Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8861
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye h ki roza k waqt mobile ka use krne se roza makrooh hota hai. or agr hota h to kis tarah use krne makrooh hota hai

Answer: Makhrooh nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1666). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9090
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Rooze main hairs main oil lagaya ja skta hy

Answer: Lagaya ja sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiy rozy ki halat main kisi bhe kisam ki khushboo lagana jesy non alkuhal ittar ya parfeume wagera wagera sahi hai plz replay

Answer: Roza sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia rozay ki halat main blood dia ja sakta hy

Answer: yes . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay main namehram se baat krne se rozay par asar parta hai ?

Answer: Roze main makhrooh hay k koe shehwat angaiz kaam kia jaey. Laihaza is tarah ki baat ki jasakti hay jo k shehwat angaiz nah ho or musalman k shayan e shan ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1629+Nigah o libas). Update on dated 17-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u alikum agar koi shakhs maghrib ki azan k 1 ghanty bd ya kuch der bd roza iftar kry to uska roza makrooh hojata hai?

Answer: Rozedaar k liay mustahab hay k roza iftaar kerne se pehlay maghrib or isha ki namaz perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1720). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Rozay ko dair se iftaar kerna makhrooh nahi hay, balkeh jab maghrib ki azan ka waqt aa jata hay tab hi roza mukammal ho jata hay. Aisa nahi hay k kisi shaks ka roza 15 ghante ka shumaar hoga or jo shaks aik ghante dair se roza iftaar kare tu os ka roza 16 ghante ka shumaar hoga.

Id: 9957
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamu alaikum, Hazrat mera ek swaal h ki.. kya roje ki halat me mein apni biwi ke gle lag skta hu ya fir kiss le skta hu?

Answer: Makhrooh hay k mani nikaalne k qasd k baghair insaan apni bivi ka bosa lay ya koe shehwat angaiz kam kare(Maslan osay galay lagaey). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1629). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya biwi ko roze me kiss kr skte hain???

Answer: Ye makhrooh hay keh mani nikaalne k qasd k baghair insane apni bivi ka boosa lay ya koe shehwat angaiz kaa kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1629). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: روزے کی حالت میں اگر کوٸ ڈرامے دیکھتا ہے تو کیا اس سے روزے پہ کوٸ اثر پڑ سکتا ہے

Answer: 1-Agar is main koe haram manzar scene nah ho tu daikna jaiz hay or is se roza batil nahi hota (Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#1553, 2- Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa parts of body ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay (Ref ayat ullah khoe r a minhaajus saliheen part 1 mafhoom e maslah#1013) [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10563
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia rozay main parinday (totay) k sir per Kis karnay se roza makrooh hojata hai

Answer: Rozay daar k liye makrooh makrooh hay k mani nikalney k iraday k baghair apni bivi ka bosa ley ya koi shehwatangez kaam karey. alikin totay ka boosa laina makrooh nahi hay. (Ref: Tauzihul masael Ayatullah Sustani masaala#1629). [Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!