Question: SALAM, Tayammum kernay ka sahi teriqa kya hey? aur khaak e shifa na honay ki sooret mein ye kin kin cheezon per kya jaa sekta hey?
Answer: B.T. (i) halate ikhteyar me tayammum ka tariqa ye he ke dono hatho ki hatheliyo ko ek sath zamin par mare aur phir dono hath ek sath peshani aur bhanwo par is tarah male ke bal ugane ki jageh se nak ki abteda aur peshani ki dono atraf ko shamel kare aur ahteyat wajib yeh he ke nak aur honto par bhi hath phere. phir ulte hath ki hatheli ki tarf se sidhe hath ki pusht ke sare zaheri hisso par kalai se le kar angliyo ke akher tak masah kare, phir sidhe hatho ki hatheli ki taraf se ulte hath ki pushat ke sare zaheri hisso par masah kare aur angliyo ka darmiyani hissa zaher me shamil nahi he (tahrirul wasila, tayammum ka tariqa masaala no. 1) (ii) mitti, paththar, bajari, dhela, chuna, pakne sy pahele chune ka paththar wagera par tayammum ho sakta he (tahrirul wasila, wo chizea jin par tayammum sahih he masala no.1) (tayammum ke liye khake shifa zaroori nahi he)
Question: ghusal k liye tiyamam ka kia treeqa hi?
Answer: Wazu ya ghusl k badlay kiay jaanay walay tayammum me 3 cheezain wajib hein 1: donoo hatilioon ko aik saath aisi cheez per rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ethiat e laazim ki bina per donoo haath aik saath zameen per rakhnay chahiain. 2: Donoo hatailion ko puri paishani per sar k baal ugnay ki jagah se aabro aur naak k baala’e hissay tak phairna aur isi terah ethiyaat e wajib ki bina per peshani k danoo taraf donoo hatilioon ko phairna, ethiat e mustahab ye he k haath aabroo k oper bhi phaira jaay. 3: baa’een(Left) hataili ko da’een(Right) haath ki tamaam pusht per aur is k baad daa’een hataili ko baa’een haath ki tamaam pusht per phairna , Zarori he k tayummum (qarbatan illal’laah) ki niyat se anjaam dain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 690). Was-salam
Question: aslam o alaikum sir mera sawal hai k agar mani ka ikhraj ho jaye or ghusal ka waqt na mily to kia is halat mai namaz parh sakty hain ya nahi plz reply soon
Answer: Jab waqt itna tang ho k agar aik shakhs ghusl karay tu sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad parha ja sakay to zarori he k tayyamum kar k namaz parhey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 668)
Question: jab gusal wajib ho or namaz ka waqt hatam ho raha ho to kya hum sirf wazoo ker k namaz parh saktay hain
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Jab waqt itna kam ho k agar wuzu ya ghusal karain tu saari namaz ya oska ka khuch hissa waqt k baad parha jaay tu zarori hai k ghusl k badlay tayammum ker k namaz perhain. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 668). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia tayammum mai hathoo ko mitti(soil) par marnay k baad jarna wajib hai?
Answer: Jee nahi tayammum mai hathoo ko mitti(soil) par marnay k baad jarna mustahabb hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 12, pg # 24) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam mera swal yeh ki agar hm najis hogai sex ki wajah se aur waqt namaz itna karib hai ki gusl ka time nhi to is surat mei tayamum kaisa kiya jay sakta hai plz tayamum ka tariqa bhi btaiyega
Answer: Jab waqt itna tang ho k agar ghusl kar lain to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad perha jasake to zaroori hai k tayammum kare. Tayammum me 3 cheezain wajib hain : 1)Dono hateliyo ko aise cheeze per marna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehtiyat e lazim ki bina per dono hath aik saat zameen per marne ya rakhne chaheay. 2)Dono hateliyo ko puri peshani per sar k baal ugnay ki jigah se eyebrow aur naak k balai hisse tak phairna aur isi terah ehtiyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hateliyo ko phairna. 3)left hateli ko right hath ki tamam pusht per aur is k baad right hateli ko left hath ki tamam pusht per phairna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 668-690)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar gusal insan par parz hojai aur agar pani na ho to kia kary?
Answer: Agar insaan abaadi(residential area) mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil aakhir us k milnay say na um,meed hojaey tu phir tayam,mum ker k namaz parhay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #638)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalamualikum mera sawal yeh hai ki kya taymum karne ke liye dewaar pwer intni mitti honi chaiye ki jab tayymum kiya jaye to miti dewar se udey
Answer: Jis cheeze per tayummum kia jae ehtiyat-e-lazim ki bina per zaroori hai k is per kuch gard-o-gubar moujood ho jo k hatho per lag jae aur is per hath marne k baad zaroori hai k itni zor se hatho ko na jaray k sari ki sare gard gir jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #688 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: tamum ka arabi niyat
Answer: Zaroori hai k tayammum “ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” ki niyat sai anjam dia jae. Aur is k lie itna kafi hai k hokum e ilahi ki baja aawari k iraday sai kia jae. Is k alawa tayammum ki niyat sai zaban ya dil mai karna zaroori nahi bal k agar aik shakhs tayammum k tamam afal Allah k hokum par amal karnay k lie baja lae to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 690) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam meara sawal yea hea k agar guslay janabat farz hoo jay aur gussal na kar sakata hoo to wazoo yea tayaumum kar k namaz pari ja sakati hea agar kha to tayaumum ka taraqa kaya hea
Answer: Wssalam o alykum, Ager tayammum ki tamaam sharait mojud hain to gusal e janabat ke badle ki niyat se tayammum karna wajib hai, or is hi tayammum ke sath namaaz phari jasakti hai wazu zaruri nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 712 , 713 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)