Question: A.o.a myra swal ye h k myry ami abu ko myry dada or nana abu ki property sy hisa nahi ml raha mujhy asa wazifa btae jis sy hamy hmara hisa ml jae.
Answer: One who recite 686 times bismillah “بسم الله الرحمن الرحیم” and recite 676 times durood “اللہم صلی علی محمد و آلمحمد” (ALLAH HUMMA SOALLI ALA MUHHAMMAD DIN WA AALE MUHHAMAD) then pray, your duas/wishes will be answered. (Ref : Naemul aamaal pg # 317) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mere dimagh mein kuch batein bait jati hain or phir dabao prta rehte h har waqt usi baat ka. mein kya karun?
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah no 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn wag hum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khty hain k jab Khuda KUN khta hai tou taqdeeray badal jati hain or mojzay hoty hain.. mai zindahi mai he umeed or sakun kho chuki hu .. wo mery liye kaisy Kun kahy ga?? Mai kia kru k wo Kun keh dy?
Answer: Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah#94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat puri ho jay gi. ( ref: payaam shifa, pg: 249). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: پریشانی کی دوری کے لئے کچھ بتائے
Answer: Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak sorah e alam nashrah ko aik baar subah or aik baar sham main tilawat kar liya jaey tu huzn o gham zaael hojatey hain.(Ref: Donya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum pareshani ke liye dua bata dein
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhuth pershan hua aur qarze me hua her jaga be izath huroo aur mere kama nhai milre
Answer: 1-Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak sorah e alam nashrah ko aik baar subah or aik baar sham main tilawat kar liya jaey tu huzn o gham zaael hojatey hain.(Ref: Donya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal). 2-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347). 3-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mara name shahzad Ahmad ha, problem ya ha ka awal to koi kam shuru hi nahi hota agar ho jai to rukawat pa rukawat ati ha phir ya to ruk jata ha ya rokna parta ha, please koi wird bata dn.
Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai usay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuqnee.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: as salam my father is very ill from last 2 years we were doing his treatment of kidneys but now we are not in position to do it so will u people can help if u want I can send u all reports too plz do a fovour to us thanks with regards syeda
Answer:
Question: Asslam alikum multi sahab meri ek bahut badi preshan h Meharbaani karke jaldi reply kjiyega
Answer:
Question: mai buhat pareshan hu.. jahan hum ne ghar lia hai wo biq nahi raha hai.. buhat duai parhi .. manat mangi lekin ghar ahi biq raha or ab halat aisi hogai k raat ko nend bhi nahi ati hai.. plz koi aisi dua bata dein k ghar jald az jald biq jaye.. aj biqta ho to kal na ho .. plzzzzzzzz meri help karain plzzzzz.
Answer: