Question: Sadqa kis bande ko dena chahiye?
Answer: Sadqa gani(rich), mukhalif(sunni), or kafir e zimmi ko bhi diya jaa sakta hay. Lekin Sadqa qareebi muhtaj rizshedaar ko daina zaida afzal hay.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum Hum imam e zamana k Nam say sadqa kis ko day saktay Hai Aqae sistani k mutabiq btaiye ga
Answer: mustahab Sadqa jo Imam e zamana (a.s) ke lie nikala jata hai wo tamam logon ko diya jaa sakta hay chahe ameer ho, gareeb ho, shia ho, sunni ho ya chahe kafir ho laikin kafir e harabi ( jo musalmaano se halate jang me ho) or jo shaks ahle haqq ( masalan muhammad o aale muhammad ) se dhushmani rakhte hai un ko na dia jaae . (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607, jadeed fiqhe masail ,bamutabiq fatwa aqa sistani,,pg# 320) [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sadqa bta ke dena zaroori hain or family ko de sakte ky sadqa
Answer: 1: Mustahiq ko ye batana zarori nahi hai k jo raqam use di jaa rahi hai wo sadqa ya koi raqam hai 2: Jee( mustahab sadaqa or wajib sadaqa agar rishtedaaro me sharaait moujood ho tu) de sakte hain balke afzal ye hai ke qareebi gareeb rishdaron ko diya jaye or is se bhi afzal ye hai ke rehmi rishtedaron ko diya jaye. (Ref: Ahkaam e khums o fitra, sawal #14, pg #180, Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607,1609). [Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam..mei nay apna karobar start kia hai or niyat ki hai imam e zamana ko partner banaya hai sale ka 5% nikalo ga .. sawal yeh hai k wo paisay kis ko don kisi momin mustahiq ko day sakta ho ya syed ko dene hon gay ?
Answer: Aap har os kam main kharch kar sakte hain jis main imam e zamana a.s ki riza shamil hone ka itminan ho. [Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aik Bhai apni behn ko sadqa de Sakta hay jub keh uska sarparast uska bhai he ho or Acha kamata b ho, waldain wafat pa chukay Hain.
Answer: Agar bhai or behen ayse kafir nah hon jo musalmano se jang kar rahe hon or nah hi Islaam or Ehl e Bait (a.s) se dushmani karne wale hon to phir mustahab (jo wajib na ho) sadqa de sakte hain. or agar jis ko sadaqa dia jaraha hai syed ho tu ehtiyaate wajib ki bina per wo mamoli raqam (maslan five rupees waghaira ) jo haqeer samje jate hai wo na de (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Mafhoom e Maslah #1607). [Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera sawal ye h k agr koi ghair e shia hmse sawal kre k ap Imam e Zamana as k nam ka sadqa q dty hein wo Masoom hein r ALLAH talla k pas hein unhy kia koi preshani yaa tklf asakti h q k sadqa balaon ko door krta h Kindly iska answer krdein
Answer: Jee haan bilkul Imam e zamana ka sadqa dia ja sakta he, is tarah to shukur kerne per bhi aitraaz aa sakta hai k kese shukar karen jis zaban se karen ge wo bhi to ALLAH ki hi di hoe hai to phir shukur kerna to hamare liay mumkin hi nahi hai, lekin aisa nahi hai khuda ka hukum hai k shukur karen to apki nematoon men izafa ho jaey ga, isi tarah sadqe ka hukum bhi Allah deta hai or riwayaat men bhi hai Aimma Masoomeen a.s ne taqeed ki hay k sadqa dene ki. Or isi tarah IMAM E ZAMANA a.s k liay dua_e_salaamati or drood waghera ka hukm hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij). [Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum khairiyat? Mera ye sawal hai ke mere doston ke naam par sadkha Nikal saktey?
Answer: Jee han, nikal sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #279). [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ آپ لوگ کیسے ھیں امید کرتا ھوں آپ ٹھیک ھونگے میرا یہ سوال ھے کہ میں امام زمانہ کی صحت و سلامتی کے لیے صدقہ دینا چاھتا ھوں تو وہ کیسے دوں اور کس کو وہ صدقہ دینا چاھیے اور وہ صدقہِ کس چیز کا نکالنا چاھیے ؟ والسلام
Answer: 1: Jin pasandidah faraiz ki takeed humare paishwaon ne farmayei hai un me aik fareeza Imam (a.s) ki salamati ki niyat se sadqa dena hai. Sadqa bazat e khud aik pasandidah amal hai aur salamati e Imam (a.s) ki niyat se us ki ehmiyat aur ziyada barh jati hai. Imam Jaffar Sadiq (a.s) se riwayat hai ke Allah ke nazdeek Imam (a.s) ke liye maal kharch karne se ziyada pasandidah cheez aur koi nahin hai, ba-tahqeeq jo momin apne maal se aik dirham Imam (a.s) ki khatir kharch kare, khudwand behisht me Uhd ke paharh ke barabar use us ka badla de ga. 2: Imam e zamana (as) ki sehat o salamati ke liye bhi usi tarah se sadqa nikalna hai jis tarah hum apne or apne ahl o ayaal ke liye nikalte hain. jese ke sadqe ke taur par paise, libas ya koi cheez dena. isi tarah sadqa nikalne ke baad unhi ghareebon, faqeeron or muhtajon ko dena hai jin ko hum apna or apne ahl o ayaal ka sadqa dete hain. (Ref: Usool e Kaafi, jild #1, pg #735. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Seestani(d.b), Part #2, Mafhoom e page #514,515). [Updated on 16-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mjhy ye puchna tha k kya aqeqe ka ghost hum hinduon m bant sakte hen?
Answer: Aqeeqay ka ghost hinduon ko diya jaa sakta sakta hai magar mustahab ye hai ke momineen ki jamaat ko dawat di jaye aur afzal ye hai 10 ya is se ziyada afraad ko dawat di jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Mafhoom e Maslah #394,395, Edition 1417 hij). Mustahab sadqa ( yani wo sadaqa jo kise per wajib na ho ) non shia ko diya jasakta hai.or aisay kafir ko daina jaiz hay jo musalmano k sath halat e jang main nah ho Laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ehle bait aur dushmane deen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Maslah #1607 , Eidition 1417 hij) [Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sadqa ya kherat ki raqam kisi ko ojrat k tor pe de ja sakti hy?
Answer: Sadqa us waqt shumaar hoga jab ya to mustahaq ko sadqa day diya jaye ya phir kisi mustahaq ya mujtahid ke waakeel se ijazat laay kar ghar main sadqa jama kiya jaye aur baad main mustahaq ya mujtahid ke waeek ko day diya jaye. lekin agar wo raqam mustahaq ko na di jaye balke kisi ko ujrat ke taur par di jaye to wo ujrat ke taur par di to jaa sakti hai lekin phir wo raqam sadqa shumar nahin hogi.or sadaqa us waqt Tak sadaqa banta nahe hay jab tab qurbatan illah ya faqat allah ki lie dia hay ,us me ko or cheez na ho (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01836/,minhajussuleheen jild :2, topic :sadaqa ). [Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]