Question: Ladies jins t-shirt me namaz padh sakti hai
Answer: zarori hai ke Aurat namaz ke waqt apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnon tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.aurat ke lie namaz me mardana libaas pehanna haram nahe hai or is se namaz batil nahe hote albatta ehtiyate wajib ki bina per ye jaaiz nahe ke aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal le . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786,833). (Note: Jeans aur full t-shirt men namaz sahi hogi lekin half t-shirt men namaz sahi nahin hogi ). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aurtein blazer, shirt and pant pahenskte hai ?
Answer: Agar libaas tang ho aur shehwat ka sabab bane (jese ke is libaas se aurat ke ubhare hoye hisse zahir hon) to is tarah ka libas pehenna jaiz nahin hai, aur in ko chadar ya munasib aur khule howe coat ke zariye chhupana zaroori hai. (Ref: Nigah Aur Libaas, pg #90). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pls mujay ya batai kay agar kapre pay janwar ki shakal bani wi hai to namaz parsaktay hai
Answer: Jee han, In kapron men Namaz saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par jandaar ke chehre ki tasweer ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, Maslah #853). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu, Suna hai kisi se ki mard apne gutne(Knee) se niche aur taqnoo se uper tak ka hissa chupana farz hai, Kya yeh sahi hai aur farz hai iska jawaab dijiye
Answer: Jee nahin, wajib nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, mafhoom e maslah #2397,2399,2400). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun Alaikum, Agar shirt pe Kisi Janwar (animal) ka logo ya print howa ho us me namaz parhna jaiz hai ya nhi?
Answer: Jee han, is shirt men Namaz jaiz or saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par kisi jandaar ke chehre ki tasveer ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #852). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mardo ki satar chupane ka kia hukum hai? Kia aik mard shorts pehan sakta ha jo knees ke oper tak ho chota ? Aur wo pehan kr bahar jai
Answer: Mardon ka na-mehram ke saamne bhi agli or pichli Sharamgaah ke alawa baaqi badan chupana wajib nahin hai. lihaza wo shorts pehen sakte hain, or usi halat me baahir bhi jaa sakte hain (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, before maslah #54). [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mardo ki satar chupane ka kia hukum hai? Kia aik mard shorts pehan sakta ha jo knees ke oper tak ho chota ? Aur wo pehan kr bahar jai
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya mard jersey ki panty pehen saktay hain
Answer: Jee han pehen sakte hain, Q ke mard ke liye zanana libaas pehenna aur aurat ke liye mardaana libaas pehenna Haram nahin hai, albatta ehtiyat-e-wajib ki bina par ye jaiz nahin hai ke mard apne aap ko aurat ke rang or roop main dhaal lay isi tarah baraks yani aurat apne aap ko mard ke roop main dhaal lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b), edition #42, maslah #833). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam_un_alaikum!mera swaal yeh hai kay,kya intercaurse k baad k kapray (jis per koi discharge k nishan nahi han)ko kya dhoy bina paaki ki halatain pahna ja skta hai? Or us main nmaz prhi ja skti hai?
Answer: Agar yaqeen hai ke wo libaas najis nahin hua to usi libaas ko pehen kar usi me namaz parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mein underwear pehnta hu. Or jab peshab krke wufu krta hu namaz k liye. Lekin jb namaz padta hu to pet dabne ki wajah se mere peshab ki boond nikal jati h. Halaki m underwear pehnta hu. To agar sirf underwear par boond gire to kya namaz hogi. Or baad m pehne hue pr paani daal leta hu thoda gila krke. Lekin dusri namaz yk agar wo sookh jaye to kya usi underwear se baki namaze bhi pad sakte hain ? Plz zarur btaye mein bht preshan rehta hu is chiz ko lekr
Answer: