Question: Kya mayyat ka Khana jaiz by ?
Answer: Mayyat kay gar khana khana makrooh (yani acha nahe hay laikin haram nahe ) hay. (Ref:Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani db 2019 edition Masala No.622) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: murday kay gallay lug kay rona
Answer: Mayyit k qareeb rona makrhooh hay. Agar koe shaks kisi aise murdah insan k badan ko mas kare jo thanda ho chuka ho or jise ghusl nah gaya ho tu yani apne badan ka koe hissa os se lagaey tu zarori hay kkkeh ghusl e ,,as e mayyit kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 511,529). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri walda christian hain. aur unke bachay muslim. Father(muslim) ka inteqal hochuka hai. Puchna ye hai k agar unka inteqal hota hai to hum islami tareekay se hi tadfeen karen? (unki chahat to Christianity k tareekay s hi karna hai).
Answer: Musalman ko kafir k qabrustan main dafan karna or kafir ko musalmano k qabrustan main dafan karna jaiz nahi hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 41 maslah 610). Note: Aap k liay apni walida ko musalmano k tariqe k mutabiq dafan karna wajib nahi hay. [Updated on 10-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: MUSALMAN MAYYAT KO KITNA KAPLON MAIN KAFAN DANA ZARORI HAI
Answer: Musalman mayyat ko 3 kapron ka kafan dena zaroori hai jinhen lung, kurta or chaadar kehte hain.Ref:(tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 559). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mayyat ko gusl dene k baad hanoot karna kaisa h
Answer: Ghusl k baad wajib hai k hunoot kia jaaye yaane aazaye sajda par kaafoor mala jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah khomeni maslah no 585). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya do logo ki namaje janaza ek sath padhai ja sakti h
Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.(namaz Janaza me chutti taqbeer ke baad Jo Dua perhe jaate hay us me segho me tabdele ki jaay Yani agar do mardu ki maiyat hay tu tasniya ke jummle perhe jaay or agar 3 ya 3 se zaada maiyat hay tu Jame ke sighe perhe jaay . (Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala #.309.) [Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Islam kay mutabik shaheed kon kon hein? Shaheed ki types bata dein kay kis kis tarah ki maut ko shahadat ki maut kaha ja sakta he. JazakAllah
Answer: Jo shaks Imama a.s ya un k naa,ib-e-khaas k sath jang mai mara jaey ya aisi jang mai mara jaey jo islam k difa k liay larhi jaey or os main mara jay tu wo shaks shaheed kehlaata hay.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #282). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA Kia Hospital Mai Ambulance k Torh per Gari wagera Challa sktay hain kiu k kai log kehtay hain k Murdin ka Soda krty o ap un say ziada Raqam wasool karty o Jab k jo kiraya aam chalata hai Market k lehaz say wohi liya jata hai...
Answer: Aap ka kaam jaiz hay or is kaam k paise laina bhi jaiz hay. (Ref: tauzihul masael jaame, part#1, 684) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya murda ka liy qull shreef ka ihtmam krna gunah ha?
Answer: Jee nahin gunah nahin hai, balke Mustahab hai k mayyit k liay quran khani kare aur maan baap ki qabar per ja k allah se apni hajaten talab kare . ( mayyit k jo wajebaat hain maslan namaz , roza , khums waghaira un ko ada kare) . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #623 ) [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mayyat ko ghusl dene k baad ek haiz aurat usse hath laga sakti haa or mayyat ko ghusl dene k baad uss k kafan pe Ansu gir jayein to kya hoga?
Answer: 1: Agar mayyit ko teenon gusl mukammal diye gaye hon to haaiz aurat use mass kar sakti hai. Agar kafan pe ansun gir jayainto is men koi harj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah #354,448,515) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]