Question: bachy ki delivery ke bad aurat se kitne arsay bad hambistri jaiz hai? quran o sunnat ki roshni me jawab dein apki bari meharbani hogi
Answer: 1)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. Yani bacha paida honay k baad 10 din tk intercourse nhi krna chahea. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab sai intercourse kar saktay hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal hae k mera 5month ka hamal tha;or 4 month se bleeding start ho ge or 5 month k end pe marey baby ke death ho ge or delivery b hoe or dnc b hoe.delivery k bad wali bleeding kb tk hoti hae.plzz reply
Answer: Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. ye zaroori nahi hai k bachay ki khilqat mukammil ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin ( ﻋﻠﻗﻪ ) yani khoon ka lothra ya ( ﻤﺿﻐﻪ ) yani ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzr chuka ho aur phir gir jae to bhi 10 din tak jo khoon aye os ko nifas kehtay hain. Laikin 10 dino k bad aanay walay khoon ko nifas nahi kehtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-501)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya agar ham nifas se 3 din mai paak ho jate hain kabhi kabhi 4 din ho jate hain to kya 3 din baad gusal karna zaroori hai agar hame dout rahe ki ham 4th day bhi ho sakte hain
Answer: orat ko 3 tarhan ke koon aate hai 1
Question: Fiqa jafreya k mutabiq Bacha peda honay k kitnay arse bad intercourse kr saktay hain. 2nd yeh jo 40 days ka kaha jata hai yeh tmam din Nafas k hain ya 10 nafas k aor baqi 40 days tak ehteyat hai ya estehaza?
Answer: Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par kaffara zaroori nahi hay. Yani bacha paida honay k baad 10 din tk intercourse nhi krna chahea. (Ref: Ayatullah Hafiz Bashir Hussain Najfi,Tauzeehul masail, maslah # 505-11) Note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab sai intercourse kar saktay hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslam waliakum. Mera do mahino ki pregnancy k baad miscarage ho gaya.13 nov.iskliye mujhe kitnay din ka ghusul wajib hai.isko haiz mai shumar kiya jata hai yaa nifas mai .
Answer: Jo khoon aurat ko bache ka phela juz bahar aane se phele aye wo nifaas nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 499)Ye zarori nahi hai k bache ki khilqat mukamal ho balke agar us ki khilqat na-mukamal ho lekin khoon ka louthara ya ghoosh k tukra hone ki halat se ghuzar chuka ho aur phir ghir jaye to bhi jo khoon 10 din tak aye wo khoon nifaas hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #500) Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain, Ye ho sakta hai k khoon nifaas aik leheza se ziyada na aay laikin 10 din k baad aane wale khoon ko nifaas nahe khete.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #498, 504,501) Jo aurat ( haaz k hawale se ) adad ki aadat na rakhte ho agar ise 10 din se ziyada khoon na aay to saara ka saara nifaas hai agar wo aurat 10 din se phele pak ho jaay to zarori hai k ghusal nifaas kare aur apne ibaadaat maslan ( namaz waghaira ) anjaam de aur ghusal nifaas k anjaam se k baad us ka shoar us se jima ( humbistri) kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #505, 457 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ghusal nifas k liye dua..kya parhna hota ghusal k doran
Answer: Ghus el nifaas me dua perhna wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #379). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wiladat ke baad aurat kitne din baad paak hoti Hai.?
Answer: Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #501). Update on dated 21-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia 2 month ka baby zaya hone se sawa mahina aurat ka krna lazmi hai
Answer: Bache ka pehla juz maan k pait se bahar aane k waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aay wo khoon e nifaas kehlata hay is shart k sath keh osay zijgi ka khoon kehna sadiq aata ho, ye ho sakta hay k nifaas ka khoon aik lehza se ziyada nah aay laikin 10 dino k baad aane wale khon ko nifas nahi kehte.Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 16-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k pedaish k bad aourat kitny dino tak na pak rehti hy?
Answer: Khoon e nifaas kam az kam aik lehza or ziyada se ziyada 10 din aa sakta hay or is duran jab bhi khoon band ho jaey tu aurat paak ho jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #501). Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Misscarge k bad Condom use kr k kitni days bad sex kiya ja skta hy??
Answer: Niafas ka khoon khatam ho jane k baad hambistari karna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #504). Note: oper bayaan karda masllah halaal o haram k hawale se bayaan kia gaya hay, miscarriage k kitne arse baad Hambistari karnay se shehat per bura asr nahi perhta, is hawale se doctor se raabta kia jaey. [Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]