Question: sexy video dekhnay k baray mai kia hokum hai?
Answer: Ethiat-e-wajib k tor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia sex stories or movie dekhna jaiz hai main is ka kia karo jiti bar b touba ki phir se dekhny ko dill parts hai or gunnah sir injam ho jata hai
Answer: Ehtiyaat e wajib k taor per sex stories movie or tasweeron ko dekhna Haram hai, agrche shak or lazzat ke bagher dekha jaye.(Rref: A.sistani Book#Jadeed Fiqhi Masaa`il, pg#254). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia islam mian sex videos dekhna b zina ha
Answer: zina nahi hai mager haraam o gunah e kabira hai lehaza dekhna jaiz nahi hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Sir A.S mera swal hai k porn movies pics dekhna gunnah hai lazzat k irady k bagair. Or 2sra q Jab main nimaz parhta hun to mery zehan main khud ba khud dunyavi khayl any lagty hain . Any suggestion
Answer: (Bina bar ehtiyaat e wajib) deekhna haraam hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal # 56 , pg # 47). Rozana 1000 martaba ya Allaho ka zikar kijye. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 36 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sallam Mera Sawal ye h k Kiya Nangi Films Dekhna Haram he? plz Jawab Tafseel se Batana
Answer: Ihtiyat e wajib k taor fahash filmon or tasweeron ka dekhna hram hai agrchhe shak or lazzat k bger dekha jaye. (Ref: Ayatullah_Sistani(d.b,Jadeed Fiqhi Masaail,Pg#254,Masla#463) (Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)
Question: i m a boy mra koi b cheez dkh kr katry nikal aty hain is ka jwab dy do kia kru
Answer: Lazzat aur shak kay sath fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haraam hai (Ref: Jadeed Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharnay ki waja se kharij hoti hai usay mazi kehtay hai,wo ratoobat jo baaz awqaat peshaab k baad nikalti hai usay wadi kehtay hai aur wo ratoobat jo mani kay baad kharij hoti hai jisay wazi kehtay hai agar peshaab mila hua na ho to ye ratoobatain paak hai is say wazu aur namaz nahi toot ta (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mara sawal ya chahah ce ap ki kia murad ha r dosra sawal k ma porm videos dekhti phr mjy ahsaas hta ha k ya galt ha ha phr tobba karti hu but phr 2 3 month bd dekhti lati ...ma bht shirmnda hu ak e guna bar bar karti hu plz mjy btye k kaisy tooba karo
Answer: chahahe ka matlab ye kaam karna zarori hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #134 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ager ma koi drama dekhta hun tw mere walid mujh sey kehte hain kay na mehram larkion ko ziada na deka karo kia un ye aeteraz theek hai fikh key masle kay lihaz sey jawab dein
Answer: Ayse qomi or gher-mulki filmi ko jin me hijaab ka khayal na rakha jata or television se dekhi jati hai Agr lazzat k irade aur gunah me mubtila hone k khoaf k beghair aur akhlaqi buraiyon me mubtila hone ka baais na bane to dekhna jaiz hai.(Ref : Nigah or libaas,pg:44) Ethiat e wajib k tor per fahash filmon (porn movies) or tasveeron (porn pictures) ko dekhna haram he agarche shak aur lazzat k bagair dekha jaye. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia sex movie dekhnay say 40 days ki namaz qabool nai hoti
Answer: dekhna haraam o guhnaah hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal no # 56 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam sir me khuwari hu kahe dafa porne movies dkhne k waqat fariq hoti hu kia use se mre parday patne ka khatra tu nai ....
Answer: 1)Ehtiat-e-wajib k toor per fehesh filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram hai. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#2407) (Ref: Jadeed Faqhi Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#463) 2)Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 1)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Hazrat imam jaffer e sadiq (a.s.) ka irshad he k surah e alhamd ka parhna mout k siwa har bemari ki dawa he. surah e hashr ko kholoos e dil k saath parhein to inshallah shifa ho gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 208 , 209) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: sharamgaah main ugli daali jay tu perde ka phatna mumkin hay laikin agar faqat baghair ungli dale discharge hoti hoon tu perda nahi phat,ta.