Question: Is it permissible to pray in black clothes other than Muharram? کیا محرّم کے علاوہ سیاہ لباس میں نماز جائز ہے؟
Answer: Kala libas pehenna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01844/). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine ghussal k baad NaPaak trouser pehn liya sara din namaz aur wazifa karne k baad raat ko pata chala k Trouser napaak hai. Mujhy kiya Namaz aur wazifa dobara se parhna parhy ga?
Answer: agar koi shaks bhool jaaye k us ka libaas najis hai or usay namaz k baad yaad aaye tou agar us ne is mai laa parwahi ki ho tou ehtiyaat e laazim ki bina par zaroori hai k dobaara namaz parhe or agar kotahi na ki ho tou namaz dobara parhna zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 791). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agha jan Tie pehana k bare mai kia hukm hai
Answer: Tie pehanna bezat e khud haram nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 185, pg # 78) [Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alekum mera sawal apse ye hai ke billi ghr me pal skte hai kya kya usse ghr me khula chodha skte hai aur kya bili ke baal jis jaga per girte hai waha namaz nhi hoti hai kya
Answer: 1: Billi ko paalna jaiz hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, Mafhoom e ques #169, pg #75). 2: Usay hatana zaroori nahi hay or agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail jaame, part #1, maslah #995). [Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum. Mai 23 ka hun or Kan mai top ya Bali pehn'nay ki khawahish ha? Is ko pehn,nay se koi nuqsan to ni hoga??
Answer: Mard ke liye Kaan me baali pehenna ehtiyat e wajib ki bina par haram hai. (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/01276/) [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1Kia jeans pant me namaz ho sakti hae jabke wo badn se chipki hue na ho 2 Kia tights me namaz hosakti hae jabke qameez gutno se nechi ho 3 Kia namaz ke lea bara dopata lazmi hae ya chota dopata pehn ke bhi namaz ada hojati hae
Answer: Note:- In teeno suraton me mamaz sahi hai. laikin Namaz ke waqt Aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786). [Updated on 23-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam ,Agar billi kapro me sat jay yani touch ho jay to kya un kapdo me namaz hogi? Ya fir change karna hoga
Answer: Agar libas per billi k itne kam baal hon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 ya 2 ya 3 baal maujood hon to namaz durust hay.( or agar ziyada baal libaas per hoghe tu namaz nahe hoghe) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #995). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mobile ko agr napak hath lag jae or wo jaib me ho to namaz hojati? Isi trah agr napak note jaib me ho to kia namaz hojati
Answer: Wo cheezen jo namazi ka libas shumar nahin hoteen. jese roomal, chabi, ya chaqoo ya is tarah ki cheezen jesa ke aap ne bayan farmaya. agar ye namazi ke pass hon to in ke sath namaz parhna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #849). [Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Billi k pishab se mutalliq namaz k liye kon se ehtiat lazim hai
Answer: Haram gosht janwer jaise billi k monh ya naak ka pani ya koe dosri ratubat namaz perhne wale k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ki ain nijasat zaail ho gayei ho to namaz saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #80,813). [Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shorts pehna gunna hai
Answer: mardo k liay shorts pehenne se koi gunah nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2397,2400). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]