Question: AOA.SIR MUJHE PUCHNA THA K AGAR KAPRON MAIN NIJASAT LAGI ho OR HUMAIN PATA NA HO OR HUM NAMAZ PARHLAIN TO NAMAZ HOGI
Answer: Agar aap ko yaqeen ho keh libas najis nahin he aur kapre ke najis hone ke bare main namaz ke bad pata chale to aap ki namaz saheeh he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41 edition, maslah # 790 ) [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat sotey huye shirt pehen sakti hai aur kamrey mn behen ya shohar ho toh kya woh beparda so sakti hai shirt mai ??
Answer: Q keh ye aap k mehram hain to in k samnah is halat may so sakte hain.... (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 05-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis kapre se naak saaf kre us kapre se namaz ho Sakti hai?
Answer: Jee han ho jai gi Q ke naak ki aalaish (pani) pak he.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mahfoom e maslah # 80) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum. Sir kia hum necktie(tie) bandh sktay hn kia jaiz hy
Answer: Aytullah sistani sahab ke mutabiq tie baandhna jaiz hay . (Ref:sistani.org ,arabi ,topic :lubsulhareer,sawaal no :1) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam un Alaikum ... Meri mother sang sitara stone ki chandi me ring pehanti hain tw kya is ka pehna sahi h?? Q k humay kisi ny btaya k roz e ashura ya khilla hua tha islye is ko ainda nhi pehna .. wasalam . Plz According to ayatullah sistani sahab.
Answer: On nagino ko pehna jaey jin ki riwayaat main takeed or fazilat aae hay, maslan Aqeeq, Yaqoot, Zabarjad, Zamarrud, Ferozah, Dur e najaf, Buloor or Hadeed e cheeni.(Tehzeeb e aal e Muhammad saww, Allama majlisi ra, pg#49-55) [Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum mera sawal hai agar ghar me koyi haiz se hai aur uske kapdon pe blood laga hai aur wo sofa pe baith ke uth gayi aur hum usi jagah pe baith gaye toh kya hamara libaas ganda hogaya?kya hum un kapdo me namaaz padh sakte hai?
Answer: Agar khoon aap k libaas par laga hai tou usay paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 787). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alikum. Sir Mera swal ye hai ki printed kapde jinme cartoons ya kisi bhi trah ki tasweer bani ho Kya aise kapde pehn Kar namaz padhna jayaz hai.
Answer: wsalam.Namaz parhi jaa sakti hai lekin fuqaha k nazdeek aise kaprhe mai namaz parhna jis mai chehra ki tasveer wagaira ho tou makrooh hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 853). [Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia fiqa jafria ma murad Kan ma Bali dal sakta ha
Answer: Jaiz nahii hay. (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/search/37441/). [Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat ka Jean's ya tshirts phenna sahi hai
Answer: aurat ke lie pents shirts pehan kar bazaaro ( markets) or sarkho ( roads) per nikalne se agar us ke badan ke hassas hisse mujassam ho kar zahir hote ho ya nazereen ke jinse ahsasaat ubharte ho tu us ka pents shirts pehanna jaiz nahe hay . mard ke lie zanana libaas pehanna or aurat ke lie mardaana libaas pehanna haram nahe hay. albatta ehteyaate wajib ki bina per ye jaiz nahe hay ke mard apne aap ko aurat ke rano rooop me dhaal le ise trah aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal le .(ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,masla:541) ,( Aytullah Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah# 141) [Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ne napak kapray pehan liya hain galti say achanak namaz ka time hoa tu yaad aya kai kai napak k a pray pehne hain kya kaprey change kar kai namaz parh sakta hn?
Answer: Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis (napak) libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Note: Libas ko pak kar ke usi libas me bhi namaz parh saktay hai, aur aap chahen to libas ko tabdeel kar lain [Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]