Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu o Alaikum, meri t shirt per horse Ka logo ho yah kesi aur janawar Ka logo ho Kiya usay namaz hojati hai

Answer: Jee han, Namaz saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par jandaar ke chehre ki tasveer ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #852). [Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14561
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hei k namaz k liye roshni hona zarori hai matlb k taiz light k bajaye madham roshni mei b namaz ho skti heina?

Answer: Andharay(dark) mai namaz parhna jaiz hai laikin agar is sai namaz ka khushu aur khuzu khatam ho raha ho to makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1144). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam jab surh fatiha sharif parhta h to hr ayat pe rukna hota h maslan aik sans men aik ayat ye sunnat tarika h mujhy is hadees ki sanad or ye hadees kahn pe h batain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Is silsile men kitab masail-us-shariya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #46, pg #169,170. ki tarah ruju kiya ja sakta hai. [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Jis room mein tasavir hn us room mein namaz perhna Haram hai.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Us room me namaz parh sakte hain Q ke jis jagah tasweer ho wahan namaz parhna makrooh hai lekin Haram nahin hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tasweer ke tarf kamer kr k nimaz ada krskty hain

Answer: Jee han, namaz ada kar sakte hain, lekin jis jagah tasweer ho chahe wo samne na bhi ho wahan namaz parhna makrooh hai lekin Haram nahin hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia har namaz k bad tasbeeh e fatima or dua farz hy sunnat hy ya nafli ibadat hy?

Answer: 1: Mustahab o sunnat hai aur Mustahab ya sunnat yani pasandidah. Jo kaam Allah ko pasand ho lekin us kaam ko wajib qarar na day. Har wo hukum jis ko karnay me sawab lekin tark karnay me ghunah na ho, use Mustahab ya sunnat kehte hain. 2: Mustahab hai ke insaan namaz ke baad kuch dair ke liye taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhe, Behtar ye hai ke namaz ke insaan apni jagh chorne aur wuzu, ghusl ya Tayemmum batil ho jane se pehle ru ba-qiblah ho kar taqibaat parhey. yeh zaroori nahin ke taqibaat arabi zaban main hon laikin behtar hai ke insaan wo duayen parhe jo duaon ki kitbon main batayei gayei hain aur tasbeeh Fatima Zahra (s.a) in taqibaat main se hai jin ki bahut ziyada takeed aayei hai. yeh tasbeeh is tarteeb se parhni chahiye: 34 dafa Allahhu Akbar, 33 dafa Alhamdu lillahi aur 33 dafa Subhanallahi. Aur Subhanallahi, Alhamdu lillahi se pehle bhi parha jaa sakta hai. laikin behtar hai ke Alhamdu lillahi ke baad parhe. 3: Insan ke liye mustahb hai ke namaz ke baad sajdah-e-shukr baja laye aur itna kafi hai ke shukr ki niyyat se paishani zameen par rakhe laikin behtar hai ke 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa shukran lillahi ya afwan kahe aur ye bhi mustahb hai ke jab bhi insaan ko koi nemat mile ya koi musibat tal jaye, sajdah-e-shukr baja laye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1109,1110. + Fiqhi Istelahaat, pg #479). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!