Question: Salam,ma ya pochna chahta ho k islamic movies ka about sistani sb ka kia fatwa ha kia hum islamic movies daikh sakta hain?jb k in movies ma AIMA ko by face daikhya jata ha.
Answer: Agar in filmo or dramo main in muqaddas hastiyoon ki tazeem o takreem k taqazo ka khiyaal rakha jay or sami’een o nazreen k dilo main in muqaddas hastiyoon ki jo tasawwuraati tasweer maujood hoti hay osay bura asar nah milay tu koe haraj nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, maslah # 592)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kai haya sooz aur fahash filmoo aur tasaweer ka dekhna jaiz hai?
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 184, pg # 90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia shadi ki aisi taqreeb ki film bnana jaiz hai jis mai shrab pi jati ho?
Answer: Shrab khori aur is qism k digar kamoo ki film bnana jaiz nhi. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 344, pg # 211) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Cinema mai un filmoo ka dekhna kaisa hai jis mai auratain apni khoobsurti wa husn ko zahir kar rahi hoon?
Answer: Agar aisi filmain be-heai par mustamil na hoon to dekhna jaiz hail akin shewat aur haram mai mubtila honay ka khof na ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 183, pg # 90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Porn DekhNA iSLAM mIEN HarAm Hai Kia??
Answer: Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Molvi Sahab Mera Ye Sawal Hai k,Mere aik Dost NE mUJH Se Kaha Hai K porn Dekhne Se 40 DIn Namaz Qabool Nhi Hoti Kia Ye Sach HAI ????pLZ answer .
Answer: Etihyaat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agarchhe shak or lazzat k bagair dekha jay.(Ref : Jadeed Faqhi Masaail Ayat_ullah Sistani (d.b), Masla#463,pg#254) Toba kijay Parwardigar ne quran me wada kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta h or aiysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade pr amal na kare. Or gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : Email From sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)
Question: dear sir.main blue film dekhta hu or hasth mathoon bhi karta hu in dono ke kya gunah hai.
Answer: Ye dono kaam haram hen q k in bulu filmon k dekhne se aap ek or gunah men mubtila horahe hen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Book:Nigah or Libaas, pg#46). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a.a kaya larka ya larki sexsey story .sexsey movie or video and sexsey image dakh sakta hai ?
Answer: Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay.Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mai 16 saal ka hu mujhe shaitan bahut bhadkata hai ek hafte me to ek baar porn video dekhta hu kya karun mujhe kuch upai bataye jo mai isey bhul jaau
Answer: 1)Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2)Hameshah yad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, aur is gunah ko anjam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k kuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai wagira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baidar karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mein koi porn video ya tasveer dekhta hn mere kapre kharab ho jatein hain thori mikdar mein toh kya mera gusal tot jaye ga.
Answer: 1)Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2)Jo ratubat shewat anghaiz tasaworat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. 3)Mani k niklnay sai insan mujnib ho jata hai chahae kam niklay ya ziada, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344, 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).