Question: as Slam un alekum jnb main india se hu yha hindu ki tadat h pr muslim bhi h to kya hindu k yha ki koi cheez hm kha skte hai... or dosre ye kya music or song gana ya sunna hram hai .. or ku hai.. shukriya
Answer: wssalam o alykum, musalmaan per wajib nahi hai, ke wo khana banana wale se us ke imaan or kufur ke bare main deryaft kare, or ye ke us ne khane ko tar haath lagaya hai ya nahi, pas musalmaan ko haq pohanchta hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke ilawa baqi tamaam chezain kha lain. Han ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir geer ehl e kitaab main se hai or itminaan ho ke is ne is khane ko tar haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya jasakta. Or is hi terhan ye hi hokum hai ke jab is ko itminaan ho ke khane main koi haraam cheez mili hoi hai jese sharaab. Han or jahan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezoo ki baat hai to ager geer muslim in ko peash kare to is ka khana haraam hai siwaae is ke ke musalmaan ko yaqeen ho ke ya goosht kis halaal jaanwer ka goosht hai or is ko shari tareqe ke mutabiq zibah kiya gaya hai. Or jahan tak machli ki baat hai to is ki tamaam qismoo ka khana jaiz hai ager is main 2 shartain mojood hon, I
Question: Kia music sunna IslAm main jaez hai ya nahn or
Answer: Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhsoos ho. Isi terha aisi laye k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assailant o ALaikum my question 2 u is dat what is difference between haram music and halal music plz explain in easy words? Thank u
Answer: Ghina haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfilon sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) Halal music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfir se munasbat na rakhte ho aur haram music wo hai jo lawo lab(ghuna gharo ) ki mehfil se munasbat rakhte ho. (ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,pg:277,masla:545) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir kia qawali haraam hai?
Answer: Ager ye batil kalaam (Jis Shariat e Muqaddasa ne ijazat nah di ho) kalaam per mushtamil ho ya fajir logo ki tarz se is ko ada kiya jaae to is ka sunna haraam hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , 219 , pg # 86 to 87 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). Note: Qawali k kalam ka masalah bayan kia gaya hay laikin music ka masalah alag hay.
Question: Assalam O Alaikum Kya Shaadi Waghera mai sirf khawateen ka dholki or gana bajana jaiz hai?
Answer: Gana gana sunna haram hen, or gina(gana) se murad behuda kalam hai jo ahl-e-lahv-o-la
Question: salam-un-alaikum g ye bataiye ki kitni music halal hoti hai aur kaun si music halal hoti hai.
Answer: Wssalam o alykum, Ager mosiqa (music) ese batil kalaam (wo kalam jis ki Shariat e Muqaddasa ne ijazat nahi di jese jooth ect) per mushtamil ho jis ko guhnaah gaar logo ki dhun (jese filmoo mian gaano ki tune) per ada kiya jaae to is qisim ki mosiqa ko sunna o gana jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 216 , 218 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: me ek Muslim ho ahl.e.hadees se na hoon na shia etc hoon mera sawal he k Bollywood song bajana islam me kesa hai wo filme aur ganay jis se naps ki jaagne ke imkaan na ho kesa hai plz quran aur ahadees se sabit kary
Answer: Ghina(song) wo batil kalam hay jo sahibaan-e-lahw-o-fujoor ki tarz se ada kiya jay. Ahtiyat-e-wajib hay k aisi tarz se ada kiay janay walay har kalam se perhaiz kiya jay batil kalam nah bhi ho. Haan agar kisi mourid k bare me shak ho k ghina hay aya nahi tu is awaaz ka sunna jaiz ha agarcha yaha bhi ahtiyat kerna behtar ha.(Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 86). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam aaj kal tv per jo song araha hai k jo army public school k bacho per picturise huwa hai kia us ko sunna jaiz hai. aam logo k liyai or depressed persons which r effected by this terrorism(sir kindly email the answer)
Answer: Ager ye ese kalaam per mushtamil ho jis ko ehl e lahw o laeb (music concerts etc) ki maroof dundh or lehen main pesh kiya jaraha ho to is ka sunna or gana haraam hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam o alikum may ye pochna chahti hun k kia exercise karty wqt songs sun skti hun ya exercise ki niyat say apny kamry may akily dance kiya ja skta hay gunah k murtakib hun gay plzzzzz mjhy jaldi jawab dejye ga shukriya..
Answer: 1)Ginna (haram music) sunna jaiz nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2)Ehtiyaat e wajib ki bina per tanhae me ya kisi bhi insaan k saamne dance (naachna) jaiz nahi hai. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.org/persian/qa/0914/ ) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slam اگر فعل حرام میں پڑنے کا خوف نہ ہو اور کوئی نقصان کا بھی خوف نہ ہو تو گانا سنا جا سکتا ہے؟ Qoitrat
Answer: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) ,(ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani,pg:62). Update on dated 28-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).