Question: Pane m sir ko dubane se roza batil ho jata h kya
Answer: Pora sar pani main dibonay se roza batil nahi hota laikin ye shaded makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1590) [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum roze ki halat m tauba krte waqt agar aansu nikal jaye ya dil ro pade to kya roza maqruh hoga?
Answer: roza makroh nahe hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze ke halat me daant nikal sakte hain
Answer: Roze ki halat men Daant(Teeth) nikal sakte hain lekin Daant nikalwana aur har wo kaam karna jiski wajah say Moun(mouth) say Khoon niklay wo Makrooh hay ( laiknin gunah hay srif makroh hai yani roze ke sawaab ko kamkarer ga or na kiya jaay tu behter hay) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1629). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam, Mry father ka kl accident honay ki wja sy sir pht gya tha to bht khun baha tha kia issy b roza makruh hojata e?
Answer: Har aisa kaam anjaam daina jo kamzori ka sabab ho maslan khoon daina. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1666) Note: aap k walid ka roza makhrooh nahi hoa, roze main khoon daina makhrooh hay, accident se khoon nikalna ikhteyaari amal nahi hay. [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maira sawal hai k ager iftar k waqet roza iftar ni kia lait hu gaya tu kia roza makro hai??
Answer: Roze daar k liay mustahab hay keh roza iftar karne se pehle maghrib or isha ki namaz perhe laikin agar koe doosra shaks os ka intezaar kar raha ho ya osay itni bhook lagi ho keh hozoor e qalb k sath namaz nah perh sakta ho tu behtar hay keh pehle roza iftar kare laikin jahan tak ho mumkin ho namaz fazilat k waqt main hi ada kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1719). [Dated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Kia roze main pehne hue kpre bhigo kr so Skte Han?
Answer: Jee han, Pehne howe libas ko gheela kar sakte hen albatta aisa karna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1629). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agar roza mai shewat ki waja se bohat thora sa discharge ho to roza batil to nahi or next roza k lye ghusal ki zaroorat to nahi h?
Answer: 1: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota, aur agle roze ke liye ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur agle roze ke liye ghusl bhi karna hoga. 2: Agar kisi shakhs ke badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo rutoobat 1. shehwat ke saath nikali ho. 2. uchal kar nikli ho. 3. us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna hoga) lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat us me maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi. 3: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain: 1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,345,1629,1575,1576). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze me apni biwi se gale lag kar so sakte Hain
Answer: Agar koi shehwat angez kaam nahin kiya jaa raha balke sirf aik saath gale lag so rahe hain to ye kaam jaiz hai aur makrooh bhi nahin hai lekin koi shehwat angez kaam kiya jaa raha to ye kaam jaiz hai lekin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]