Question: Sir Ehtlam ka behtarin elaj bty. Please mail ki jy ga.
Answer: Surah e Al-Tariq (sura no 86) ko raat ko sone se pehle pharain. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mujhy ihtlam bohot shidat sy hota hy gram cheze bhi kam khata hu kisi hakeem k hath main nahi jana chahta ilaj hy to warna kuch ihtiat o kalamat batay
Answer: 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me muhatalim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇﮫ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN,NEE A,OO,ZO BI KA MI,NAL EHTILAAMI WA MIN SOO,EIL AH,LA,MI WA MIN AN YA,TA,LAA,ABA BI,YASH, SHAI,TAANO FIL YAQ,ZA,TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2)Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) 3)Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea,rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mje bury bury khayalat ate hain and me ne 4 5 times romantic scenes dekhy hain us k baad kuch water discharge feel oa n kuch ajeeb sa b js ka mje ilm ni k kia oa es ka had se ziada afsoos ha sir me en dono kamo se bachna chti o plz help me....
Answer: Surah e juma ko raat k waqt tilawat karain shetani waswaso se amaan rahay ga.(Ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam arj karne k baad meri age 21 ki ho gayi hai aur raat muje ehtlam hota hai aur bivi ki kami bhi bahot mehsus hoti hai to muje kya karna chahiye
Answer: 1)Jo shak shadi karnay hone ki waja se fale haraam me mubtila hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 2) Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mra qustion yi hai k ehtlam sy ksy jan chorai ja skti hai plz tel me .
Answer: Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65)
Question: Agar hafty main 2sy 3 dfa ahtlam ho to kea kren.
Answer: Sonay say pehlay wuzu ker k surah e ma,aarij(surah#70)ko aik baar parheay aur surah e noor(surah#24) ko likh ker takyee k nechay rakh lejeay,ehtlaam nahi hoga.(ref:book nawaey saleheen pg#322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir ma jb rat ko sota hn to rat ko zehan ma koi ganda khayal a jay to ma farik ho jata hn plz khuch batay mujhy plz
Answer: Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslam u alaikum sir ma 20 years ka hu aur ehtalam ki bemari sa pershan hu har 3 din baad mujhay ehtalam hota ha aur meri manni buhat patli nikalti ha is ka ilaj plz jaldi btaye ma buhat pershan hu ap ka jawab ka intazzar karo ga Allah Hafiz
Answer: Sonay say pehlay wuzu ker k surah e ma,aarij(surah#70)ko 1 baar parheay aur surah e noor(surah#24) ko likh kr takyee k neechay rakh lejeay,ehtlaam nahi hoga.(ref:book nawaey saleheen pg#322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam ma ye puchna chahta ho ka mri money bht waste hti hai mjhy kamzoori b bht hti ja rhi hai plzzzzzz ap mjhy as ka koi hal bta dain........... plz
Answer: Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me mutahlim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇﮫ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BI KA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4).
Question: Sir ma jb soota hu to soota waqt meri mani nikal jati ha esa rock na ka lia kia krou?????
Answer: 1)Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57) 2)Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).