Question: As per the fatwa os ayaat-ul-allah seestani it is makrooh to offer namaz in black clothes. Kindly explain what is meant by black clothes like shirt, pants, coat . What is the criteria of black?
Answer: Kalay kapray pehan kar namaz perhnay ka makrooh hona sabit nahi he chahae ayyam e aza ho ya na hon. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 84, pg # 44) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jab hum matam mein apna khooon bhatey hain to kiya phir hus us waqt nimaz bajamat ya farden parh sakte hain. jaza k Allah
Answer: Agar namaz parhne walay k badan ya libaas par zakham ka khoon ho to wo us khoon k saath us waqat tak namaz perh sakatay hain jab tak zakhm theek nah ho (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 836).
Question: Assalam-0-ALyekum mai peshab karke jb nikalta ho to mjh phir peshab ki hajat ho rahi hoti hai bar bar peshab aata hai or drops bhi girte hai jis se namaz mai pareshani hoti hai
Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: matam k khoon par NAMAZ ho sakti hai kya?
Answer: 1- Agar namazi k badan ya libaas par zakham ya jaraahat ya phorhay ka khoon hut u wo khoon k saath os waqt tak namaz perh sakta he jab tak zakham ya jarahat ya phorha theek nah ho jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 836) 2- Agar namazi k badan ya libaas par aisi kharaash ya rakham ho jo jaldi theek hojata ho or jiska dhoona asaan ho or jis ki miqdaar aik dirham k baraber ya os se zaid ho tu oski namaz batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 837). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia aisay libas mai namaz perhna makrooh hai jis par kisi bhi qism ki tasweer ho?
Answer: Is ko makroohat mai shumar kia gya hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 28, pg # 31) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera q ye hai k agr namaz me qatre nikal jaye to kapre badlna lazim he ya ni
Answer: Agar doran e namaz peshab ka qatra nikal jay tu namaz batil ho jay gi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1113). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar beshab kay qatrey nikatey rahtey hain tou bar bar kaprey change karna mushkil hota hai tou unhi kapron may namaz parh saktey hain
Answer: Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali(plastic bag) istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) Note : Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Janab mera sawal ye hhai k kia perfume laga kar namaz parne se namaz ho jati hai hala k perfume mai alchohal bhi hoti bai ???
Answer: Alcohol pak hai layhaza perfume laga ker namaz perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109+786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr kapru ko billi chu jaye to kiya ham un kapru me namaz ada kr sakty hy???
Answer: Billi per agar alag se koi nijasat na lgi hoi ho to wo khud pak hai lehaza us k chone se koe cheeze najis nahe hote. Haram gosht janwer maslan billi k moo ya naak ka pani ya koe dosere ratubat namaz perhne wAle k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ka aain juz zaail ho ghaya ho to namaz sahe hai(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80,119,813)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mjy aksar qatry aty ha
Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) Mani ko pechan