Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Ham apni bivi k liye gana ga sakte hain ya nai.ya bivi apne shohar k liye

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550) Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3286
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bivi apne shohar k liye gana ga sakti hai ya nai ya phir shohar bivi k liye ga sakta hai ya nai?

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550) Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir kiya Islam main daaf baja kar naatin parhna jaz hay ya nai plz hadees kay reference kay saath reply dijiya ga?

Answer: Rasool e khuda(s.a.w.w) ne aik hadees main fermaya hay k “Ganay walay ko apni qabar se andha, gonga or behrah uthaya jaay ga, zinakaar ko bhi aisay hi uthaya jaay ga, baansri bajanay walay ko bhi isi halat main uthaya jaay ga or daf bajanay walay ko bhi isi terah uthaya jaay ga”.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 552). Hadees rasool (s.a.w.w) main daf ko haram qaraar diya gaya hay laikin ye har waqt haram nahi hay balkeh is ki bhi khuch sharait hain jis ki wazahat ye hay k: Music 2 aqsaam ka hay halal music or haram music. Halal music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon(khail kood or bayhoda afraad ki mehfiloon) se munasibat or ham aahangi nah rakhta ho or Haram music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhta ho.or music ka lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhne ka matlab ye nahi hay k music ya ghina(song) ka lehen nafs ko rahat or sokoon pohnchay or oski kaifiyat ko tabdeel keray.is liay k ye cheezain tu durust hain, balkeh iska matlab ye hay k music ki awaaz or ghina(song) k lehen ko sunnay wala, khusoosan agar wo shaks jo in cheezon ki khosoosiyat se bakhaber hoon, is baat ki tashkhees karain keh ye lehen lahw o la,ib main istemaal hota hay ya is lehen se shahabat rakhta hay jo lahw o la,ib main istemaal hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 546)

Id: 3404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, Jo qawaliyan Hazrat Muhammad PBUH ke shan maiin parhee ya gai gain hon music kay saath to kia woh sunna aur parhna jaiz hay plz hadees ke roshni say batain?

Answer: Ginna haram hai is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: please guide me how to avoid bad thoughts and music

Answer: 1-Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550) 2-Agar music aisa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy)

Id: 3585
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya gane sunna haram hai? agar nahin? to hum aise gane sun sakte hain jis se koi galat baat nahi nikalti ho jisse hum bhatak te nahi ho?

Answer: 1-Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550) 2-Agar music aisa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4080
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia classical mosiqi (song) sunna jaiz hai?

Answer: Agar lhw wa leab sai munasibat rakhnay wali mosiqi hai to jaiz nhi, is k alawa jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 161, pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam-o-alaikum!myny apsy ye qstn krna tha k kya hm songz sun sakte hyn with refrence gv me ansr thanks!

Answer: Ganay gana(singing), sunna or is ka karobaar kerna ye sub haram hain or ghina(gana/song) se muraad wo bayhoda kalaam hay jo ehl e lahw o laa,ib main maroof lehen main paish kia jata hay. (Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: education system k hawaly sy aik sawal pochana hai k aj kl schools me music compulsory ho gya hai aur jin schools me music nahi hai wahn ka education standard low hai . ab education pr compromise karien ya music pr.

Answer: Music ki ijazat nahi hai aur Karachi mai aisay bohat sai school hain jin ka standard bohat acha hai aur os mai music bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5499
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is liistening of sad music allowed in islam?

Answer: Ager is music ko ehl e fujoor or lehaw o laeb ki tarz o dhun main ada kiya jaae to jaiz nahi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , pg # 86 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!