Question: g slam main ye puchhna chahti hoon ki namaz parhte huye achank kuchh kheyal ate hai or main apna deyan namaz me lagana chahti hoon to kaise kheyal ane ki siqayet ko door karoon?
Answer: Aap pabandi or takeed k saath halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamo k demiyaan or jab baithay ki halat main apne daman par nigaah rakain tu ye cheezain namaz main tawajjah paida karain gi.(Ref:A.Sistani(d.b),Mujtahid se pochay day sawalaat,part#3, sawaal#76 ) Mustahab hay k Al-hamd or sorah perhtay waqt ayaat k matlab(meaning) ki taraf tawajjah rakhain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1004). Namazi ko khiyaal rakna cahhiay k namaz ko jaldi jaldi nah perhay or namaz ki halat main khuda ki yaad main rahay, or khushu or khuzu or waqaar or yaksoo,e se namaz perhay or ye khiyaal rakay k kis hasti se kalaam ker raha hay or apnay aap ko khuda ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or na cheez samjhay.agar insaan namaz k doran pori terah in baato ki taraf tawajjah rahay tu wo apne aap se bay khaber ho jata hay. Jaisa k namaz ki halat main hazrat imeeril momineen Imam ali (a.s) k paon se teer khainch liya gaya or aap ko khaber tak nah hoe.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# after 716). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Namaj mein Raful yadian karna chaiye. Sahih hadith ki roshni me batayein.
Answer: Mustahab hai ke namaz ki phely takbeer aur namaz ki darmiyaani takbeer kehte waqt haatho ko kaano k brabar tak le jaain.(Ref . Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 942).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A O A.janab kia takbeera tul ehram mein dono hathon ko kano(ears)tak uthana wajib hai ya jahan tak marzi ho hathon ko utha le.
Answer: Mustahabb hay k namaz ki pehli takbeer(takbeera tul ehram) aur namaz ki darmiani takbeerain kehtay waqt hathoon ko kanoo(ears) k brabar tk lay jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 942 ) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya peshaab ki halat mai namaz ho jati hai or agr nhe hoti to uski wjaa kya hai..
Answer: Peshaab ya pakhana rook kar namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1144). Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar kamry mai koi photo lgi ho per wo samny na ho namaz prhny wali jaga k is jaga se chup jaye or teddy bear pry hn per samny na pry hn namaz ho jati hai
Answer: Namaz sahi hay,lekin makrooh hay agar us ko dhanp dia jaey to makrooh nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alikum! Kia us dewar k samny namaz prh sktay hain jis py Allah or Rasool S.A.W k names wali tasweer lghi ho
Answer: Jee, koe haraj nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aurat namaz main sajady main jaty hoy zameen per hath phly rahky ya gutny
Answer: Aurat k ley mustahab hay keh sajdey main jaty hoay pehlay guthney zamin per rakhay.(Ref: Ayatullah e Sistani db Tuzi ul masahail masla #1078) [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere shirt ya t shirt par kuchh likha hai sirf likha hai aur tasveer nahi hai to kya namaz ho sakti hai
Answer: Fuqahaa e karaam is ko makrooh maante hai k namazi k libas per jandaar ki tasveer ho. lekin agar tasveer nahin hai to makroh nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah # 852) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis kamrai mai tasveer ho kia us kamrai mai namaz nhi parh saktai ya sirf tasveer ka agaye hona jaha namaz parhinjae galat hai bhalai room mai kisi aur deewar par ho.
Answer: Jis jagah jaandaar ki tasweer ho chahay namaz perhne walay k saamnay nah ho tu os jagah namaz perhna makhroh hay.laikin namaz batil nahi hoti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#885 ). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa,sir mera question yeh he ke kia peshap yeh pakhana ki hajat hute huway namz parna sahi he ,iska jawab mene buhat donda lkn nahi mila plz rehnumae farmaye
Answer: Peshaab ya pakhana rok kar namaz parhna jaiz hai. Albatta makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1145) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]