Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My Question is dat.....Ager ap na biwi sa hum bstri ki laken Ap ki sihat kharab honey ki wajey sa Naha nai sakty to Dean main kia ahkamat han? Paak kaisey hon ga?

Answer: Agar pani ka istemal kisi shakhs k lie mojooda marz k toolani ya shaded ho janay ka sabab ho to to zaroori hai k tayammum kar k namaz parhain. Is k alawa jo shakhs pani k istemal sai darta ho aur jan boojh kar apnay aap ko junub kar lia ho aur tayammum kar k namaz parhi ho to behtr ye hai k jo namazain insan nai tayammum k sath parhi ho in ki qaza karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 659-716)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum admi se hajat hogai aur kapde bhi na pak hogaye tho is halat me tayammum karke namaz padsakte hai? ya saaf kapde pahenkar tayamum karna chahiye?

Answer: wssalam o alykum, ager tayammum karne ki sharaait mojood hain (masalan maloom ho ke namaaz k aakri waqt tak pani nahi mile ga) to tayammum karna ho ga. Or namaaz main libaas ka paak hona ye ik alag shart hai, pas ager paak kapre hain to in ko pehanna hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 638 to 673 , 786 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam sir mai bohat parishan hon k meray naak ka operation howa ha or pmoo per pati lagi howe ha ma ghusal janabat kerna chahta hon please is ka solution btaday bohat parishan ho nmazay bhi qaza ho rhi han

Answer: Wssalam o alykum, ager pani apke liye nuqsaan de ho to zarori hai ke ap janabat ke liye ghusl ke bajaae tuyammum karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 659 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 9451
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aik insan par nahana parz ho jae aur wo bemar ho to use Kya karna chachie qoitrat

Answer: 1-Agar wo aisa beemaar ho k nahana os k liay nuqsandah ho tu os ko tayammum kerna chahiay. 2-Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aise cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or esse tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam de jisa keh wuzu k masail main bataya ja chuka hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #690). Update on dated 21-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ghusal kay badly wazo kiya ja skta hai agr pani ghusal kay liy na ho to?

Answer: Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna parhay tu zarori hai k pani khareed kr ghusl anjaam day.(Ref:Tauzeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#638) Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat meri biwi ko allergy hai. Paani sir pe lagnay se ya dust se oos ko shadeed chinkain shuroo ho jaati hain khaas tor per wo raat ya early morning ghusal nahin ker sakti. Kia wo woozoo se namaz parh sakti hai.

Answer: Agar masla e harj ho paani ka istemaal tu us ko chahiay k ghusl k badle tayamum karey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 659). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9919
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tayammum kin kin chizo se toot ta h

Answer: Jo chezein wuzu ko batil karti hai wo wuzu k badle kiay hue tayyamum ko bhi batil karti hain aur jo cheezein ghusl ko baatil karti hai wo ghusl k badle kiay hue tayyamum ko bhi baatil karti hain or jis uzr ki wajah se tayammum kia gaya tha os k khatam hone se bhi tayammum batil ho jaata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #710). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O alaikum, Agr mein kisi wajah se gusl nhi kr skta, jaise khin intezaam nhi hai, ya phir winters mein raat mein possible nhi, to kya paak hone ka koi or tareeqa hai.

Answer: Was Salam. Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main ghusl hi karna hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 masalah no 638) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamoalaikum Sardiyo agar barwaqt Naha nh sakta ho ur namaz b pharni ho fajar ki To kiya kiya jae???

Answer: Pehly to ghusl karna hoga lekin agar waqt tang ho ya koi or majboori ho to tayammum kia jaey or halate ikhtiyaar me tayammum ka tariqa ye hay keh dono hatho ki hatheliyo ko ek sath zamin par mare aur phir dono hath ek sath peshani aur bhanwo par is tarah maley keh baal ugne ki jagah se naak ki ibtidah aur peshani ki dono atraaf ko shamil kare aur ehteyaat wajib yeh he keh nsak aur hoonto par bhi hath phaire. Phir ulte hath ki hathaili ki taraf se sidhe hath ki pusht k saare zaheri hisso par kalae se lay kar ungliyo k akhir tak masah kare, phir seedhe hatho ki hathaili ki taraf se ulte hath ki pushat k saare zahiri hisso par masah kare aur ungliyo ka darmiyani hissa zahir me shamil nahi he. (tahrirul wasila, tayammum ka tariqa masaala no. 1) (ii) mitti, paththar, bajari, dhela, chuna, pakne sy pahele chune ka paththar wagera par tayammum ho sakta he (tahrirul wasila, wo chizea jin par tayammum sahih he masala no.1) (tayammum ke liye khake shifa zaroori nahi he) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10503
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-O-Aleikum mera Question ye hai k agar ap pe Gusal wajab ho jaye or ap ke pass pani na ho to kesse gusal kar saqte hai Essa koi tareqa Islam mein hai ??

Answer: Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga warna har soorat main ghusl hi karna hoga (ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 masalah no 638 [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!