Question: Hamal zaya hone k bad dafnane ka kia hukum hy?
Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus sliheen, Part #1, maslah #330). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Main namaz e janaza ka koi zikr hay to plz wazahat kr dain
Answer: Quran kareem ke Surah tauba(surah #9), ki Ayat #84). men namaz e janaza ka zikr maujood hai.(Ref: https://quran.com/9). (Note: Is Ayat ki tafseer ke liye aap ko aik link provide kiya ja raha hai aap is link ko visit karen ge to Inshallah baat aap ke liye wazih ho jayegi. Link: https://www.balaghulquran.com/tafseer/index.php?sno=9&ano=009084 ). [Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salaam molana sahab....mayat ko dafnay mai aik do din baqi ho to mayyat ki maghfirat k liaye kiya parhain
Answer: Wo tamam kaam kiye jasakte hain jo mayyit ke dafan karne ke baad kiye jate hain malan:- mayyit k liay quran khani karna, Sadqa o khairat karna, Esaal e sawab ke liye majlis barpa karna wagera... (mayyit k wajibaat maslan:- namaz, roza, khums,qarz,hajj waghaira ada karna). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #623. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager use ki hue sajdagha ko muyyat ky Kafen per likhai ki Jaya to koi masla to Nahi ho ga
Answer: Likh sakte hain, koi maslah nahin hai. (Ref: Urwatul wusqa, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, pg #305. + https://www.sistani.org/arabic/book/22/1727/ ). [Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it fine to donate organs after death?
Answer: Musalman mayyit ke aaza ko qata karna jaiz nahin, is par diyat wajib hoti hai, or kaatne ki surat me dafan karna wajib hai magar ye ke kisi musalman ki zindagi is ke dene par munhasir ho to is surat men aisa karna jaiz hai lekin is ki diyat dena wajib hai. aur agar us (marhoom) ne wasiyat ki ho to diyat saaqit ho jaye gi( yani diyat nahe hoghe), lekin agar kisi musalman ki jaan bachane ka muamala na ho aur us ne wasiyat ki ho to us ki wasiyat me ishkaal hai ( yani ehteyaate wajib ki bina per is per amal na kia jaae) (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01750/ ). [Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya maiyyat pr Rona murda insaan k liye koi mushkil peida krta h??? Rona chahiye ya ni???
Answer: Jee nahin, aisa kuch nahin, mayyit par giraya kar sakte hain, Han albatta ehtiyat e muhtahab (behtar) hai ke mayyit par rote waqt Aawaz buland na ki jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #627). [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mayyat par matam krna chaiya ya phr nhi?
Answer: 1: Kisi ki mout par bhi insan ke liye Ahtiyat ki bina par jaiz nahin k apna chehra aur badan zakhmi kare aur apne baal nochey laikin sar aur chehre ka pitna jaiz hai. 2: Ahtiyat ki bina par baap aur bhai ke alawa kisi ki bhi mout pr gireban chaak karna jaiz nahin aur Ahtiyat-e-mustahb yeh hai ke in ki mout par bhi gireban chaak na kiya jaye. 3: Agar aurat mayyit ke sog main apna chehra zahkmi kar ke khoun aaloda kar lay ya baal nochey to Ahtiyat-e-mustahb ki bina par wo aik ghulam aazad kare ya 10 faqeeron ko khana khilaye ya inhain kapre pehnaye aur agar mard apni biwi ya farzand ki mout par apna gireban ya libaas phaarey to us ke liye bhi yahi hukum hai. 4: Ahtiyat-e-mustahb yeh hai ke mayyit par rotey waqt awaaz bahut buland na ki jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #624,625,626,627). [Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia koi Khatoon kisi k bhi janazay ko kindha de skti hai es ka jawab tuzee main nahi hai
Answer: Jee han, khatoon bhi janazay ko kandha de sakti hai aur tauzeeh me bhi ye cheez maujood hai bas thori dikkat ki zaroorat hai Q ke tauzeeh ul masail me tajheez, takfeen or tadfeen ke hawale se jo masail bayan kiye gaye hain wo mardon ke sath khaas nahin balke wo aam hain yani un kamon ko mard bhi anjam de sakte hain aur khawateen bhi anjam de sakti hain siwaye ye ke jahan na mehram mard or aurat ke muamilaat paish aa rahe hon jese ke mard, na mehram aurat ko ghusl nahin de sakta ya aurat, na mehram mard ko ghusl nahin de sakti, ya maslan agar koi khatoon kisi janazay ko kandha de to agar wahan na mehram afraad bhi maujood hon to zaroori hai ke parde ka khayal rakha jaye, lekin agar bay pardagi ho rahi ho ya is tarah deegar muamilaat ke jahan na mehram ka muamilaat paish aa rahe hon to in surton me wahan shirkat nahin kar sakti. lekin ke alawa baqi kaam khawateen bhi anjam de sakti hain. (Note: Dosri baat ye ke humara muashira bhi aisa hai ke jahan mayyit se marboot ahkaam or wazaif mard hazrat hi anjam dete hain warna to sharaei taur par khawateen ke liye koi mumaniat nahin). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #548,618,2409). [Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Ya Ali Madad sawal ye tha k Namaz ejanaza farz ha???agr farz ha Tou Kia Karbala main imam Hussain a.s Ka janaza parhya gya???
Answer: 1: Jee han, har musalman ki mayyit par aur aise bache ki mayyit par jo islam ke hukum me ho aur poore 6 saal ka ho chuka ho, namaz parhna wajib hai. 2: Bani asad ke log (shuhada e karbala) ke dafan ke muamle me hairaan o sargdarn the, ke Imam Zain ul Abideen(a.s) aijaaz e imamat ke sath (karbala me) tashreef laaye, Imam(a.s) ne un ko shahada ke lashon ki murafi karayei us waqt buhat giriya o buka hua, is ke bad Imam(a.s) apne baba buzurgwar ki laash e mutahhar ke paas aaye, gale lag kar kasrat se giriya o buka kiya, phir qabr ke maqam se thori matti hataei, wahan khudi khudaei qabar tayar thi, Imam(a.s) ne namaz e janaza parhne ke bad tanha ye parhte hue apne walid e maajid ko qabr men utara 'بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملّة رسول الله ، صدق الله ورسوله ، ما شاء الله ، لا حول ولا قوّة إلاّ بالله العظيم'. aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain. Jab lahad me laash e muqaddas ko litaa chuke to gulu e bureeda ke paas duhn e aqdas le jaa kar kaha: 'طوبى لأرض تضمّنت جسدك الطاهر ، فإنّ الدنيا بعدك مظلمة والآخرة بنورك مشرقة ، أمّا الليل فمسّهد والحزن سرمد ، أو يختار الله لأهل بيتك دارك التي أنت بها مقيم ، وعليك منّي السّلام يابن رسول الله ورحمة الله وبركاته' Phir qabr e mubarak par (ungusht se) likha: 'هذا قبر الحسين بن علي بن أبي طالب الذي قتلوه عطشاناً غريباً' ye us Hussain ibn e Ali(a.s) ki qabr hai jise logon ne piyasa shaheed kiya. Is ke bad apne chacha buzurgwar janab e Abul Fazl Abass(a.s) ki laash e mubarak ke paas punhche, un ke gulu e bureeda par bosa dete hue farmaya: 'على الدنيا بعدك العفا يا قمر هاشم ، وعليك منّي السّلام من شهيد محتسب ورحمة الله وبركاته' is ke bad qabar khodi aur khud tanha un ko us me utara, aur Imam(a.s) ne bani asad se faramaya: mere sath madadgar maujood hain, phir bani asad ko hukum diya ke do garhe khoden, aik me bani hashim ko aur dosre me ashaab ko dafan karen, chunache unhon ne us ke mutabiq amal daramad kiya. wallah amal (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #583. + Maqtal e muqarram arabi, pg #386. + https://ar.lib.eshia.ir/71703/1/320 ). [Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]