Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we do masah over regular cotton socks in winter if we have medical issues with cold water? My feet get swollen in winter.

Answer: Socks par masah kerna batil hai, haan agar sakht sardi ho ya chor ya darinday waghera kay khoof say jotay ya mozay na utaray jasakain tau ehtiyaat-e-wajib ye hay k mozay par masah karay aur tayyam,mum bhi karay..(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, edition 39, maslah #258). [Updated on 21-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mujy panni se allergy ha kuch namzon ke time tayamam hi krta hon wzoo ki jgah sath quran b pr skta hon .

Answer: 1: Paani agar us k liye muzir (yani nuqsaan deh) ho to phr tayammum karna hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani, edition 41, maslah #659). 2: Namaz k liay wuzu shart hai isi tarah quran k alfaaz ko mas karne k liay wuzu laazmi hai lekin is k alawa faqat quran parhne ya zikr e khuda k liay wuzu shart nahi hai. lehaza quran parhne ke liye wuzu ke badle tayamum zaroori nahin hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,316). 3- Namaz k liay kiay gaey tayaamum se quran bhi perh salte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani, edition 41, maslah #704). [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14311
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wuzu aur gusl ke tayammum me kya fark hai

Answer: Tayammum ka tariqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen(3) cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aisi cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or isi tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #690). (Note: Tayammum chahe wuzu ke badley men ho ya ghusl ke badley men ho in dono men Koi faraq nahin hai. aur Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ki mazeed tafseel dekh sakte hain). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15038
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: waqt kam honay ki wajah say gusl e janabat ki bajaey tayamum sey fajr parhi aur ab zohrain Kay liye dobara gusl e janabat karna paday ga?? aur agar zohrain kay liye gusl e janabat kiya toh wuzu ki zarurat nahin naa??

Answer: Jee han, zuhrain ke liye ghul e janabat karna parhe ga, Q ke tayyamum to waqt ki tangi ke uzur ki wajah se anjam diya gaya tha, ab choonke wo uzur khatam ho gaya hai to tayyamum bhi batil ho jaye ga. lihaaza zuhrain ke liye ghusl e janabat karna parhe ga. aur is ke baad wuzu ki zaroorat nahin hai, balke ghusl e janabat ke baad to wuzu karne se mana kiya gaya hai, ( yani ghusl e janabat ke baad wuzu karna haram hai ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), Edition #42, Maslah #356,709). [Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15231
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Kisi k hath tuta hua h r tayamum k lye hila ni skty to dusry ek he hath sy tayamum mumkin h ya ni,?

Answer: agar kisi shaks ka fareeza tayyamum ho lekin wo khud tayyamum na kar sakta ho tou zaroori hai k wo kisi doosre shaks sai madad le taakay wo madadgaar us shaks ko jitni madad ki zaroorat ho utni madad karay yaane ..jis cheez par tayyamum karna sahi ho wo cheez qareeb le aaye takkay wo haath rakh le phr us ka aik haath peshani par rakh de (jo toota howa hai) taakay wo dono haathon sai masa kar le phr haath k masay mai jahan zaroorat ho tou phr wahan bhi us ki madad karay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 701). [Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Taymum ka zikr surah nisa ki konsi ayat me hai ?

Answer: Quran kareem ki 2 Ayaat main tayammum aur is ke ahkam bayan hoe hain: Surah Nisa(surah #4 Ayat #43, Surah Maaidah(surah #5), Ayat #6). (Ref: https://quran.com/) [Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamu alaikum paak saaf kapde se tayyum krna kaisa hai

Answer: Baraah-e-raast (direct) kapre par tayyamum nahin karna sahi hai. lekin agar kapre par dhool, matti aur gard-o-gubar jama ho (ya khud jama karen) aur aam taur par log use naram matti shumaar karen to us par tayyamum karna sahi hai. agarche ehtiyat e mustahab ye hai ke ikhtiyaari halat me us par tayyamum nah kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #675). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19844
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Pani ke baghar ghusal e janabat

Answer:

Id: 21740
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam - Taimum agar ghusal k badlay ho aur aik waqt (fajar) k baad doosri namaz (Zuhr) tak : 1- Agar dosri namaz tak pani na milay toh kya dobara taimum karna hoga Zuhr ki namaz k liyah (mubtilat e wazoo na hoa ho). 2-Agar pani mil jayee Fajar k baad toh kya (taimum karliya ho) toh zohar kay waqt ya uss sai pehlay ghusal bhee karna hooga ya ghusal ki zaroorat nahi hoogi yani Taimum kafi hoga ghusal kay badlay main. Toozi main hai k jab sabab e taimum khatam ho jayee to taimum batil hojata hai.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!