Ref :Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993+ http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me apne liye Istakhara karna chahti hu, lekin mujhe sahi waqt nahi maloom, kai jaga parha hai k, NAFAL k makrooh oakaat me nahi ho sakta, kindly mujhe NAFAL k makrooh oakat bata den ... shukriya
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar shadi ka istikhara thek nahi ata kia us par amal karna zaruri hai? kia duaon se insan ki taqdeer nahi badali jati? agar istikhara thek nahi bhi aya tou shadi kar lain phr bhi?iska hal hai koi?
Answer: Istekhara kernay k baad iski mukhalifat kerne mainn koi harj nahi hai laikin is baat ka khoof zaroor hai k mukhalifat se nuqsan pohnch sakta hai.(Ref:Mujtahid sy puchay gae sawalat,part4,Mafhoom e pg#92). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa. Islam main Istakhara ki shri hasiat kia hai. Agr Istkhara kia jae or us k khilaf amal kia jae to us ka kia kafara hai thanks
Answer: Wssalam o alykum, Shariyat e Muqadasa main istakhara mutabar(sahi) hai, or mukhalifat ki surat men koi kuffara nahi agar-cheh mukhalifat munasib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, Mafhoom e sawaal #112 , 113 , pg # 55). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main istkhara karana chahti hoon kya ho jayega jawab zaroor dijiye
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).