Question: Asslam-o-alikum mere sir ka bal bahot girta hai is ka koi ilaj hai to pls send my id
Answer: Agar sar k baal bohat girtay hoon to har namaz k baad 313 martaba haathoon per (Allaa’hol baa’riol kabeer) parh kar baalon me haath phair lein to baal girnay band ho jain gay. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aaslamu alikum sir meri age 25 aur mery baal safed hu gaye hain kafi oil laghta hn tu liken koi farq nai parta aur ab tu baal bhi niklna kam hu ry hain merbani kar koi islamic tarika tu bhatey jo easy hu reply thanks
Answer: 1)Baal k girnay aur jaldi safaid honay sai bachnay k lie ashraf ki dimagh afroz CT istemal karain. 2)Agar sar k baal bohat girtay hoon to har namaz k baad 313 martaba haathoon per (Allaa’hol baa’riol kabeer) parh kar baalon me haath phair lein to baal girnay band ho jain gay. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asaalamo aleykum waramatulahi wabarakatuhu ; mere baal bahut jada jad rahe h aur kisi bhi prodect se nahiu ruk rahe h aap koi accha sa rohani elaj bata dijiye
Answer: Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay. i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ
Question: Asalamoalikum Mai 26 Saal ki ho mere Sara k Baal Barthey NAi hy Mai chahti ho Baal k mere Baal Lambey ho jaye aur girthe b bout hay
Answer: Agar kisi k sar k baal bohat ziada girtay hon to har namaz k bad 313 martaba hathoo par awal o aakhir durood sharif k sath
Question: salam ke saath mera Q meri age 32 he mere sir ke baal bahot kam hogaye he sir ke aage ke hissy me taal pad gayi he mene
Answer: Agar kisi k sar k baal bohat ziada girtay hon to har namaz k bad 313 martaba hathoo par awal o aakhir durood sharif k sath ﺍﷲﺍﻠﺒﺎﺮﻯﺍﻠﻜﺒﻴﺮ parh kar hath baloo par phair lain to baal girnay band ho jain gay. (Ref : Naway e Salaheen pg # 327)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A s A sir mery bal garty Han choty si age ma kush wazifa ya kush advice dy ...thx
Answer: Wssalam o alykm,sabz dhanye ka pani bageer boil kar ke sar per lagaane se ganja pan katam ho jata hai. (Ref : apna dawa khana , pg # 30 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Asslam O Alaikum... mUjhe baal lambe or ghane karny ki koi dua tariqa bata dain... or baal girna bhi ruk jain...
Answer: Agar kisi k sar k baal bohat ziada girtay hon to har namaz k bad 313 martaba hathoo par awal o aakhir durood sharif k sath ﺍﷲﺍﻠﺒﺎﺮﻯﺍﻠﻜﺒﻴﺮ parh kar hath baloo par phair lain to baal girnay band ho jain gay. (Ref : Naway e Salaheen pg # 327)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: topic. balo ki khubsurti mry bal bohut raf h plz koi wazifa
Answer: Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay. 1) Surah-e-Furqan, Ayat #45 ka shuru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) 2) Surah-e-Hajj ,Ayat #05 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ…………ﻭﺭﺑﺖ), 3) Surah-e-Fateh,Ayat #29 ka kuch hissa (ﺴﻮﻘﻪ ……… ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ), 4) Surah-e-Qalam ,Ayat #50-51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ………ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ)(Ref: Naway-e-Saaleheen, Pg#327)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: topic hair mry bal bohut raf h koi wazifa
Answer: Hadees e manqola ke mutabiq ager sar ke baal bharana chaho to in ki dhone o kanggi karne wagera se deekh bhaal karo. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 5 , topic # ortoon o mardoo ke liye sar ke baal rakhne ke aadaab , pg # 179 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: assalam walaikum meh yahan bahot umeedsesawal karriun. pls mri madad karhen.muj koi wazifa batayiye jisseh mera hair fall kamhoh.mere hair bahot chote hain phr b bahot hairfall hotahai.pls meri madad karh..
Answer: Wssalam o alykum, Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain i: Surah e furqan (surah no # 25) ki ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) ii: surah hajj (surah no # 22) ki ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ…………ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh (surah no # 48) ki ayat # 29 ka kuch hissa (ﺴﻮﻘﻪ ……… ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ), iv:surah e qalam (surah no # 68) ki ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ………ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327 , Allah).