Question: Assalamualikum sir mra masl hy pechly 1 saal sy mery bat whit ho rahy han sr k b or dhar or mochon k b 3 saal huve han muj ko bahrain myn meri age 26 years hy. myn bt tenshn myn hn pls app muj ko koi asa wazifa batain k meri ya tenshn dor ho jay
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah no 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn wag hum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: S.a can you give me some wazeefa plz for depression, gham,becheni, dil ki gabrahat ke lye.thank you so much
Answer: 1)One who write surah e qasas and then wash and drinks it, then by the order of God, their sorrows will be rubbed. 2)To get rid from sorrow and depression one should recite 2000 times “Sah lan be fazle ka ya aziz” (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 92-3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam o Alaikum. Janab mera masla kuch esa he k mera dill bhot kamzor he shayad. Har choti say choti bat per dill ghabrata he dar lagnay lagta he. Meharbani farma kar koi wazifa dijie.
Answer: Hazrat Imam sadiq a.s. farmatay hain k jo shakhs surah e hood surah # 11, ko zafran sai likh kar 3 din subah aur sham piay ga to os ka dil qawi aur taqatwar ho jae ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 87)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asslam o alikum muja left ear ma bht shor sunie daita ha doct khtay ha k yeh app k ander ka shor ha .ma bht disturb hu pllz plz kuch btain
Answer: Wssalam o alykum, Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, rozana raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: meri aami ko bohat bimariyaan hain btain wo kaisy theek hoo ge bloodpressure suger bawaseer joroon main dard
Answer: sura e anaam ayat no 115 ko kisi cheeni ke bartan per horoof e muqattiaaat ki sorat main likhain, phir in huroof ko mushk, gulaab or zaafraan se ragar kar chaat lain, sath din tak nahaamoon ye amal kare INSHALLAH shifa mile gi.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 51). NOTE doctor se rujoo karain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: A.O.A ke bad araz yeh hai ke main ak muhskil mein pansa hoon woh yeh ke meri age 25 hai aur main bori cheeze dihkta hoon koi aisa ziqr bata deje jes se main thek ho gaoon aur nemaz ka pabnd ho gaoon kuch hl bata dehin shukriya.
Answer: wssalam o alykum, ager her namaaz ke baad aayat ul kursi phari jaae to shetaan k waswaso se mehfooz rehe ga.(Ref : tjalliyaat e Quraan , pg # 29 , ALLAH TAALA toofiqaat main izafa faraae).
Question: waswaso par kalam kar nai say iman chala jata hai.
Answer: ager ap sura e hijar ko likh kar taweez bana kar pehne to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ko shetani waswaso se mehfooz rakhe ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 113 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar insan tension me ho to use kon sa chota wazifa parna chahye jis se tension wala kaam 100% hall ho jaye aur tension bilkul khatam ho jaye?
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah no 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn wag hum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa sir merà dil bht pershan rehta ha hr chez ka khof ha mje koi bemar hojay koi mar jay ya kch b mra dil bht tang rehta plz hal bta dain
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslaam o Alaikum! main aksar bht zada udas rehta hu. mujhy ni smjh ati k main q rehta hu udas. aur ye udasi mujhy bht qahil aur sust bana rhai hay. please btayen k main kaya karu.
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah no 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn wag hum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249). [Updated on 07-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]