Question: Bewe ko fehash film dekhna jaiz he
Answer: Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka beghair shewat k dekhna bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ghndi vdeo dkhna sa ghusal wajib ha or sir ka sb balo ko dhona zarori ha or wahe libas pahan skta ha
Answer: 1: Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). 2: Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. Haan agar mani kharij ho jaay to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). 3: Wo liquid jo sehwat k sath niklay, uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai, wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o aliakum..kya movie me kiss scenes dekhna b gunah hai
Answer: Fehesh manaazir(sexy movie/ picture) lazzat ki nigaah say daikhna haraam hain or ehtiyaat e wajib ki bina par lazzat k baghair bhi daikhna haram hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #492-3). [Updated on 24-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salaam o ali kum!sir!mera sawal ye hai k, sex Cartoon pic or video,s dekhne ki ijazat hai(miaan bivi k experians k liye).? Plz... replay me,jazak Allah!
Answer: Ehtiat e wajib ki bina per in ko dekhna bhi haram hai. (Ref : Jadeed Faqhi Masael Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #463, pg #254). [Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main pehla phone par gandi videos dakha karta tha par uv nehi dakhta hoon. Kia mai usi phone ma Islamic cheeza ( ex - surah ) par sakta hoon ?
Answer: Ehtiyaaat e wajab ki bina par sex movie yani fehash filmain aur photos ka daikna haram hai chahay shak aur lazzat k baghair daikha jaay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 463). Note: jee mobile per jaiz video daaikhna jaiz hay. [Updated on 16-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia feet worship videos dekhna haram hai ?
Answer: Ehtiat e wajib k taur per fahash filmo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agarche shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #463, pg #254). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia feet worship videos dekhna haram hain?
Answer: Ehtiat e wajib k taur per fahash filmo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agarche shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #463, pg #254). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mai porn dekhtai hu bohot Koshish ki pr nahi chor pa Raha...AUB Mai himmat haar chuka huu.8 Saal hai Koshish kr raha hu chorni ki...Meri age 27 hai....bohot pareshaan hu...koi Amal batai ke porn choot jai
Answer: 1: Jinsi filmon (porn movies) ya tasaveeron (porn pictures) ko shehwat ke sath dekhna Haram hai, balke Ehteyat wajib ki bina par fahash filmon (porn movies) aur tasweeron (porn pictures) ka dekhna baghair shehwat ke bhi Haram hai. 2: Jo shakhs bhi shadi na karne ki wajah se Haram kam (porn movies, pictures) me mubtila hota ho to us par wajib hai ke wo shaadi kar lay. 3: Ghunahon se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof kar lein jaisay sports, parhai, job waghaira, aur tanhai se door raha jaye aur logon ke sath rahen aur har us cheez se bachen jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar khud par qaboo nah paa sakte hon to roza rakhen Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai. 4: Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. 5: Tazkiya e nafs aur roshan qalbi ke liye namaz e subah aur isha ke baad awwal o aakhir 7 baar salawaat ke sath surah e shoora ki ayat #53 ko 100 baar parhain to InshAllah zaahiri o baatini aalaishon aur khabasaton se nafs bezaar hoga. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #463. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + Dunya o aakhirat ki 100 preshanion ka hal, pg #42. + Naway e Saliheen, pg #342). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Movie dakhna aur gana sunna shirk hai ya nahi agar hai toh kaisa hai
Answer: 1: Aisi qaumi or gher mulki film o dramay jin me hijaab ka khayal nahin rakha jata aur television se dekhi jati hai agar lazzat ke irade aur gunah me mubtila hone ke khauf ke baghair aur akhlaqi buraiyon me mubtila hone ka baais na bane to dekhna jaiz hai. Albatta agar lazzat ke irade aur gunah me mubtila hone ka khauf ho aur akhlaqi buraiyon me mubtila hone ka baais bane to dekhna jaiz nahin hai. 2: Ghina(song) chahe kisi bhi zaban me ho or burayei ka ehtemaal ho ya na ho Haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hai jisay aisi laye (tarz) ke sath gaya jaye jo lohv o laeb (faajir o fasiqon) ki mehfilon se makhsoos ho. aur gina(song) ka sunna bhi Haram hai. (Note: Agarche qaumi or gher mulki film o dramay lazzat ke irade aur gunah me mubtila hone ka khauf sath dekhna aur gina(song) gana aur is ka sunna ye Haram aur ghunah e kabira hai lekin is se insaan mushrik nahin hota yani ye shirk nahin hai). (Ref: Nigah or libaas, sawal #50,51,52, pg #44. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2043. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Movie dakhna aur gana sunna shirk hai ya nahi agar hai toh kaisa hai
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]