Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: syed ka sadqa gharib syed ko s day aqtay hay

Answer: Syed ka sadqa syed aur ghair syed dono ko diya jasakta saktay hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1604 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9074
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam hm rad e mazalem k pasey kaya suni patients ko dae saktae hn?

Answer: zarori hay k radd e mazalim aise 12 imami shia,gareeb ko diya jaey jo deendaar ho or ehtiyaat e lazim ki bina per haakim e shara ki ijazat se diya jaey. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0481/ ). Update on dated 28-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kisi ko bina bataye sadqa ya fitra de sakte hain

Answer: Mustahiq ko ye batana zarori nahi hai k jo raqam use di jaa rahi hai wo sadqa ya fitra hai.(Ref: ahkaam khums o fitra,pg:180) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA IMAM ZAMANA KI TARAF SAY SADAQA DENA CHAHEYEY? KIYA YE QURAN, HADEES RASUL ALLAH, IMAM KA FARMAN HAI YA MARJA KA FATWA HAI? AGAR NAHI TO KIYA SIRF LOGON KI MOHABBAT KA AMAL HAI. TAFSEEL SAY FARMAEN.

Answer: Riwayaat main umoomi tour par riwayaat mai moujood hai k sadqay k fazail hai or ye kisi k liay bhi diya jaa sakta hay.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/855/ ) [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar aik banda sahbe hasiyat hai to kia wo sadqa ki cheez kha sakta ha

Answer: Mustahab sadqa gani(rich) ko b diya jaa sakta hay. (Ref: Minhajus saliheen, part# 2, masla#1607). [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia syed ka sadka syed ko day saktay hain

Answer: jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#2, maslah#1604). Update on dated 11-10-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sadka ka asal hakdar kaun hai,, aur apne behen ya bhai ko de sakte

Answer: Sadqa ghani, mukhalif or kafir e zimmi ko daina bhi jaiz hay. Sadqa qareebi muhtaj rizshedaar ko daina zaida afzal hay. (Ref: Ayatullah Khoe r.a, almobeen fi tauzihul Minhajus saliheen, part#4, maslah#1226-27). Update on dated 02-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me Sadqa k bary Mein Masla phochna chahta Hn wo yeh k kia Syed ko Syed Sadqa dy Sakta h

Answer: Syed kisi doosre syed ko mustahab sadqa de sakta hay, balkeh ghair syed bhi kisi syed ko mustahab sadqa de saktay, laikin agar rad e bala k liay diya jane wala sadqa bohot qaleel miqdaar main ho jo k tauheen or zillat ka sabab ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k ghair syed, syed ko is tarah ka sadqa nah day. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#2, maslah#1604)

Id: 11680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya kisi zaroratmand dost ko bina batay sadqa diya ja sakta hai k os ki izzat e nafas majroh Naa ho or os ki madad bhi ho jayn?

Answer: Aap apne dost ko sadqa baghair bataey de sakte hain. (Ref: Mujtahid se poche gaey sawalaat, part#2, pg#56). [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11797
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As Salam o Alaikum, mera question yeh hai k mai karbala se 2 kafan apnay aur apni mrs k liye laya houn please yeh batadain k kia kafan ka sadqa dain joga agar daina hoga to kitna joga 2 kafan k. Regards Haider

Answer: Jee nahin sadqa nahin hota, han agar us ko istimal na kiya jai khums ajae ga. Insan k lie apni zandigi mai kafan ka tayar rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 573) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!