Question: Salam mera sawal ye hy agr ghusal e janabat farz ho or garam paani available na ho sardi k mosam mein sirf thanda pani hy js sy ghusal nai ho sakta to kia wazu kar k namaz ada ki ja sakti hy???
Answer: wsalam. Agar pani garm karna mumkin nah ho or thanday pani se ghusl karna nuqsandah ho tu tayammum kar k namaz perhna wajib hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41 maslah#659) [Updated on 19-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr admit majboori ki wajah se Ghusal na kr ske to namaz parhi ja skti ha?
Answer: Agar ghusl karna mumkin nah ho tu phoir tayamum kar k namaz perhi zarori hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #663). Update on dated 20-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Tyamum krane ka triqa bta Den
Answer: Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aise cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or esse tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam de jisa keh wuzu k masail main bataya ja chuka hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #690). Update on dated 26-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum! Kia ksi majbori ki waja sy ghsal janabat na kr k wazu p iktifa krty huay wajib namaz parrh ckty hyn?
Answer: Jee nahin, agar koi majboori ho to wuzu pe iqtifa nahin kiya sakta balke is gusl ke badle tayyamum kiya jai ga.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 360) (Note: Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ka tareeqa dekh sakte hain.) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar bukhar (fever) k halat me ehtelam ho jaye aur gusl se bimari k badhne ka khatra ho to is halat me kya karen?
Answer: Aisi soorat mai wo tayamum kia jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 659,660). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kissi ko pani sa allergy ho to wazoo k sa kry
Answer: Paani agar us k liye muzir (nuqsaan deh) ho tou phr tayammum karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 659). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janabat ke bad namaz perhna ho magar ghusal ke lia pani na ho tu kia karain
Answer: Agar insaan abaadi mai ho tu zarori hai k ghusl k liay pani hasil kernay k liay is qadar koshish karay k bil-aakhir us k milnay say na umeed hojaey tu phir tayammum ker k namaz parhay yahan tak k agar insaan ko pani khareedna parhay tu zarori hai k pani khareed kr ghusl anjaam day, Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main ghusl hi karna hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2020 edition, maslah#638) [Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr sex kia protection k sath or lady ko khansi bht hai k wo ghusal kry to bemar ho sakti hai to phr kia krei
Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir ghusl e janabat kia jaey ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#659) [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Please tayamum ka tairqa bata dein. Deewar se ho sakta h ya sirf mitti se. Aur larkiyan office mei hoti hn make up ki wajha se pani ka istemal ni krna chahen tu kia deewar se tayamum karlen. Q k mitti b office mei mojood nahi hogi
Answer: Agar pani kahin sai bhi dastiyaab nah ho sakay tu phir tayammum kia jaye ga. Warna har soorat main wuzu hi karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani (d.b), Edition 39th, Masla no 638) (Note: Saat (7) surton men wuzu aur gusl ke bajaye tayamum karna zaroori hai. lekin in saat (7) surton ke elawa tayamum nahin kiya jaiga. aur wo surtain ye hain 1) Pani na ho. 2) Pani tak rasaai na ho. 3) Pani ke istimal khaof ho. 4) Haraj aur mashaqat. 5) Pani piaas bujhane ke liye kafi ho. 6) Wuzu ya Gusl ka takrao aisi sharee takleef se ho raha ho jo un se ziyada aham ho ya barabar ho. 7) Namaz ka waqt tang ho.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani (d.b), Edition 39th, Pg no 111 to 115) [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA sir I am suffering from pneumonia. And doctor advised me not to take bath for a month. But my semen got released when I was sleeping. So how can I do ghusal? As I cannot even bear hot water for ghusal. Kindly reply me asap. Thanks.
Answer: 1) Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir ghusl e janabat kia jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), 2) Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #659) Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aisi cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or isi tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam day. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39th, Maslah #690). (Note: Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ki mazeed tafseel dekh sakte hain.) [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]