Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 21151
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: aoa sir mjy study may kafi nakami hu rahi hay..na koi job hay..may chahti hu kay mara bagir kisi problem say..MSCS may admission hu jaey.ar koi GOvernment ki achi si job bhi mil jay..may aus bhi jana chahtii hu..ar mjy koi larka pasand hay..may us say shadi bhi karna chahti hu.par larky ka koi responce nahi hay mjy lay kar.btay may kia karo

Answer:

Id: 21154
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Dear Qable Ahtraam Molana sb,Aoa ,Sir Guzarish Ye Hai K Meri Umar 40 Saal Ki Ho Gye Hai , Aor Main Shaid Duniya Ka Wahid Insaan Hoon Jis Nai Sari Zandgi Sawaye Pareshaniyoon Ke Aor Mehromiyoon Ke Kuch Nahin Dekha.Es Main Mere Family Member Bhi Shamil Hain.Sir 40 Saal Say Be Rozgaar Hoon.Ye Nahi Ke Koshish Nahi Ki Har Kaam Ki Koshish Ki But Har Kaam Hote Hote Reh Jata Hai.Mai Jis Kaam Ko Karna Chata Hoon To Mai jab Tak Kaam Ka Rezalt Na Nikal Aaye Mai Apni Koshish Jari Rakhta Hoon.(Molana Sb) Ab Mere 4 Bache Hain.Aor Zaroriyat E Zindgi Bhi Hai.Mere Bhen Bayoon Nai Hamesha Sport Keya Hai.Ab Mai 5 Time Ki Namaz Bhi Pharta Hoon Aor Allah Pak Se Iltaja Karta Hoon K Ya Allah Mere Rizq Mai Jo Rukawat Hai Us KO Door Kar Dain.Molana Sb Haraam Kamane Ke Baray Raste Hain But Mai Haraam Nahie Khana Chata.Kuch Log Kehte Hai K Apne Es Ghar Ko Choor Kar Kahin Aor Chale Jao Es Ghar Mai Tumhara Rizq Bandha Huwa Hai Par Kuch Pas Ho To Kahin Jaon.Plz Help Kaya Karoon.

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 21684
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam, sir mjy aaima masumeen k baray me waswasay aatay a, ashkaal nazar aati a unconsciously, me phycaitrist se med lay ri hun. aur ALLAH say dar b bht lgta a, namaz regular parti hun.jis se dil ko sakun milta a. mgr bht galat galat waswasay aatay a. plz btaain kia mjy gunnah o ga?and mujarib wazifa bataain ta k bilkul waswasay dour hojaen, aur parhaai fit rahay, q k study l doran ye waswasay tang kartay a. me graduation ki student hun. plz help me.

Answer:

Id: 21685
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mjhey apse ye pochna hai k agr koi ghalat khayalat islam se related ain jaisey k bht se causes facebook pe baney quran ki bey adbi Allah ko nauzubillah ghalat kehna..agr asi cheezen phrse dimagh mein ain to kia ye gunah hai?soch asi aye jo k khud arahi ho jsko control bhi krna charahey hain lkn ho nahi raha...khud he aye jain agr..ya asi sochen k Allah k pas chaley jaingey lkn Allah ko insan se gharaz nahi na matlab jaisey k insan ko gharz hti hai aik mard ya aurat se ..Allah ko nahi hai..hum uper jakr kia karengey Allah se koi rishta nahi mein ye chezen bar bar dohraney lagi hun takey bacha jaye ghalat ya is k opposite sochon se..kia ye gunah hai?

Answer:

Id: 21699
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam molana sahb hmara masla ya ha k mry abu ko sugar blood presure or gala khrab ha wo mavashi mandi ka kam krty ha next thursday unhy kisi na lot lia paisy nic wagera liye boht pareshan ha wo hmari join family ha ghr ma boht larai hoti ha sb kch mry abu krty ha ap dua kry hmara masla thek hujye mry abu buri nazr sybach jye or kal unky karobar ki jgah rat 4bjy logo na maal chura lia or boht mara plz ap mry abu k liye kch tavez istikhara kry hm 4sistr ha or 1brothr ha ap hmary liye b kch kry

Answer:

Id: 21812
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam alaikum ... mera naam Mushtaque hai. bahut pahle hamare nazdik ek unka aur hamara kisi wajah se jhagda hua tha to wo logon ne bahut badi ham par dushmani kiye hai aisa dusre aamil batate hain ghar mein sab pareshan hai aur aaye din jagda hai bahut aamil ke pass gaye thoda aaram hai, phir bhi aap koi powerful wazifa bataye jis se sab pareshani khatam ho... jazakallh khair. allah aapko tandrusti de... aamin

Answer:

Id: 21851
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aslam-u-Alikum janab mera masla yeh hai k mein jb b koi cheez buy karta hoon to us mein koi na koi nuqs yaan kharabii hoti hai khalan k mein cheez buy karny se pehle Bis Millah b parta hoon lekin us mein phir b koi na koi nuqs nikal hi aata hai Lehaza ap se request hai k ap mujy koi aesa kalma yah koi asi surat bta dain jo koi b saman yan cheez kharedne se pehle par li jaey tan k us cheez mein kisi kisam ka koi muqs na ho Allah Hafiz waiting your reply

Answer:

Id: 21877
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asslam-o-aliakum sir, mashallah is web se bahut kuch logon maslon ka hal horaha hai, inshallah mera bhi masle ka hal hojaega. my ek shadi shuda seedha sadha qualified insan hun 35 sal umer hai al hamdulillah shadi hokar 4 sal hogaye mashallah ek beti bhi hai lekin my zindagi se kafi pareshan hun, kyun ke har waqth mere aur wife ke beech me kafi chak maki (zagde) hote rahti hai kyun ke my uske talab poori nahi kar pata hun, kyun ke us per mera interest hi nahi aa raha hai. bar bar tokte rahti hai tum tho na mard ho aisa waisa bolke be-izzati hoti rahti hai. magar my aisa aadmi nahi hun ke na mard , magar us per mera interest (talab) hi nahi hota. Because uska body structure bhi kafi bigda huva hai aur chote chote baton ko patangad banana aur mujh per shak karna unki aadat hai. kabhi kabhi sochta hun ke talaq ho jaye tho theek rahega. Itni pareshan hoti hai. Al hamdulillah mera Hajj bhi ho chukka hai ek haji hone ke bawajud mai kisi se zina nahi karna chahte mujhe doosre auraton pe talab hote rahti hai. kya kisi per boori nazar ho lekin aisa nahi kar paye tho bhi gunah hai? mera matlab kya kisi ke bare me sochne se bhi gunah ho sakta hai? inshallah aap ko mera masla samajme aya hoga zaroor mere masle ka hal bata deejiye Allah hafiz

Answer:

Id: 21886
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam, Mere Shadi ko almost 4 years hogae hay.. aur mere apni wife se kuch khas understanding nahe.. magar mei samajhta hu agar mei apnay tarikay se apni wife ko samjhao tu mamlat bheter ho saktay hay but mere mother interfair kerti hay mere in personal matters mei aur mujhy aisa lagta hay un k interfair kerne se mera rishta khatam ho sakta hay ab mere liye kya hukum hay ?

Answer:

Id: 21889
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salamz kisi ko blackmail ker k galat kaam karane ki kiya saza hia ...? or jise blackmail kiya ja raha hia vo din raat Allah se muafi mangti hia .. use kiya kerna chahiye .. kuch samj nahi ata is crap se kaise nikale..? ik taraf izat or ik taraf iman? iman important hia but duniya mei kuch nahi bache ga us ka ..use kiya kerna chahiye?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!