Question: Mera dusra sawal ye h k Moseeqi konsi jaiz he konsi nh. QAWALI , tarane, Guitar k sath Khuda ki hamd aur sad music sunna haram he ya nh? Uska kia gunah h?
Answer: wo moseeqi jo aisi ley(Tune) k saath gae jaey jo lahv o laheb ki mehfilon sai makhsoos ho us ko gaana,sunna,seekhna ,sikhaana jaiz nahi hai.chahey agar quraan dua wagera bhi aisi tune k saath parhi jaey, jo lahvo lahab ki mehfilon sai makhsoos hai tu jaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2043). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia gana gana jaiz hay
Answer: haram hay
Question: Kea kaalam ya hamad ma music use kr skty hain ya nhi
Answer: Quran ki tilawat mai hamd mai aisi tune istemaal karna jo lahw o la,ib ki mehfil main use hoti ho haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2043). [Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar gaana gaane mein shirk Ka Kuch baat aa jaaye aur agar gaana gaa lein toh kya Woh shirk kardiya
Answer: Ginna (songs) sunna ya gaana haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Ashiqana sahiri karna maqru hai? Aur agar hai to agar husband apni wife kay liya sahiri karta hai to wo bhi maqru hai?
Answer: Shiar kehna makhrooh hay chahay haq hi q nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/search/3186960/page/3/) [Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Qawalli sunnay ka kia hukum he Jese Nusrat fateh ali khan ki?
Answer: Wo moseeqi jo aisi ley(Tune) k saath gae jaey jo lahv o laheb ki mehfilon sai makhsoos ho us ko gaana,sunna,seekhna ,sikhaana jaiz nahi hai.chahey agar quraan dua wagera bhi aisi tune k saath parhi jaey, jo lahvo lahab ki mehfilon sai makhsoos hai tu jaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2043). [Updated on 22-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bagair music k singing Karna gunaah hai kiya ?
Answer: Gana gunah e kabeera hay or music alag gunah hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2043). [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aalat e musiqi qaseedy me halal hai
Answer: Aalat e mosiqi ki do aqsam hain: 1: Agar wo mosiqi se makhsoos aalaat mein se ho to is ka banana, istifada karna, seekhna aur maamla karna haraam hai. 2: Agar wo mosiqi ke mushtarik aalaat mein se ho (yani wo aalat jo halal or haram dono me istimal hote hon) to mein koi harj nahi hai magar is se haraam istifada karna jaiz nahi hai. yani mosooqi aalaat ko is tarah bajana jo lohv o laeb ki mehfilon se mutabiqat rakhay to haram hai is ke alawa Haram nahin hai. ab wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhe jayen lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koi haraj nahin hai. jo mosiqi mahafil e lahw o laib (behuda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal hai. Lekin jis men gina(song) ki kefiyat ho to jaiz nahin hai. aur jo mosiqi lahw o laib (behuda mahaafil) se munasibat rakhti ho wo Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail ,Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 2043). Jadeed Fiqhi Masail, Maslah #557, pg #281). link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02871/ ). link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01794/ ). [Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamun Alaikum Sir Kya Daf Pe Naat Ya Maqebat Padh naa Kaisa hai Jaise Nadeem Sarwar Ne Padh hai us Daf Pe Ya Kohi bhi Daf pe ham Padh Sak te hai Kay Plz Ans Dena...
Answer: Dayara (daf) lahw o lab(لہو و لعب) ke alaat mein se hai aur daf - chahe ghanti wala ho ya ghanti ke baghair - shadi aur ghair shadi mein is ka bajana jaiz nahin hai; lekin kisi aur cheez ke zariye bajana jaisay thaal, pateela, tasht waghera jo aalatِ lahw o lab mein se nahin hai shadi aur ghair shadi mein agar mamool ke mutabiq ho to bazat khud jaaiz hai; lekin agar aik khaas tareeqay aur andaaz se bajayen jo lahw o lab ki bazm ke munasib ho to ashkaal rakhta hai, aur ehtehyat e wajib hai ke use tark karen. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #413). [Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ye jaiz hai kay shaadi kay mokay par gana bajana kya jay khas tuor par mehndi maeyoon par jo kay amm tuor par hota hai kay sab rishtaydar mil kar yani mehram oar na mehram gana bajana kar tay hain
Answer: