Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum, Mjhy yeh pochna tha k jiske naam pe sadqa de rae use batana kia zarori hota hai k use bta dia jae k tmry naam pe sadqa de raha hun? please mjhy non shia se related btaega. Shukria

Answer: Is website per fiqh e jafferiya(shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jaatay hain: [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo ghar mn nokar kam krty hain unko sadqa dy sakhty hain

Answer: Jo shaks haqq or ahle haqq se dushmani na rakhta ho use mustahab sadaqa Diya ja sakta hai or saqda dene wale ko ajaru sawaab bhe nulega . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 ,jadeed fiqhe masail , aqa sistani ,pg.no.207,masla no : 327) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slm. I'm syeda zainab mra swal ye hai k mri umar 25 saal ho gai h or mri mngni ko saal hony wala h jb b shadi ki date fix hony ki bat hoti h koi na koi prblm aa jati h mry ghr waly bht preshan hai es sb sy tou plz koi hal bta dain

Answer: Sadqa day kar kaam ko shuroo kia jaey, sadqa balao ko taal daita hay.(Ref: (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, pg#514,eidition 1439 ). [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12487
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam..mera sawal hai ki kya imam e zamana a.s ka jo sadqa hm log nikalte hain ya or bhi sadqa jo nikalte hain usme note tabdeel kr skte hain? Shukriya

Answer: wsalam. Jee note tabdeel kiye jaa sakte hai, laikin gar aap ne pehle ksis adare ya shaks se ijazat lay kar sadqa jama kar rahe thay tu aap note os sorat main tabdeel kar sakte hain jab aap ne on se tabdili ki ijazat li hoe ho. ye shart zakat e fitra mai hai k aap ne rqam jo alag ki hai ab usay badal nahi saktay lekin sadqa khums wagaira mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1990). [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13649
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam,Kya ek bakry pe do insaano k naam liye jasakty hain sadqy k liye??

Answer: 1: Agar aap ki is se murad Aqiqa hai, to Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k usool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394-395). 2: Aur Agar aap ki is se murad wo sadqa jo kisi museebat ke tal jane ke liye kiya jata hai, to Is men jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ) [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13823
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia humy apny marhoom walidain ka sadqa nikalna chahye?

Answer: Aap khuda se 14 masomeen(a.s) k wasile se on k liay dua ker sakte hain or un ki liye bakhshish ki dua ker sakte hain or on k naam per sadqa day sakte hain doosre naik kaam ker sakte. Yaqeenan Allah Ghafoor o Raheem hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1, Mafhoom e Jawab #199 Page #94) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! I want to know k aik hi sadqay ki raqam pe do niyaatain ki ja sakti hain? Maslan Imam e Zamana (as)ka sadqa or radde bala k liye ghar walon ka sadqa kia aik hi raqam se dia ja sakta hai ya alag alag raqam ka sadqa dena hoga?

Answer: Jee han, dono ki niyat kar ke aik hi sadqa diya ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #2, Mafhoom e maslah #1603) [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14231
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا سید بہیت ضرورت میں کسی سید انسان کا صدقہ استعمال کرسکتا ہے

Answer: Syed ka sadqa syed aur ghair syed dono ko diya jasakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #2, Edition #1417 hij, Maslah #1604). [Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia musafir sadqa kar sakta hai

Answer: Jee han, de sakta hai. Aur Riwayaat main umoomi tour par moujood hai k sadqay k fazail hai or ye koi bhi de sakta hai aur kisi k liay bhi diya jaa sakta hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/4779/ ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, mera sawal ye h ki kya marhoom k nam ka sadka ya fitra nikala ja sakta h??? Agar nikalana ja sakta h to kaha kharch Karna wajib h

Answer: Marhoom ke naam ka sadqa diya ja sakta hai aur mustahab sadqa ghani(rich), mukhalif or kafir e zimmi ko daina bhi jaiz hay. Sadqa qareebi muhtaj rishtedaar ko daina zaida afzal hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #2 masla #1607,1609). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!