Question: Assalamalaikum...ek aunty ke khawaish hain ki qabr mai dafan karne time pe ziyarath e ashura audio on karke rakhne ka karke....kya ye jayaiz hain ???...
Answer: Jee han, jaiz hai Q ke dafan karne se pehlay, dafan karte waqt aur qabar ko dekhnay ke waqt jo duayen riwayaat ki kitabon mein naqal hui hain un ka parhna mustahab hai, un duaon ka zikar mufassal kitabon mein hua hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition #42, maslah #618. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ). [Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri 15 sal ki masum aur na samaj beti ne jahar khakar apni jaan dedi hai (Meri talak ki wajah se) Me uski magfirat ke liye kya kar sakta hu?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Wo tamam kaam kiye jasakte hain jo mayyit keliye jate hain maslan:- mayyit k liye quran khani karna, Sadqa o khairat karna, Esaal e sawab ke liye majlis barpa karna wagera... (mayyit ke wajibaat maslan:- namaz, roza, khums, qarz, hajj wagera... ada karna). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #623. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4283/ ). [Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis takhat p myyat ko gushl dya jata h Wo njis ya pak
Answer: Wo takhta ya sil jis par mayyit ko ghusl diya jaata hai aur wo kapara jis se mayyit ki sharmghah dhanpi jaati hai neez ghussaal (ghusl dene wale) ke hath, ye tamam chezein – itni miqdar me jo aam tour par ghusl ke mouqe par, mayyit aur us pani se jo us par dala jata hai, is se mili hui hoti hain – Ghusl mokamal ho jane par pak ho jati hai lakin ghussaal (ghusl dene wale) ka libaas aur badan aur baqiya ghusl daine ki cheezen ehtiyat e wajib ki bina par ba zarieya e Tabeiat pak nahin hoti hain aur alag se dhone ki muhtaj hoti hain. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #211). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalualikum . Agar aurat ko koi bimaari ho aur uss halat me uska inteqal hojaye aur ghusl e maiyyat k baad kafan me kabristaan lejate waqt aurat ka khoon kafan me lag jaye toh usse koi dikkat h?
Answer: Agar maiyat ka kafan is ki apni nijasat ya kise dosere nijasat se najis hojaae or agar aisa karne se kafan zaaya na hota ho tu jitna hissa najis hoa hay ise dhoe ya kaatna zarori hay kho maiyat ko kabar me he kyu na utaara jachuka hooagar kafan ka dhona ya kaatna mumkin na ho tu zarori hay ke badal de (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 571) [Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam alykum..janab mera sawal hai k janaze ko qbr me kis tarha litaya jaye kya sirf uske chehre ko qble ki taraf karna chahiye ya uske bdn ke samne ka pura hissa kabe ki trf karna mustahab hai,ya agar aisa hai to phr murde ko qabr ki diwar se laga kar dahni karwat leta sakte hain?aor is masle me kon kon se mujtahideen muttafiq hain mehrbani karke unke naam bhi bta den..wassalam o alykum
Answer:
Question: Salam:janab braye mhrbani ye btayen k murde ko qabr me kis tarha litaya jaye,hamare yahan baz log khte hain k chit litao aor sirf uske chre ka rukh qible ki tarf krdo magar ham kehte hain k nehi uske badan k samne ka hissa bhi qible ki taraf hona chahye mgar wo kehte hain k litane ka hukm hai khadi karne ka nhi...lehaza braye mehrbani kitabon k hawale k sath aga e sistani aor aga e khamnai wa khumaini s.b k masael ko tafsil k sath bayan farmayen...wassalam
Answer:
Question: Salaam ,1- What is history behind Imam Hasan(A.S) ka dastarkhwan? 2- what is correct method to do nazr/fateha on food? 3- Should fruits be peeled off for nazr, and if whole is kept in nazr where to throw seeds and peel? I am very confused as many of friends give different suggestions . 4- which is authentic book in this regard?
Answer:
Question: Slam mera question ye hai k mere 2 Nephew foat ho ge Aik 2 din ka tha aur dosta 14month ka tha meri phupho ne un k 3rd day pe apne son ki din dyarey kiye jo hamare chacha k ghar se jis ka sehan bilkul hamarey ghar men hai sirf middle men wall hai btayen kia unho ne thek kiya bachon k marne k dosre din shopping wagera shuro kar di thanx
Answer: